Posts

Showing posts from March 26, 2011

KhareeD Sakte To Usey Apni

KhareeD Sakte To Usey Apni Zindagi Bech Kar B KhareeD Letey Par Kuch Log QEEMAT Se Nai QiSMAT Se MiLa Karte Hain...

Adhore chand se faryad to kerta hoga

*GHAZAL* Adhore chand se faryad to kerta hoga.. Wo mujhe ziyada nahi per yad to kerta hoga.. Bhole se he sahi kbhi meri yad to ati hogi.. Wo mere bare mei kuch irshad to krta hoga.. Bohat masruf sahi din bhar Phir b! Tanhai mei kuch pal mere liye 'BARBAD' to krta hoga...

Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak

Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak, Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak, Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan, Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua, Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa, Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char, Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks, Reshami bahon may chori ki kabhi maddham dhanak, Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat, Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada, Kanpate honthon pe thi ALLAH se sirf ek dua, Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara.

Jaam Se Itni Nafrat Na Karo K Kabhi Peena Pare To

Jaam Se Itni Nafrat Na Karo K Kabhi Peena Pare To Pee Na Sako, $/|/""Faraz""/|/$ Kisi Se Itni Mohabbat Na Karo K Uske Bina Agar Jeena Pare To Jee Na Sako.

Suna H Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hy

Suna H Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hy, Usay Kehna Be-fiker Hum B Nahi Hain. Suna H Wo Gumsum Rehta Hy, Usay Kehna Hosh Me Ham B Nahi Hain. Suna H Wo Ratoon Ko Jaga Karta Hy, Usay Kehna Sotay Ham B Nahi Hain. Suna H Wo Chup Chup K Rota Hy, Usay Kehna Hanstay Ham B Nahi Hain. Suna H Wo Mujhe Yaad Bohat Karte Hy, Usay Kehna Bhoolay Ham B Nahi Hain. Suna H Us ne Wafa Ka Daawa Kiya H, Usay Kehna Be-wafa Ham B Nah Hain..

Gumbad-e-Aflaak Mere Baad Huwa

: Be-Sada Gumbad-e-Aflaak Mere Baad Huwa, Saaniha Yeh Bhi Alam'naak Mere Baad Huwa Khaak Hi Kar Diya Phir Khaak Nashino Ne Mujhe, Khaak Ka Saara Safar Khaak Mere Baad Huwa, Saamne Mere Jise Baat Nahi Aati Thi, Woh Bhi Sunta Hoon Ke Chalaak Mere Baad Huwa, Jab Mere Saath Tha Logon Se Dara Rehta Tha, Log Kehte Hain Ke Be'Baak Mere Baad Huwa, Woh Mujhe Chhor Ke Khush Baash Nahi Reh Sakta "Qateel", Aur Usko Bhi Yeh Idraak Mere Baad Huwa...

"AGAR HO SAKE TO" Mujhe Apni AANKHON Main Rakh Lena,

THIS GHAZAL WAS SENT ME MY FRIEND ABDUL RAZZAQUE URF WASEEM BURIRO "AGAR HO SAKE TO" Mujhe Apni AANKHON Main Rakh Lena, AANSOO Ban Kar Beh Jaon to, HATHON Main Chupa Lena, "AGAR HO SAKE TO" Mujhe "HAWAON" Main Bikher Dena, Tumhein "CHOO" Kar chala jaon to, Mujhe "MEHSOOS"Kar Lena, "AGAR HO SAKE TO" Mujhe Ek "PHOOL" Samajh Lena, MaR Bhi Jaon to "KITABON" Main Rakh Lena, "AGAR HO SAKE TO" Mujhe Apni "KHAWAHISH" Samajh Lena, Kabhi Jo "MIL" Na Paon to, Mujhe Apni "DUAAON" Main Rakh Lena.

Dasht-e-darya k ye us paar kahaN tak jaati

Dasht-e-darya k ye us paar kahaN tak jaati, Ghar ki deewar thi, deewar kahaN tak jaati, Mit gai hasrat-e-deedar bhi rafta rafta, Hijr me hasrat-e-deedar kahaN tak jaati, Thak gaye hont tera naam bhi lete lete, Aik hi lafz ki takraar kahaN tak jaati, Tu bohat door bohat door geya tha mujh se, Meri Aawaz mere yaar kahaN tak jaati, Har taraf hussn k bazaar lagay they.. Meri chashm-e-kharidar kahaN tak jaati...!

Chalo aao phir kisi DIN MULAQAT kr k dekhen

(A special gazal) ~Chalo aao phir kisi DIN ~MULAQAT kr k dekhen ~Beeti hui baaton ko phir YAAD kr k dekhen ~Kuch GHAM b bhool jayn ~Kuch DURIAN b km hon ~Ik SHAM 1 dusray k NAAM kr k dekhen ~Jo reh gai thi DIL men ~Jo TUM ko thi batani ~Phir milay na milay moqa ~Wo BAAT kr k dekhen ~Yoon baaton hi baaton men wo baat b ho jaye ~Jis BAAT men wo baat ho ~Wo BAAT kr k dekhein ~Chalo aao phir kisi din MULAQAT kr k dekhen...

Her Aarzu jab hasrat ban jaye

Her Aarzu jab hasrat ban jaye, To taqdeer se Rotha nhi krte, Apni tamana dil me rakhte hain, Dunya me charcha nhi krte, Khushi kbi bata kar nhi aati, Intzar k drwaze bnd nhi krte, Zindgi ki lambi musaft me itni jaldi thaka nhi krte, Umeed Rakhte hen ache dino ki, Kbi waqt se gila nhi krte......!
Na ghamo k geet suna kro, Na kisi ki yaad mein jala kro, Ab chor do ye udasiyaan, Mere dost khush raha kro, KHUDA na kre kisi ko juda, Hath uthao to ye DUA kro, Nhi bhaata Tera udas chehra, Mere dost na preshan hua kro, suna hy k mante ho Kisi khas ki baat, Us khas ki khatir hi hanste raha kro..

