Posts

Showing posts from January 8, 2011

Ek Ajnabi Se Mujhe Itna

Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyaar Kyon Hai, Inkar Karne Par Chahat Ka Ikraar Kyon Hai Use Pana Nahi Meri Taqdeer Mein Shayad, Phir Har Mod Pe Usi Ka Intezar Kyon Hai...

Us Ajnabi Ka Youn Na

Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo Is Aashiq Dil Ka Na Aitbaar Karo Roz Nikla Karen Kisi Ke Yaad Mein Aanso Itna Kabhi Na Kisi Se Pyaar Karo..

Shaam E Gham Ki Qasam

Shaam e Gham Ki Qasam Aaj GhamgEen Hain Hum, Aa Bhe Jaa Aa Bhe Ja Aaj Meray Sanam, Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai, Dekh Ja Kis Trah Aaj TAnhA Hain Hum, Shaam E Gham Kii Qasam Khail Kaisa Jo PehlOo Mein TOo Hi Nahien, Maar Dalay Na DArd E JUdaii Kahien, Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya Chandhi Zulam Hai Or JUdaii Sitam Shaam E Gham Ki Qasam Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii DhOondhatii Hai Nazar TOo Khaan Hai Magar Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam Shaam E Gham Ki Qasam...

Shaam E Gham Ki Qasam

Shaam e Gham Ki Qasam Aaj GhamgEen Hain Hum, Aa Bhe Jaa Aa Bhe Ja Aaj Meray Sanam, Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai, Dekh Ja Kis Trah Aaj TAnhA Hain Hum, Shaam E Gham Kii Qasam Khail Kaisa Jo PehlOo Mein TOo Hi Nahien, Maar Dalay Na DArd E JUdaii Kahien, Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya Chandhi Zulam Hai Or JUdaii Sitam Shaam E Gham Ki Qasam Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii DhOondhatii Hai Nazar TOo Khaan Hai Magar Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam Shaam E Gham Ki Qasam...

Tu Acha Hai Tujh Say Tu

Tu Acha Hai Tujh Say Tu Rutha Na Jaiy Per Tujhay Satanay Ko Dil Chahata Hai Pyar Nay Diya Bahot Faraib Hum Ko Mager Tere Pyar Ko Nibhanay Ko Dil Chahata Hai...

Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte

Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte, Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte, Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna, Daman Phir Uss Se Churaya Nahi Karte, Us Ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil, Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aaya Nahi Karte, Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene Mein, Doosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte, Do Qadam Saath Chal Kar Jo Judda Ho Jayen, Aise Logon Ko Toh Humsafar Banaya Nahi Karte, Kiss Tarha Guzarti Hogi Zindagi Unn Ki, Pehli Mohabbat Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte..

Titlee Jo Ek Mujh Ko Mili Thi

Titlee Jo Ek Mujh Ko Mili Thi Kitaab Main Woh Apna Aks Chore Gayi Mere Khuwaab Main Ab Tak Woh Mere Zehen Main Uljha Sawaal Hai Shaamil Rahi Jo Har Ghari Mere Nisaab Main Aankhon Main Neend Hai Na Koi Khuwaab Door Tak Rehte Hain Hum Bhi Aaj Kal Waise Azaab Main Milta Hai Gardishon Se Gale Lag Ke Chaand Bhi Aaye The Simat Ke Faasle Kitne Saraab Main Aakhir Meri Wafa Ka Mujhe Kya Sila Mila Likha Na Aik Harf Bhi Us Ne Jawaab Main..

Main Roi To Nahi Hoonâ

Main Roi To Nahi Hoon…… Najaney Kiyoon Mera Kajal Jab Bhi Dalo Ankhon Main Ab Aksar Phail Jata Hai Tum To Jantey Ho In Dino Bohat Hi Thand Hoti Hai Tab Hi Hai Surkh Meri Naak Main Roi To Nahi Hoon…… Kaha To Hai Yunhi Buss Bheega Hai Aanchal Ka Kona Choro Tum Fiker Mat Karo Main Roi To Nahi Hoon…… Nahin, Udaas Kab Hoon Main Ziyada Kaam Kay Baies Thakawat Ho Hi Jati Hai Main Roi To Nahi Hoon…… Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi Nahin Aata To Na Aaye Ab Us Ki Yaad Mai Dekho Main Roi To Nahin Hoon….. Bata Dena Us Ko Ja Ker Koi Khush-Fehmi Na Palley Waisey Hi Surkh Hain Ankhin Main Roi To Nahin Hoon…..