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

(THIS GHAZAL WAS SENT ME MY BEST FRIEND SADAM HUSSAIN) Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai, Tum hum pe mehrban thy abi kal ki bat hai, Wo din b thy k hum hi tmhari zuban py thy, Mozoe dastaan thy abi kal ki baat hai, Ae karwan e husn o ishq tm ko yad ho shaid, Hum meere karwan thy abi kal ki bat hai, Kuch hadson se gir gae Anjum zameen per, Hum rashk e aasman thy abi kal ki baat hai... Ajib dastan hoti he dosti ki Larna milne se b acha lagta he.. Lar k manane wale b hote hen kuch To kuch ko chirhana acha lagta he Dost k muh se kuch sunne k liye Kabhi jhuk jana bhi acha lagta he.. Safar train ka ho ya zindagi ka Khatm hi nai hoti batin Phir b khamosh reh kar muskrna acha lagta he 4 dosto me lagta he mil gai puri duniya Baki sab bhul jana acha lagta he Yaro hmesha 7 rahna Yar tumhara yarana acha lagta hy. Dedicated 2 my sweet frndz.

Kaliyan Ishq Kaman okha Kisay nu Yar Bnana Okha..

Kaliyan Ishq Kaman okha Kisay nu Yar Bnana Okha.. Pyar Pyar Tay har koi Bollay Kar k Pyar nibhana okha.. Har koi Dhukhan Tay HAss Lenda kisay Da Dard wadana okha.. Gallan Nall naye Rutbay millday Jogi Bhesa wadana okha.. Koi Kisay Di gall naye sunda lokan nu Samjhana okha... Sham hone se pehlay lot ana, Kisi k nam hone se pehle lot ana, Ham tere intzar main hain anjan hone se pehle lot ana, Subah sham rehti hai tere deedar ki umeed, Din ka ikhtetam hone se pehle lot ana, Agar na lot pao tu bas itna kar dena, Meri ankhon k bejan hone se pehle lot ana...

Hum ne use mohabbat mein chahne ki inteha kar di..

Hum ne use mohabbat mein chahne ki inteha kar di.. Apni har khushi us par fida kar di.. Kuch is andaz se us ne luta mujh ko.. Meri zindagi mere liye saza kar di.. Beth kar namaz mein mangi thi jis ki qurbat.. Khuda ne usi hi ki judai ata kar di.. Raat bhar rote hain ab use yaad kar k.. Ab sochte hain k mohabbat hi ki thi k khata kar di.. Tang aa kar jo khuda se mangi mout hum ne.. Be-wafa ne humari lambi umar ki dua kar di..

**Gullo'n Ki bazam sajana usay pasand na tha..

**Gullo'n Ki bazam sajana usay pasand na tha.. **Kisi k piyaar ko pana usey pasand na tha.. **Wo aik aik se milta tha piyaar se lakin.. **Hamee'n se hath milana usey pasand na tha.. **Wo dil main bughaz bi rakhta tha zehan main kad bi.. **Gillay ko hont pe lana usey pasand na tha.. **Wo qoul karney ko to baar baar kar leta.. **Magar qaraar nibhana usey pasand na tha.. **Hamarey naam ko likh likh k jo mittata tha.. **Hamarey dil main samaana usey pasand na tha.. **Anokhi baat ha wo lout aaya ha.. **Agar'chey lot k aana usay pasand na tha...

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

(YI GHAZAL MUJHY NOOR AFRIDI NI BHIJA, 1 HAFTA PEHLI..) Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai, Tum hum pe mehrban thy abi kal ki bat hai, Wo din b thy k hum hi tmhari zuban py thy, Mozoe dastaan thy abi kal ki baat hai, Ae karwan e husn o ishq tm ko yad ho shaid, Hum meere karwan thy abi kal ki bat hai, Kuch hadson se gir gae Anjum zameen per, Hum rashk e aasman thy abi kal ki baat hai... Kitabon K work Ko Palat Kr Sochta Hon, Yun Palat Jae Zindgi To Kya Baat Hy, Khwabon Mein Roz Milta Hy Jo, Haqiqat Me Aaye To Kya Baat Hy, Kuch Matlab K Liye Dhondte Hain Mujy, Bina Matlab Aaye To Kya Baat Hy, Qatal Kr K To Sab Le Jaynge Dil Mera, Koi Baaton Se Le Jae To Kya Baat Hy.

Kab hui pyaar ki barsat hume yaad nahi..

Kab hui pyaar ki barsat hume yaad nahi.. Khof may doobi mulaqat hume yaad nahi.. Hum to mdhosh thay kuch itna us ki chahat may.. Us ne kab chor dia saath hume yaad nahi.. Zindagi jabr-e-musalsal ki trah kati hai.. Janay kis jurm ki pae hai saza yaad nahi.. Main ne palko se dar-e-yar dstak di hai.. Main wo sahil hun jisay koi sada yaad nahi.. Aao 1 sajda karain aalam-e-madhoshi mein.. Log kehtay hain k SAGHAR ko khuda yad nahi...

Baahon main teri ajj bikhar janay do..

Baahon main teri ajj bikhar janay do.. Mehki saanso main mujhe utar janay do.. Raat tanha or sard mosam hai ajj apni saanson main mehak janay do.. Shoq nazrOn ko sharam aati hai.. Thartharatay lab ko lab se sil janay do.. Bikhri huye gaisuu bikhra hua kajal hai.. Ajj rooh ko rooh main samaa janay do.. Raat thori arman dil main baqi hain.. Ajj bahOn main hi teri ko kat janay do..

Tere Haath Ki Main Wo Lakeer Ban Jaon,!

Tere Haath Ki Main Wo Lakeer Ban Jaon,! Sirf Main Hi Tera Muqadar Teri Taqdeer Ban Jaon,! Main Tujhe Itna Chahon K Tu Bhool Jaye Har Rishta, Sirf Main Hi Tere Har Rishte Ki Tasweer Ban Jaon,! Tu Aankhein Band Kare To Aaon Main Hi Nazar, Is Tarha Main Tere Har Khawab Ki Tabeer Ban Jaon..!

Be-kanaar jazbon ko Kab kanaar milta hai?

Be-kanaar jazbon ko Kab kanaar milta hai? Be-dayaar logon ko kab dayaar milta hai? Be-qaraar sochon ko Kab qaraar milta hai? Aaj kis liye tum ney ye sawal pochy hain? Aik pal ko socho tou, Bekhabr parindon ko Kab hawaaein deti hain.. Khushboun key sandaisay Ajnabi jazeeron ka kab pata batati hain.. Inko inke hony ka kab yakeen dilati hain.. Tumni jo bhi pocha hai Hum jawab deny ka hosla agar rakhty Maztrab he kyun hoty.?

Hath ki lakeeron mein Kya talaash karty ho?

Hath ki lakeeron mein Kya talaash karty ho? In fazol baaton mein Kis liye ulajhty ho? Jis ko milna hota hai Bin lakeer dekhy he.. Zindagi key raston pey Sath sath chalta hai Phir kahan bicharta hai.. Jo nahe muqadar mein Kab hume woh milta hai Kab woh sath chalta hai.. Hath ki lakeeron mein Kya talaash karty ho..?

Abhi tehro Abhi kuch din lagyen gay Vasl ko

Abhi tehro Abhi kuch din lagyen gay Vasl ko khwahish banany mein.. Tumhe apna samjhny key liye Dil ko maan'ney mein Abhi kuch din lagyen gay...

Wafa nibhany ki jo Qeemat mujy ada karni pari hai

Wafa nibhany ki jo Qeemat mujy ada karni pari hai.. us sy mujy aisa lagta hai jasy mera wajood kisi haqeer tinky ki tarah ider uder hawa ma bikhar raha hai..!

==>Kya khabar Thi K Chalay Gi Kabhi Aisi B Hawa..

==>Kya khabar Thi K Chalay Gi Kabhi Aisi B Hawa.. ==>Khusk Patton ki Tarah Dost Bikhar Jayein Gay..

" Khawab dekha to khawahishon ne kaha..

" Khawab dekha to khawahishon ne kaha.. " Kaash aysa kabi kahen hota.. " Dil ki aankhen B khoob aankhen hain.. " Wo dekhaati hain jo nahi hota...

==>Wohi mehsoos karte hain tapish dard-e-mohabat..

==>Wohi mehsoos karte hain tapish dard-e-mohabat.. ==>Jo apne aap se barh kar kisi se piyar karte hain..

Ye mohabat falsafy sey mawra hai

Ye mohabat falsafy sey mawra hai.. Is mein kaisa falsafa Is mein kaisi nafsiyat Is mein kaisiaqal-o-danish Is mein kaisi zaat paat.. Din ki surat hai ye roshan Hai ye lambi chaand raat Is mein daawa kuch nahe hai Is mein laakhon mumkinat Haan magar ik wahm sa hai Kon samjhay ga ye baat? Ye mohabat.., Ye mohabat bhi kisi ko raas hai? Ye khameer-e-khaak sey nikla huwa Ehsaas hai Kyun samjhty ho issey Mehsos kyun karty nahe Ye tumhari Aankh mein hai Aur dil ke paas hai..

Ye mohabat falsafy sey mawra hai

Ye mohabat falsafy sey mawra hai.. Is mein kaisa falsafa Is mein kaisi nafsiyat Is mein kaisiaqal-o-danish Is mein kaisi zaat paat.. Din ki surat hai ye roshan Hai ye lambi chaand raat Is mein daawa kuch nahe hai Is mein laakhon mumkinat Haan magar ik wahm sa hai Kon samjhay ga ye baat? Ye mohabat.., Ye mohabat bhi kisi ko raas hai? Ye khameer-e-khaak sey nikla huwa Ehsaas hai Kyun samjhty ho issey Mehsos kyun karty nahe Ye tumhari Aankh mein hai Aur dil ke paas hai..

Ab aaye ho Jab shaam dhal gai hai

Ab aaye ho Jab shaam dhal gai hai, Woh saaray chiragh jo tumhari raah mein jallythay Bujh kar dhuwaan huwe hain, Woh saary phool jo tumhari chaah mein khillay thay, Khizaan ki zadd mein Aa kar murjha gaye hain, Jo geet labon par Aa kar fiza mein bikhar gaye thay, Ab thak kar nouha kuna'an huwe hain, Ab aaye ho Jab beqarari aur sarshari ke tamam jazbay, Tumhari chaah mein sirf initzar huwe, Tumhari manzil ka junhe qasd kiya Raahein pur-khaar huwin, Ab aaye ho Jab tumhari chaah mein....., Zindagi ki shaam huwi.

Tum jhot bolo Tou main sab janty bojhty Issey sach

Tum jhot bolo Tou main sab janty bojhty Issey sach samjhon.. Tum koi bhi waada wafa na karo Tou main kahon koi majbori ho gi.. Tum jo bhi galati karo Main issey bhol chok aur na'danistgi qarar dey don.. Main jo sadiyon sey Khud apne khilaaf tumhari taraf sey.. Daleelein aur taweelein paish karta chala Aa raha hon.. Aakhir kab tak? Bolo Ay mustakil mizaaj Aakhir kab tak???

Koi dophar thi Hawaaon ke rath par Jab os ney mera hath thama

Koi dophar thi Hawaaon ke rath par Jab os ney mera hath thama.. Kisi ney na dekha sir-e-shaam sahil par Moujon ki zadd mein Jab os ney mera hath thama.. Kisi ney na dekha Andhairay mein ik raat Neendon ki hadd par.. Jab os ney mera hath thama Kisi ney na dekha Magar main ney dekha Na Aankhon mein chehra Na honton pey waada Na dil mein bharosa...

*~*Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,

*~*Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai, *~*Ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai, *~*Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa, *~*Aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hi...

Hijar ka taara doob chala hai dhalny lagi hy raat

"GHAZAL" Of "WASI SHAH" Hijar ka taara doob chala hai dhalny lagi hy raat WASI, Qatra Qatra baras rahi hai,ashkon ki barsaat WASI, Tery baad ye duniya waaly mujh ko pagal kar denge, Khushbuon k dais main mujh ko le chal apny saath WASI, Aaj to us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hy, Mausam badla duniya badli, badal gaye halaat WASI, Chor WASI, ab us ki yaadain tujh ko pagal kr dengi, Tu qatra hy wo darya hy dekh apni auqaat WASI..