Mein Ne To Bohat Chaha Magar Wo Mila He Nahi

€œ Mein Ne To Bohat Chaha Magar Wo Mila He Nahi €¦ Laakh Koshish Ki Magar Fasla Mita He Nahiâ €¦ Us Ko Majboor Zamane Ne Is Kadar Kar Diya Kâ €¦ Meri Kisi Saada Par Woh Thehra He Nahiâ €¦ Khuda Se Jholi Pehla Kay Manga Tha Usay €¦ Khuda Ne Meri Kisi Dua Ko Sunna He Nahiâ €¦ Har Aik Se Pucha Sabab Us Kay Na Milne Ka €¦ Har Eik Ne Kaha Woh Tere Liye Bana Hi Nahiâ..

Mujhe kamil yaqeen hai tum

Mujhe kamil yaqeen hai tum meri ban jaao gi ek din Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ban Jaao Gi Ek Din Tumhare Dil Mai Utroon Ga Mohabbat Ki Sada Ban Kar Mere Josh-e-janoon Par Sari Khalqat Mujhko Takti Hai Zara Tum Bhi Nazar Dalo Na Bethoo Yun Khuda Ban Kar Tumhain Yeh Raaz Batla Doon K Aksar Chand Ratoun Main Teri Aangan Mai Aata Hun Sitaroun Ki Zeeya Ban Kar Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tere Singhaar Ki Khatir Hatheli Par Racha Leyna Ye Mehkey Ga Hina Ban Kar.

Yun He Ek Roj Kahin Door

Yun He Ek Roj Kahin Door Chala Jaunga Waqt Kee Ta Yun He Ek Roj Kahin Door Chala Jaunga Waqt Kee Tarah Hun Haathon Se Fisal Jaaunga Apni Yaadon Ke Nisha Chhod Kar Jaata Hun Mai Dhund Lena Mujhe Yaadon Mai Main Mil Jaaunga Mai Saba Ban Ke Tere Paas Se Gujrunga Kabhi Tere Daaman Ko Jo Chhu Lunga To Thum Jaaunga Mar Gaya To Bhi Fana Na Hone Paunga Pyaar Bankar Main Fijaaon Mai Bikhar Jaaunga Jo Kabhi Yaad Banke Aaunga Dil Mai Tere Ashk Ban Kar Teri Aankho Se Chhalk Jaaunga Ab To Hur Shaks Kee NaZron Se Anish Utar Sa Gaya Teri Yaadon Se Bhi Ek Roj Utar Jaaunga...

Iqbal tery dees ka kya haal

Iqbal tery dees ka kya haal sunnaun, Bebaqi_o_h Iqbal Tery Dees Ka Kya Haal Sunnaun, Bebaqi_o_haq Goi Sy Gabrata Hai Momin, Makkari_o_robahi Py Itrata Hai Momin, Jis Rizq Sy Parwaz Main Kotahi Ka Dar Ho, Woh Rizq Bary Shoq Se Khata Hai Momin, Kirdar Ka, Guftar Ka, Aamal Ka Momin, Qaail Nhi Aisy Kisi Janjal Ka Momin, Sarhad Ka Hai Momin Koi Punjab Ka Momin, Dhondy Sy B Milta Nhi Quran Ka Momin, Iqbal Tery Des Ka Kya Hall Sunaun.!

Meri Zindagi to Firaaq hai

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makee Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi Wo Nigah-e-Shoq Se Door Hai, Rag-e-Jaan Se Laakh Qareeb Sahi Hamain Jaan Deni Hai Ek Din, Wo Kisi Tarah Wo Kahin Sahi Hamain Aap Khinchey Daar Per. Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi Sar-e-Toor Ho, Sar-e- Hashar Ho, Hamain Intizaar Qabool Hai Wo Kabhi Miley, Wo Kahin Miley, Wo Kabhi Sahi, Wo Kahin Sahi Na Ho Un Per Jo Mera Bus Na Sahi, Keh Yeh Aashqi Hai Hawas Nahi Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hoon, Wo Mere Nahi To Na Sahi Jo Ho Faisla Woh Sunaaiye, Usey Hashar Per Na Uthaaiye Jo Karain Ge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yahin Sahi Usey Dekhne Ki Jo Loo Lagi, To €˜NASIR’ Dekh Hi Lain Ge Hum Wo Hazaar Aankh Se Door Ho, Wo Hazaar Parda- Nasheen Sahi!!!!!!