"Aakhirat ko bhool betha fikr-e-dunya k evaz"

"Aakhirat ko bhool betha fikr-e-dunya k evaz" "Mout ka hamla achanak bekhabar kesa laga?" "Hanste hanste tou ne dunya mein guzari zindagi" "Ab naya zair-e-zamin ye tang ghar kesa laga?" "Dafan kar k qabar mein sub berukhi se chal diye" "Jis se tu manus tha ab wo bashar kesa laga?" "Tu hansa karta tha auroon ko preshan dekh kar" "Chal diya apno ko rota chor kar kesa laga?" "Ab na wo takya mulayam aur na wo bistar narm" "Jism pe 2 gaz kafan mitti pe sir kesa laga?"

Likhi hai ye ghazal sirf tere liye

Likhi hai ye ghazal sirf tere liye, ~Deewana bna bhi to sirf tere liye ~Kisi ko nahi dekhengi ab ye aankhen, ~Nazren tarsengi bhi to sirf tere liye ~Har saans men yaad karunga tujhe, ~Ye saans niklegi bhi to sirf tere liye ~Har pyaar se pyaare lagte ho tum mujhe, ~Main ne pyaar seekha bhi to sirf tere liye Jab bhi barish hue to teri yaad aae, ~Aur barish mein bheega bhi to sirf tere liye ~Hansi to mere labon se rooth gae, ~Magar jis roz bhi hansa to sirf tere liye...

Reza kanch ki surat mein bikhar jata hun

Reza kanch ki surat mein bikhar jata hun. Main teri yaad mein jab had sy guzar jata hun. Ab gurezan hai wo milnay se jo kehta tha kabhi. Tum se miltay hi main kuch or nikhar jata hun. Roz khata hun tujay yaad na karnay ki qasam. Roz wadon sy main apnay hi mukar jata hun. Muh ko tamasha bana dia hai mohabbat ne teri. Log kartay hain awazien main jidhar jata hun. Har gham pe khaya hai mohabbat ka dhoka. Ab koi pyar se bulata hai to dar jata hun..

Jane q zindagi ab sehra lagti hai

"Jane q zindagi ab sehra lagti hai" "Saans bhi loon tou zakhmon ko hawa lagti hai" "Q har baat ki taseer mujh par ulti hai" "Koi dua bhi de tu bad-dua lagti hai" "Jeene ki tamana nahin mujh ko zara bhi" "Saans lena bhi ab tou ik saza lagti hai" "Apne dil ka haal sunaon bhi tu kise" "Jab sari duniya hi mujhe bewafa lagti hai" "Koi marham nahin milta mere dard ka mujh ko" "Ab tou bas mout hi mere zakhmon ki dawa lagti hai"..

Khuda ik pal usay mera bana de

Khuda ik pal usay mera bana de.. Itna chahta hun usay koi usko bata de.. Bohat naaz hai mujhe apni muhabbat par.. Ho jaye wo mera aiasa koi mojza dikha de.. Agar wo mera naseeb ban nahi sakta.. Uske kadmon ki khak mujhe bana de..

Jab udas ho to gunguna lena mujhko

Jab udas ho to gunguna lena mujhko.. Jab tumhara koi na bane to apna bana lena mujhko.. Kabhi agar socho k tum se ziyada tumhen kon chahta hai.. To apne naam k sath phir se dohra lena mujhko.. Hansne k liye to mil jayen ge hazaron tum ko.. Jab rone k liye na mile koi kandha to bula lena mujhko..

Hone lagi hai tujh se mohabbat usey kehna

Hone lagi hai tujh se mohabbat usey kehna.> Lagta hai har ek lamha qayaamat usey kehna.< Milna to door tumse ai jaan-e-tamana.> Hai sochna tumko aadat usey kehna.< Dil pehle hi iqraar ki sooli pe khara hai.> Daalo na intezaar ki aadat usey kehna.< Mujh ko pyaar karne ki jo chahe saza do.> Karna nahi logon se shikaayat usey kehna.< Main tujhe chaahon, tujhe sochon, tujhe likhon.> Koi dil mein na reh jae meray hasrat usey kehna.<>..

"Un k andaz-e-karam, Un pe wo ana dil ka"

"Un k andaz-e-karam, Un pe wo ana dil ka" Haaye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka "Na suna usne tawajjo se fasana dil ka" "Umar guzri per dard na jana dil ka." "Dil lagi, dil ki lagi ban k mita deti hay" "Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka" "Wo bhi apne na howe dil bhi gaya haathon se" "Aesy aane se tou behtar hay na aana dil ka" "Unki mehfil me Parveen un k tabasum ki adaa" "Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka."...

Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Se Shààm Hone Do

'Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Se Shààm Hone Do, Main Khud He Laot Jaonga Mujhe Nàkààm Hone Do. Mujhe BADNAM Karne K Bahane Dhondte Ho Q? Main Khud Ho Jaunga Badnam Pehle Nààm Hone Do, Abhi Mujh Ko Nahi Karna Hai Aitraf-E-Shikast, Main Sub Tasleem Karlonga Ye CHARCHA Aàm Hone Do. Meri Hasti Nahi ANMOL Phir B Bik Nahi Sakta, Wafæin Baich Lena Par Zara NELAM Hone Do. Naye Aghaz Mein He Hosla Q Torr Bethe Ho? Sabhi Tum Jeet Jaoge Zara Anjam Hone Do...

Barson Guzar Gaye Ro Kr Nahi Dekha

Barson Guzar Gaye Ro Kr Nahi Dekha, Aankhon Main Neend Thi Magr So Kr Nahi Dekha, Wo Kya Jane Dard Muhabbat Ka, Jis Ne Kabhi Kisi Ka Ho Kr Nahi Dekha.

Kabhi mehrbaan tha to kabhi anjaan tha

Kabhi mehrbaan tha to kabhi anjaan tha.. Mera wehm tha ya wo mera gumaam tha.. De kar zakhm wo marham rakhta tha.. Ban raha tha ya wasey he itna nadaan tha.. Mujhse bichar gaya tha wo ek roz.. Wo shakhs jo meri pehchaan tha.. Khuda ko chahte to kuch mil b jata.. Hum ne chaha jis ko wo insaan tha...

Zindagi bewafa kyun hoti hay?

Zindagi bewafa kyun hoti hay? Wafa karne ki saza kyun hoti hay? Choti si baat pe baha dete hain khoon Insaan mein itni anna kyun hoti hay? Karta hun mein jis se baar baar tauba.. Elaahi mujh se wohi khata kyun hoti hay? Banate to hain hum apne haathon se masjid.. Namaz apni hi phir qaza kyun hoti hay?

Zindagi bewafa kyun hoti hay?

Zindagi bewafa kyun hoti hay? Wafa karne ki saza kyun hoti hay? Choti si baat pe baha dete hain khoon Insaan mein itni anna kyun hoti hay? Karta hun mein jis se baar baar tauba.. Elaahi mujh se wohi khata kyun hoti hay? Banate to hain hum apne haathon se masjid.. Namaz apni hi phir qaza kyun hoti hay?

==>Pagal wo kar deti hogi Ab bhi jab wo hansti hogi..

==>Pagal wo kar deti hogi Ab bhi jab wo hansti hogi.. ==>Mujh ko to barbaad kiya hay Khud bhi shayad roti hogi.. ==>Arsa beeta hay bin dekhe Jaane ab wo kesi hogi.. ==>Us k haath ki raikhaon mein Ik raikha meri bhi hogi.. ==>Jis din us se milna hoga Shaam bhi us k jesi hogi.. ==>Dulhan ban kar wo is dil mein Socho kesi lagti hogi.. ==>Jin haathon ko main ne chooma tha Un ko ab tak takti hogi.. ==>Sun kar mera naam wo shayad Ik lamhay ko chonkti hogi.. ==>Jaane ab wo kesi hogi

Hum log diwane pagal se hum pyar wafa k aadi heñ

!..GHAZAL..! Hum log diwane pagal se hum pyar wafa k aadi heñ Jab pyar kisi se karte hen iqrar ussi se karte hen Har lamha apne jiwan ka phir naam ussi k karte hen Gul sarey apni Chahet k Qurban ussi pey karte hen Or Mout ki aakhri hichki tak Bas naam ussi ka letey hen Ham log diwane pagal se.

Wo chahti hai mohabbat ki bheek maangun

Wo chahti hai mohabbat ki bheek maangun.. Us ko maalum shayed meri khud-daari ki intiha nahin.. Agar aazmanay par he raazi hai meri anna to dekhna.. Mujh say barh k phir zamaanay mein koyi be-wafa nahin...

Usko Chaha Bhi To Iqraar Na Karna Aaya

Usko Chaha Bhi To Iqraar Na Karna Aaya.. Kat Gayi Umr, Hamein Pyar Na Karna Aaya.. Usne Manga Bhi Agar Kuch Toh Judai Mangi.. Aur Ek Hum Thay Ke Inkaar Na Karna Aaya....

Umar ki raah me insaan badal jate hain

Umar ki raah me insaan badal jate hain.. Waqt ki aandhi main tufaan badal jate hain.. Soctha hoon tumhe pareshan na karun.. Lekin baad mein iradha badal jatha hai!!

Khizan ki rut ka sazawar bhi nahi hota

Khizan ki rut ka sazawar bhi nahi hota... Ye nakhl jaan k samr bar bhi nahi nahi hota... Kahan se dhoond k laatey hein zindagi ka jawaz... Woh jin ko ishq ka azaar bhi nahi hota... Warq warq woh meri daastaan hoti hai... Magar kaheen mera kirdar bhi nahi hota... Humein aziz bohut hein ye jaan-o-dil lekin... Tumhare saamne inkar bhi nahi hota... Nahi hay hasrat tameer bhi koi Tariq.... Magar ye khuwab tou masmaar bhi nahi hota...

Khoon badal se baraste dekha

Khoon badal se baraste dekha, Phool ko shaakh pe daste dekha, Kitne bedaar khayalon ko yahan, Daam ikhlaas mein phanste dekha, Dil ka gulshan k bayaban hi raha, Aisa ujjra k na baste dekha... Khul gaya jin pe musarat ka bharam Phir kabhi in ko na hanste dekha... Ab kahan ashk nadamat Saghar, Aastenoo ko taraste dekha...

Kiya ajab, ahtisab apna tha Jaan apni, azaab apna tha

Kiya ajab, ahtisab apna tha Jaan apni, azaab apna tha... Kuch mile log bhi zamana saaz Kuch muqaddar kharab apne tha... Ye k mukhlis they hum mohabbat mein Jurm bas ye janab apna tha... Ab kia karna us shakhs se gila kar k Wo bhi tou intikhab apna tha...

Kiya ajab, ahtisab apna tha Jaan apni, azaab apna tha

Kiya ajab, ahtisab apna tha Jaan apni, azaab apna tha... Kuch mile log bhi zamana saaz Kuch muqaddar kharab apne tha... Ye k mukhlis they hum mohabbat mein Jurm bas ye janab apna tha... Ab kia karna us shakhs se gila kar k Wo bhi tou intikhab apna tha...

Doob rahi hein saansen magar ye guman baaqi hay

Doob rahi hein saansen magar ye guman baaqi hay, Aane ka kisi shakhs k abhi imkaan baaqi hay, Muddat hui ek shakhs ko bichre huye lekin, Aaj tak mere dil pe ek nishaan baaqi hay, Kashti zara kinare k qareeb hi rakhna, Bikhri hui lehron mein abhi tufan baqi hay, Tumhare hi ashkon ne lab si diye warna, Abhi to mere dukhon ki bohut dastaan baaqi hay, Ghamo se keh do k abhi na rakh-e-safar bandhen, Kay abhi to mere jism mein kuch or jaan baaqi hay...

Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi

Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi, Mujhe dukhrra sunana tha use jane ki jaldi thi, Nahi tha waqt pas us k sunta dastaan meri, Bara lamba fasana tha use jane ki jaldi thi, Bari mudat ki khuwahish thi magar piasi rahi yaro, Galay usko lagana tha use jane ki jaldi thi, Nahi thehra wo ik lamha, jo raatein thehr jata tha, Tauq to purana tha use jane ki jaldi thi, Main Wasi rokta kese k rukna tha kahan us ne, Usey har haal jana tha, Usey jane ki jaldi thi,...