Muhbat Hum Say Karni Ho To

Muhbat Hum Say Karni Ho To Phir Wada Nahi Karna, Ye Waday Hum Nay Dekhay Hain K Aksar Tot Jatay Hain Muhbat Hum Say Karni Hai To Phir Zid Bhi Nahi Karna, Ye Zid Bhi Hum Nay Dekhi Hai K Sathi Chhot Jatay Hain Muhbat Hum Say Karni Hai To Phir Tohfa Nahi Daina, Ye Tohfay Hum Nay Dekhay Hain Buht Majbor Kartay Hain Muhbat Hum Say Karni Hai To Phir Shikwa Nahi Karna, Ye Shikway Hum Nay Dekhe Hain Dilon Ko Dor Karte Hain Muhbat Hum Say Karni Hai To Phir Roya Na Karna, Ye Aanson Hum Nay Dekhay Hain Dilon Ko Cheer Detay Hain.

Main Chahta Hi Na Tha Use

Main Chahta Hi Na Tha Use Lajawab Karna Warna Jawab Mere Paas Us K Har Sawal Ka Tha Uski Jeet Se Hoti Thi Khushi Mujhko Yahi Jawaz Mere Pas Apni Haar Ka Tha.

UMMID KAISE KAREIN HUM FIRDOUS KE MILNE KI

BEY SHAK HUM TO ISHQ MAY ISHQ HI KARTE RAHE,, LEKIN SAMAJ NEY MAY LOG GALTI KARTE RAHE,, IS DOUR KE SATH HUA TARIFFUN MAY BADAL LOG MANOUN MAY BHI TABDILI KARTE RAHE,, KOI TO SURATH NIKLE AB UN SE MILNE KI,, YAHI DUA SHAED RATH BHAR WOH BHI KARTE RAHE,, MUSKURAKAR NAZAR UTTHANA PHIR JHUKA DENA,, QAYAMAT HOGI WOH AGAR YOUNHI KARTE RAHE,, UMMID KAISE KAREIN HUM FIRDOUS KE MILNE KI,, IBBADATH TO KI NAHI BAS ASHIQI KARTE RAHE,, HUM KOI MEER YA DAAG TO NAHI HAIN,, PHIR BHI HUM MOHABAAT MAY SHAYARI KARTE RAHE...

Yaad Teri Jab B Aai Wafa

Yaad Teri Jab B Aai Wafa Roti Rahi, Aankh Se Barsa Wo Baadal K Intiha Hoti Rahi, Kal Najany Kya Sitam Toota Teri Yad Aaney K Baad, Raat Bahr Galiyon Main Kio Pagal Hawa Roti Rahi, Tere Milney Ki Dua K Liye Jab B Haath Uthaey Main Ne "MOHSIN", Meri Is Masoom Khwahish Pe Najaney Kio Dua Roti Rahi..

Muddat Se Jiske Waastey Dil

Muddat Se Jiske Waastey Dil BeQrar Tha, Wo Lout Kr Na Aya Magar Intezaar Tha, Jo Hamsafar Tha Chhor Gaya RaaH Main Mujhe, Main Phas Gaya Bhanwar Main OR Wo Darya K Paar Tha, Manzil Qareeb Aayi To Tum Door Ho Gaye, Itna To Tum Batao K Ye Paisa Pyaar Tha, DeeWar Bana Di Ye Kis Ne Dono K Darmyan, Na Wo Sukon Se BeTha Na Mujhko Qarar Tha, Ye Baat Umer BHar Samjh Na Paya Main, MoHSin Kiun Dil Mer Us Bewafa Ka Talab Gaar THa..!

Kuch saath uska denaa hai

Kuch saath uska denaa hai kuch saath uska paana ha Kuch Saath Uska Denaa Hai Kuch Saath Uska Paana Hai.. Pathron Ke Is Shehar Mein Ek Kaanch Ka Ghar Banana Hai.. Ek Naam Uska Likhna Hai Ek Naam Hamein Ban Jaana Hai..? Kuch Baatein Us Se Karni Hain Kuch Dil Ka Haal Sunana Hai.. Chupkay Se Jo Mangi Hain Un Duaon Main Usko Paana Hai..! Usey Kaho Wo Rooth Ke Mujhse Na Jaye Mujhe Saath Uska Paana Hai...