Main apni dosti ko shehar mein ruswa nahi karti

Main apni dosti ko shehar mein ruswa nahi karti, Mohabbat main bhi karti hoon magar charcha nahi karti, Jo mujh se milnay aajaye main us ki dil se khadin hoon, Jo utth k jana chahay mein usay roka nahi karti, Jisey main chhor deti hoon usey phir bhool jati hoon, Phir us hasti ki janib main kabhi dekha nahi karti, Tera israar sarr aankhon pe k tum ko bhool jaaoon main, Main koshish kar k dekhoon gi magar waada nahi karti...

Lo apna jahan ay duniya walo

Lo apna jahan ay duniya walo, Hum is duniya ko chor chale Jo rishtay naty jory thay, Wo rishtay nathay tor chale Kuch sukh k sapnay daikh chaly, Kuch dukh k sapnay jheel chale Taqdeer ki aandhi gardish nay, Jo khail khilaay khail chale Har chez tumhari lota di, Hum le kar kuch na sath chale Phir dosh na dena ay logo, Hum dekh lo khali hath chale Ye rah qateel akeli kat'ti hay, Yahan sath na koi yar chale Us paar na janay kiya hoga, Iss paar tou sab kuch haar chale..

Najane kia hoga na mil sake agar tum

Najane kia hoga na mil sake agar tum.. Saans tou chale gi par zinda na honge hum.. Dil mein gile tou honge bohut Magar khamosh rahege phir bhi hum.. Na chaha tha na chahenge kisi ko itna.. Ji liya shayad bas jeena tha jitna Bas phir khuda se 1 dua karenge hum.. Tum humein bhool jao or zindagi ko hum.. Meri bhi saari khushiyan milen tujhe.. Tere gham bhi cheen lenge hum agar aysa hojaye tou.. Haar k bhi jeet jayenge hum..

Jb joban tera dhal jaye, Jb piyar ki umar nikal jaye

Jb joban tera dhal jaye, Jb piyar ki umar nikal jaye, Jb chhoR de tjh ko husn tera, Jb chehra pur ho jhuriyon se, Jb lafz ka kham na baqi ho, Jb rangat na ho gaalon me, Jb chaandi utre baalon me, Jb aankh ki masti toot chuke, Jb hont b surkhi kho jayen, Jb chhoR den tjh ko sb sathi, Jb koi na tjh ko apnaye, Tb mere pas chale aana, Basti ki sooni galiyon me, Ek betha hoga deewana, Jo piyar ka paras pathar he, Jo tjh ko sona kr dega, Tere joban ko wo kia jaane, Teri umar se usko kia matlb, Tere jism se usko kia rishta, Jise kehte ho tm harjaai, He tere naam ka shedaai.

Tere sapno mein tera har lamha churaonga

Tere sapno mein tera har lamha churaonga.. Tum ko rulaonga, Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Phir yaad aengi tum ko meri baatein.. Wo sawan ki bheegi bheegi si raatein.. Yaadon mein aa kar tumhein sataonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Nahi sub ka muqadar wafa jaan lo jana.. Phir khudi se roothna khudi ko manana.. Main laut kar phir kabhi na aonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Ye wadey ye wafa baat purani hay.. Suno mohabbat ka dosra naam kahani hay.. Main mar kar bhi mohabbat ko nibhaonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Phir na kehna hum ko be-wafa jana.. Yahen talak tha chahat ka sisila jana.. Ab door kahin main chala jaonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Ajeeb hoti hay ghum ki daastan bhi.. Ghum mein tou rota hay aasman bhi.. Main tum ko aansoun mein nehlaonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aounga.. Bujh gaya meri zindagi ka diya sibtain.. Bardasht se ziada hay seh liya sibtain.. Main jab khaak-basera mein ho jaonga.. Mar jaonga to buht yaad aounga...

Tere sapno mein tera har lamha churaonga

Tere sapno mein tera har lamha churaonga.. Tum ko rulaonga, Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Phir yaad aengi tum ko meri baatein.. Wo sawan ki bheegi bheegi si raatein.. Yaadon mein aa kar tumhein sataonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Nahi sub ka muqadar wafa jaan lo jana.. Phir khudi se roothna khudi ko manana.. Main laut kar phir kabhi na aonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Ye wadey ye wafa baat purani hay.. Suno mohabbat ka dosra naam kahani hay.. Main mar kar bhi mohabbat ko nibhaonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Phir na kehna hum ko be-wafa jana.. Yahen talak tha chahat ka sisila jana.. Ab door kahin main chala jaonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aonga.. Ajeeb hoti hay ghum ki daastan bhi.. Ghum mein tou rota hay aasman bhi.. Main tum ko aansoun mein nehlaonga.. Mar jaonga tou bohut yaad aounga.. Bujh gaya meri zindagi ka diya sibtain.. Bardasht se ziada hay seh liya sibtain.. Main jab khaak-basera mein ho jaonga.. Mar jaonga to buht yaad aounga...

Din ko mismaar huey, Raat ko tameer huey

Din ko mismaar huey, Raat ko tameer huey.. *~*Khuwab hi khuwab faqat rooh ki jageer huey.. *~*Umar bhar likhtey rahey phir bhi warq saada raha.. *~*Janay kiya lafz they jo hum se tehreer na huey.. *~*Ye alag dukh hain k hain tere dukhon se azaad.. *~*Ye alag qaid hay hum kyun nahi zanjeer huey.. *~*Deda-o-dil mein tere aks ki tashkeel se hum.. *~*Dhool se phool huey, Rung se tasveer huey.. *~*Kuch nahi yaad k shab raqs ki mehfil mein Faraz.. *~*Hum juda kis se huey, Kis se baghal-geer huey..

Din ko mismaar huey, Raat ko tameer huey

Din ko mismaar huey, Raat ko tameer huey.. *~*Khuwab hi khuwab faqat rooh ki jageer huey.. *~*Umar bhar likhtey rahey phir bhi warq saada raha.. *~*Janay kiya lafz they jo hum se tehreer na huey.. *~*Ye alag dukh hain k hain tere dukhon se azaad.. *~*Ye alag qaid hay hum kyun nahi zanjeer huey.. *~*Deda-o-dil mein tere aks ki tashkeel se hum.. *~*Dhool se phool huey, Rung se tasveer huey.. *~*Kuch nahi yaad k shab raqs ki mehfil mein Faraz.. *~*Hum juda kis se huey, Kis se baghal-geer huey..

Din ko mismaar huey, Raat ko tameer huey

Din ko mismaar huey, Raat ko tameer huey.. *~*Khuwab hi khuwab faqat rooh ki jageer huey.. *~*Umar bhar likhtey rahey phir bhi warq saada raha.. *~*Janay kiya lafz they jo hum se tehreer na huey.. *~*Ye alag dukh hain k hain tere dukhon se azaad.. *~*Ye alag qaid hay hum kyun nahi zanjeer huey.. *~*Deda-o-dil mein tere aks ki tashkeel se hum.. *~*Dhool se phool huey, Rung se tasveer huey.. *~*Kuch nahi yaad k shab raqs ki mehfil mein Faraz.. *~*Hum juda kis se huey, Kis se baghal-geer huey..

Kuch na kehna chup chup rehna, ye bhi ik udaasi hay

Kuch na kehna chup chup rehna, ye bhi ik udaasi hay.. Hans k saray sadmay sehna, ye bhi ik udaasi hay.. Bethay bethay khho sa jana, youn hi door khayalon mein.. Chaltay chaltay hanstay rehna, ye bhi ik udaasi hay.. Maar k kankar lehren gin'na, beth k jheel kinaray par.. Kuch logon ka hay kehna, ye bhi ik udaasi hay..

Thumari yaad k manzar kabhi khonay nahi dete

Thumari yaad k manzar kabhi khonay nahi dete.. Thumari yaad k saaye humein sonay nahi dete.. Ye badal, phool aur khushbo bohut betaab karti hain.. Agar rona bhi chahein hum kabhi ronay nahi dete.. Hum apni saans de kar rok lete janay walon ko.. Hamara bas agar hota, juda hone nahi dete.. Nazar mein deed ki hasrat liye chup chaap bethay hain.. Woh hum se door reh kar bhi humein jeenay nahi dete..

Na ghamoon k geet suna karo

Na ghamoon k geet suna karo.. Na kisi ki yaad mein jala karo.. Ab chor do ye udasian Hamesha khush raha karo.. Na Khuda kare kisi ko juda Haath uthao tou ye dua karo.. Nahi bhata tera udaas chehra Na kabhi preshaan hua karo.. Suna hay k mantey ho hamari baat.. Hamari khaatir hi hanstay raha karo..

Ajab kurb ka aalam hay meri basti par

Ajab kurb ka aalam hay meri basti par.. Ghata bhi chaai hay barsat bhi nahi hoti.. Bohut kuch kehna hay tum se aaj magar.. Silay hein hont koi baat bhi nahi hoti.. Ajeeb rang badalta hay asar ka soraj.. K shaam khafa hay or raat bhi nahi hoti.. Main uski zaat ka hisa bhi ban nahi sakti.. Juda us se meri zaat bhi nahi hoti..

Her shakhs he jesy rukh-e-batil sy mila ho

Her shakhs he jesy rukh-e-batil sy mila ho.. Aik bhi nahi aisa jo humyn dil se mila ho.. Phir rah sy, rehbar sy, musafat sy gila kya.. Jab hukam palat jany ka manzil sy mila ho.. Andaz-e-mulaqat bhi is baar juda tha.. Jesy k unhyn waqt bhi mushkil sy mila ho..

Bichar Jana Mera Yon Bhi Ussy Manzoor Hai Shayad

Bichar Jana Mera Yon Bhi Ussy Manzoor Hai Shayad ^^ ^^ Kare To Kya Kare Wo Bhi Bohut Majboor Hai Shayad ^^ ^^ Main Us Ka Shehar Hi Chor Aaya Hon To Kya Hasil ^^ ^^ Meri Manzil Mohabbat Ki Abhi Kuch Door Hain Shayad^^ ^^ Main Us K Pyaar Mein Har Shakhs Se Begana Rehata Hon ^^ ^^ Sabhi Mehsoos Karte Hain Bohut Maghroor Hain Shayad....

Khat likh rahi hoon ehd e mohabat ko torr kar

Khat likh rahi hoon ehd e mohabat ko torr kar....! *~*Kagaz pe aansu'on ki jagha chorr chorr kar....! *~*Tu fikar mand q hai mere dil ko torr kar....! *~*Main khud hi ja rahi hoon tera shehr chorr kar....! *~*Kal raat likhne baithi gazal tere naam ki....! *~*Alfaaz samnay thy kharray haath jorr jorr kar....! *~*Main jis main dekhti thi tera aks ay DOST....! *~*Tu ne hi rakh diya wo aaina torr kar....!

Meri duaao main har pal naam hai tera

Meri duaao main har pal naam hai tera *~*Meri ibadatoh main justujo bhaa kaam hain tera Muj par jab neend ka galba aanay lagta hain *~*Tera wajood meri aankho main samanay lagta hain Tujhain main apnay qareeb pata ho sapno main na janay tu kab aaiy gi meray beech apno main meri zindagi bhi tu hain meri ibadat bhi tu hain meray jewan ki khobsurat bahaar bhi tu hain apnay pyaar ki shidat ko miraaj tak pouchao apnay pyaar ka marz teri zindagi main barhaao.........

Teri yad bohat ab aane lagi hai

Teri yad bohat ab aane lagi hai. Ek Jaan hai ab wo bhi jane lagi hai. Tanha tanha ab rehne laga hun. Tanhai bohat tarpane lagi hai. Es haal main Jeena mushkil hai. Har sans tujhey bulane lagi hai. Teri yadon ki Jo khushbo hai, Meri sanso ko mahkane lagi hai.. Koi lamha teri yaad se khali nahi. Ab tu ye ankhein bhi aansu bahane lagi hain. Agar lot aana hai tou lot aao. Is dil se ab dharkan bhi jane lagi hai. Teri yad bohat ab aane lagi hai...