Tere ishq ki inteha chahta hoon

Tere ishq ki inteha chahta hoon Meri saadgi dekh kya chahta hoon [inteha=limit; saadgi=simplicity] Sitam ho k ho vaada-e-behijaabi, Koi baat sabr-aazmaa chahta hoon, [vaada-e-behijaabi=promise to be unveiled] [sabr-aazmaa=testing the patience] Ye jannat mubarak rahe zaahidon ko, KI main aap ka saamnaa chahta hoon [jannat=heaven; zaahid=a person Belonging to a higher plane of existence] Koi dam ka mehmaan hoon ae ahal-e-mehfil Chiragh-e-sehar hoon, bujha chahta hoon [ahal-e-mehfil=people present at the gathering] [chiragh-e-sehar=light of dawn] Bhari bazm mein raaz ki baat kahdi Badaa be-adab hoon, saza chahta hoon... by: ALLAMA MUHAMMAD IQBAL

Humara DIL saweeray ka

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye chi Humara DIL Saweeray Ka Sunehra Jaam Ho Jaye Chiraghon Ki Tarah Ankhein Jalein Aur Shaam Ho Jaye Kabhie Tow Asmaan Se Chand Utray Jaam Ho Jaye Tumharay Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaye Ajab Halaat Thay Yun Dil Ka Soda Ho Geya Akhir Mohabbat Ki Haveeli Jis Tarah Nelaam Ho Jaye Sumandar K Safar Mein Iss Tarah Awaz De Hum Ko Hawayen Teez Hon Aur Kashtiyun Mein Shaam Ho Jaye Mujhay Maloom Hai Usska Thikana Phir Kahan Ho Ga Parinda Asmaan Choonay Mein Jab Nakaam Ho Jaye Ujalay Apni Yaadon K Humaray Sath Rehnay Do Najanay Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye.

humara DIL saweeray ka

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye chi Humara DIL Saweeray Ka Sunehra Jaam Ho Jaye Chiraghon Ki Tarah Ankhein Jalein Aur Shaam Ho Jaye Kabhie Tow Asmaan Se Chand Utray Jaam Ho Jaye Tumharay Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaye Ajab Halaat Thay Yun Dil Ka Soda Ho Geya Akhir Mohabbat Ki Haveeli Jis Tarah Nelaam Ho Jaye Sumandar K Safar Mein Iss Tarah Awaz De Hum Ko Hawayen Teez Hon Aur Kashtiyun Mein Shaam Ho Jaye Mujhay Maloom Hai Usska Thikana Phir Kahan Ho Ga Parinda Asmaan Choonay Mein Jab Nakaam Ho Jaye Ujalay Apni Yaadon K Humaray Sath Rehnay Do Najanay Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye..

Tum Jis Rastay Say

Tum Jis Rastay Say Guzartay Ho Jis Cheez Ko Chotay Ho Main Us Rastay Pay Bethi Rehti Hoon Os Cheez Ko Takti Rehti Hoon Main Aisi Mohabbat Karti Hoon Tum Kesi Mohabbat Kartay Ho.

Marti Hoi Zamee’n Ko

Marti Hoi Zamee’n Ko Bachaana Parra Mujhay… Baadal Ki Tarah Dasht Pay Aana Parra Mujhay… Woh Ker Nahee’n Raha Tha Mairi Baat Ka Yaqeeâ €™n… Phir Yoo’n Hua K Mar K Dikhhana Parra Mujhay… Bhoolay Say Mairi Simt Koi Daikhhta Na Tha… Che’hray Pay Aik Zakhm Lagaana Parra Mujhay… Us Ajnabi Say Haath Milaanay K Waastay… Mehfil May Sab Say Haath Milaana Parra Mujhay… Yaadai’n Thee’n Dafan Aisi K Bad-az-farokht Bhi… Us Ghar Ki Daikh-bhaal Ko Jaana Parra Mujhay… Us Bay-wafa Ki Yaad Dilaata Tha Baar Baar… Kal Aainay Pay Haath Uthaana Parra Mujhay… Aisay Bicharr K Us Nay To Mar Jaana Tha Hasan… Us Ki Nazar May Khud Ko Giraana Parra Mujhay…!!

Apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon

Moin Ahsan Jazbi Apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon, Apne Gham_khaney mein ik dhoom macha loon to chaloon, Aur ik jaam-e-may-e-talkh charaa loon to chaloon, Abhi chalta hoon zara Khud ko sambhaloon to chaloon, Jaane kab pi thi abhi tak hai may-e-Gham ka khumaar, Dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai jahan-e-bedaar, Aandhiyan chalti hain dunya hu jati hai Ghubaar Aankh to mal loon zara hosh mein aa loon to chaloon Vo mera saahir vo ejaaz kahan hai lana, Meri khoi hui aavaaz kahan hai lana, Mera Toota hua vo saaz kahan hai lana, Ik zara geet bhi is saaz pe gaa loon to chaloon, Main thaka haraa tha itne mein jo aaye badal, Kisi matvaale ne chupke se baRaa di botal, Uff vo rangeen pur-israar Khayaalon ke mahal, Aise do char mahal aur bana loon to chaloon, Meri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka Ghuroor, Mere honton ko abhi tak hai sadaaqat ka Ghuroor, Mere maathe pe abhi tak hai sharaafat ka Ghuroor, Aise vehmon se bhi ab Khud ko nikaloon to chaloon...

logon se taruf na koi jan

logon se taruf na koi jan pehchan, dil hai k iss bazm ka shedaee bohat hai... MeHr MaZhAr IqBaL

Digital World (TRT Haber (aka TRT 2)

TRT Haber (aka TRT 2) Turksat 2A (42.0E) New 11918.00 V 24440 3/4 SID: 0005 VPID: 0264 HEX KEY: 10 00 00 00 00 00 00 00

Apane Khvaabon mein tujhe

Apane Khvaabon mein tujhe jis ne bhi dekhaa hogaa,, Aankh khulte hi tujhe Dhoondhne nikla hogaa,, Zindagii sirf tere naam se mansoob rahe,, Jaane kitne hi dimaaghon ne ye socha hogaa,, Dost ham us ko hi paighaam-e-karam samjhenge,, Teri furqat ka jo jalataa hua lamha hogaa,, Daaman-e-zeest mein ab kuchh bhi nahi hai baaqi,, Maut aai to yaqeenan use dhoka hogaa,, Raushani jis se utar aai lahoo mein mere,, Ae masihaa vo mera zakhm-e-tamanna hogaa..

Shaam ho jaam ho subho bhi ho

Shaam ho jaam ho subho bhi ho,, Tujh ko paane kii justajoo bhi ho,, Dil se dil ki kahaaniyaan bhi sune,, Aankhon aankhon mein guftagoo bhi ho,, Jheel si gehari sabz aankhon mein,, Doob jaane ki aarzoo bhi ho,, Sirf tere badan ki shama jale,, Aur andheraa sa chaar soo bhi ho...

Mujh ko yaqeen hai sach

Mujh ko yaqeen hai sach kehti thiin jo bhi ammi kehti thiin,, Jab mere bachpan ke din the chaand mein pariyaan rehti thiin,, Ik ye din jab apnon ne bhi hum se naataa toR liya,, Ik vo din jab pe.R ki shaakhein bojh hamaaraa sehti thiin,,, ik ye din jab saari saRKein roothi roothi lagti hain,,, Ik vo din jab 'aao khelein' sari galiyaan kehti thiin,, Ik ye din jab jaagi raatein divaaron ko takti hain,, Ik vo din jab shaamon ki bhi palkein bojhal rehti thiin,, Ik ye din jab laakhon Gham aur kaal paRaa hai aansoo kaa,, Ik vo din jab ek zaraa si baat pe nadiyaan behti thiin... by: Javed Akhter

Ye jo hai hukm mere paas na aaye ko_ii

Ye jo hai hukm mere paas na aaye ko_ii,, Is liye ruuTh rahe hai.n ki manaaye ko_ii,, Taak me.n hai nigah-e-shauq Khudaa Khair kare,, Saamane se mere bachataa huaa jaaye ko_ii,, Haal afalaaq-o-zamii.n kaa jo bataayaa bhii to kyaa,, Baat vo hai jo tere dil kii baataaye ko_ii...

apane 'Daag' ko muu.Nh bhii na lagaayaa afsos

apane 'Daag' ko muu.Nh bhii na lagaayaa afsos,, Us ko rakhataa thaa kaleje se lagaaye ko_ii Ho chukaa aish kaa jalasaa to mujhe Khat bhejaa,, Aap kii tarah se mehamaan bulaaye ko_ii...

Jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho

Jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho,, Ab mahafil-e-yaaraan mein bhi tanhai hai dekho,, Phulon se havaa bhi kabhi ghabaraai hai dekho,, Gunchon se bhi shabanam kabhi katraai hai dekho,, Ab zauq-e-talab vajah-e-junoon Thair gayaa hai,, Aur arz-e-vafaa baa_is-e-rusvaai hai dekho,, [vajah-e-junoon = reason for madness] [baa_is-e-rusvaai = reason for disgrace/disrepute] Gam apney hi ashkon kaa Kharidaar hua hai,, Dil apney hi haalaat kaa tamaashaai hai dekho...

Raat khamosh hai chand madhosh hai

Raat khamosh hai chand madhosh hai Thaam lena mujhey, ja raha hosh hai,, Milan ki dastaan dharkanon ki zuban,, Ga rahi hai zameen sun raha aasman,, Gungunati hawa de rahi hai sada,, Sard iss raat ki garam aaghosh hai,, Mehakti ye faza jaisey teri ada,, Ccha raha rooh per janey kaisa nasha,, Jhoomta hai jahan ajab hai ye saman,, DIL k gulzar mein ISHQ pur zor hai...

Ye dhoka bhi kha kar dekHo

Ye dhoka bhi kha kar dekHo,, Doori mein kia bhaid chhupa hai,, Iss ka khoj laga kar dekho,, Kisi akaily sham ki chup mein geet puraney gaa ker dekho,, Aaj ki raat bohat kaali hai soch k deep jala kar dekho,, Jaag jaag kar umar kati hai, Neend k dwarey jaa kar dekho.. MUNIR NIAZI

Bhooli hui sadaa hoon mujhe yaad kijiye

Bhooli hui sadaa hoon mujhe yaad kijiye,, Tum se kahin milaa hoon mujhe yaad kijiye,, Manzil nahin hoon Khizr nahin rahazan nahin,, Manzil kaa ra.ntaa hoon mujhe yaad kijiye,, Meri nigaah-e-shauq se har gul hai devataa,, Main ishq kaa Khudaa hoon mujhe yaad kijiye,, Naghmon ki ibtidaa thi kabhi mere naam se,, Ashkon ki intahaa hoon mujhe yaad kijiye,, Gum-sum khaRi hain dono.n jahaan ki haqiqate.n,, Main un se keh rahaa hoon mujhe yaad kijiye,, "Sagar" kisi ke husn-e-taghaaful shaar ki,, Behaki hui adaa hoon mujhe yaad kijiye...

Jab tasawur mera chupke se

Jab tasawur mera chupke se tujhey chhu aaye,, Apni har saans se mujh ko teri khushboo aaye,, Mashghala ab hai mera chand ko taktey rehna,, Raat bhar chain na tujh bin kisi pehloo aaye,, Ghantiyan bajney lagiin hijr ke sannatey se,, Gungunata hua aisy mein agar tu aaye,, Jab kabhi gardish-e-doran ne sataya mujh ko Meri janib tere phailey huye bazoo aaye...

Main sanson mein samo loon

Main sanson mein samo loon ga tumhary har amanat ko,, Ye wehshat naak sannatey ye tanhai mujhey de do,, Tumharey baad har manzar mujhey berang lagat hai,, Ye aankhein ccheen lo ya apni beenaai mujhey de do...

Dil hijr k dard se bojhal hai

Dil hijr k dard se bojhal hai ab aan milo to behter ho,, Iss baat se hum ko kia matlab,, Ye kaisey ho ye kyoon kar ho,, Ik bheek k dono kaasey hain ik pyas k dono pyasey hain Hum khaity hain tum badal ho,, Hum sehra hain tum sagar ho,, Hum sanjh samey ki cchaya hain,, Tum charrti raat k chandar maah,, Hum jaate hain tum aate ho,, Phir mial ki soorat kyoon kar ho,, Wo baatein chand k saath gaein,, Wo raatein chand k saath gaein,, Uss sukh k sapne kia dekhein,, Jab dukh ka sooraj sar per ho,, Ab INSHA ji ko bulana kia ab pyar k deep jalana kia,, Jab dhoop aur cchaya aik se hoon jab din aur raat baraber hoon... by: Insah Ji