Main Kaisay Shikwa Karon Wo Nadan Hai Bohut

__*{"GHAZAL"}*__ "Main Kaisay Shikwa Karon Wo Nadan Hai Bohut, "Udas Kar K Mujhe Khud Bhi Paraishan Hai Bohut, "Kehny Ko Wo Mery Kareeb Hai Bohat Lekin, "Faslay Ab tak Humaray Darmiyan Hain Bohat, "Wo Naye Zakhmo K Nishan Na Dekh Payeigy, "Dil Pay Pichlay Zakhmo k Nishan Hain Bohat, "Beach Bhanwar Say Bhi Nikal Kar kia Mila, "Khamosh Sahilo Par Tufan Hain Bohat, "Main Naa Bhi Chahoon to Chali Aati Hai, "Teri Yadain Mujh Par Meharban Hain Bohat.

Khamosh Lehje Mere Hamdam

"Khamosh Lehje Mere Hamdam," Kbi Bola Nhi Karte," Dard"o"Gham Ko Her Kisi k Saamnay," Khola Nhi Karte," Mohabbat To Mohabbat Hay," Bari Anmol Hoti hay," Mohabbat Ko Tarazu Main," Kbi Tola Nhi Karte," Mere Khamosh Rehne Pr," Koi Ilzam Mat Dena," Samandar To Samandar Hain Kabhi Bola Nhi Karte.

Usay apni zid ki fikar thi. Muji apni ana ka khayal tha

(" BEST GHAZAL") Usay apni zid ki fikar thi. Muji apni ana ka khayal tha Na mil sake hum phir kabhi Wo humari mohabbaton ka zawal tha. Meri liye us ka saath hi sub kuch tha. Us k liye ye sub mazak tha, Usy Bas apni manzilon ki fikar thi. Yahan meri zindagi ka sawal tha.

Bichhar k tujh se yehi khud ko saza di maine

Bichhar k tujh se yehi khud ko saza di maine... Teri talash mein ik umar laga di maine... Tujhe jo dil se nikala to yun laga jese... Apne andar koi dewaar gira di maine... Gongay behron mein raha jese koi Naabina... Zindagi tere bina aise bita di maine... Jis ka har lafz adhora raha tum bin... Zindagi aisi aik kitaab bana di maine... "Wasi" us ko achanak se jo khoya to laga... Zindagi aik hi lamhy mein ganwa di maine...

Khwahishon k Aangan mein raat din bseray thay

Khwahishon k Aangan mein raat din bseray thay, Titliyan tumhari then aur phool mere thay Chand aasmano se jab zamin pe utra tha, Dekhnay mein raatein then asal mein sweray thay Tere paas basnay ki khai thi qasam lekin, Shehar bhi praya tha log bhi luteray thay Lut gaye hum dono to qasoor kis ka hay? Khwahishen bhi teri then feslay bhi tere thay...

Bachpan Ka Zamana Hota

Bachpan Ka Zamana Hota Tha Khushion Ka Khazana Hota Tha Chahat Chaand Ko Pane KE Dil Titli Ka Deewana Hota Tha Rone Ki Waja Na Hoti Thi Hansne Ka Bahana Hota Tha Khabar Na Thi Kuch Subho Ki Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha Matti Kay Ghar Bnatey They Aur Un Ko Girana Hota Tha Gham Ki Zuban Na Hoti Thi Na Zakhmon Ka Paymana Hota Tha Barish Mein Kaghaz Ki Kashti Har Mosam Suhana Hota Tha Wo Khel Wo Saathi Hote The Aur Har Rishta Nibhana Hota Tha..

Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain

Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain Aur phir se laut jati hain.. Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain..

Wo Tum Na Thy Ek Khial Tha Meri Soch Ka Hee Kamal Tha

Wo Tum Na Thy Ek Khial Tha Meri Soch Ka Hee Kamal Tha Wo Ulfatain Wo Mohabbatin Meri Uljhano Ka Hee Jaal Tha Mere Dil mein Thin Jo Ronqain Wo Tera Hee Hasn-e-Jamal Tha Mujhe Jawab Jiska Mila Nahi Wo Aesa Hee ik Sawal Tha Wo Aaj Giya Tou Ehsas Hua Kis Qadar Mujhe Uss Se Piyar Tha..

Dil ne socha khat likhu, mili na shayari pyar wali

Dil ne socha khat likhu, mili na shayari pyar wali. Phir socha likhu phool se, mili na dali gulab wali. Isliye sms bhej rahi hu taki toote na dosti pyar wali.

Kehte hai dil ki baat har kisi ko kahi nahi jati

Kehte hai dil ki baat har kisi ko kahi nahi jati. Apno ko bhi batayi nahi jati. Par DOST to ayina hote hai Aur ayine se koi baat chuppai nahi jati...

Uss Fizaa Mein Bhi Jalte Rahe Hum kisi K Liye

Uss Fizaa Mein Bhi Jalte Rahe Hum kisi K Liye.. Jahan Chirag Taraste Thay Roshni K liye.. Yaad Rahe Ga Ye Door-E-Hayat Bhi Humko.. K Taraste Thay Zindagi Mein Zindagi K Liye...

Ye barishain bhi tum si hain, Jo baras gayi tou bahar hai

Ye barishain bhi tum si hain, Jo baras gayi tou bahar hai Jo thehar gayi tou qarar hain... Kabhi aa gayi yunhi bey sabab, Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain.. Ye barishain bhi tum si hain Kisi yaad mein kis raat ko ik dabi hui si raakh ko... Kabhi yun hua k bujha dia Kabhi khud se khud ko jala dia.. Kahin boond boond mein gum si hain.. Ye barishain bhi tum si hain...

Chaand ki simt nazar jaye tou kiya hota hay?

Chaand ki simt nazar jaye tou kiya hota hay? Raat kisi ki yaad mein guzar jaye tou kiya hota hay? Kitni masoom ada se wo mujhe pochta hay,. Jab doi dil mein utar jaye to kiya hota hay? Mere mola tu faqat itna bata de usko.. Aadmi jeete ji mar jaye tou kiya hota hay? Koi anjan sa shakhs ka kisi pichle pehar.. Aks aankhon mein thehr haye tou kiya hota hay? Dard de k mujhe woh hansta raha or boli.. Dard jab had se guzar jaye to kiya hota hay...