Posts

Showing posts from October 5, 2015

Jab bhi hansne ke zamaane aaye

Jab bhi hansne ke zamaane aaye Zakhm phir yaad puraane aaye Baar-ha unko manaaya to hamein RooTh jaane ke bahaane aaye Phir mujhe toot ke chaaha usne Phir bichhaRne ke zamaane aaye Muskuraa kar hamein milne waale Zindagi bhar ko rulaane aaye      style="display:block"      data-ad-format="fluid"      data-ad-layout-key="-ek+6f-x-bw+pb"      data-ad-client="ca-pub-4388328969063861"      data-ad-slot="1609891616"> Kitni mahroom thiN neendein unki Khaab bhi jin ko jagaane aaye Teri chahat ne Thaharne na diya Raah mein kitne thikaane aaye Tu nahi hai to hawa ka jhoNka Ghar ki zanjeer hilaane aaye Dil bujhaa hai na jale hain kheeme Aap kyuN jashn manaane aaye Isi ummeed pe jaago yaaro! Ab woh kis waqt na jaane aaye Raas aaya jinhein sehra 'Muhsin' Unki qismat mein khazaane aaye

Toot jae na Bharam Hont hilaon kesy,

Toot jae na Bharam Hont hilaon kesy, "Haal Jesa B Hy logon ko bataon kesy.. "Khusk Ankhon se B Ashkon ki Mehek Aati hy.. "Ma tery Ghm ko Zamany se Chupaon kesy. Tu he Btaa Meri Yadon ko Bhulnay Waly.. Ma Teri yaad ko is dil se Bhulaon kesy.. Phool hota to Tery dar pe saja rehta Zakham le kar Teri Dahleez pe aaon desy Tu Rulata hy to rula Mujhe ji bhar ke, Teri Ankhein to meri hen, ma in ko rulaon KAISE..?

Tuje se dil ke baat karon kis trha?

Tuje se dil ke baat karon kis trha? To meri jan hay tujhe baton kis trha? To anjan hy ya ban raha hai? Ye andaza lagaon kis tanrah? Muqadar se muqadar milana to Dor ki baat hai, Tere dil se dil milaon kis traha? To milay na milay ye qismat ki baa thy mgrTujhe chah hy tujhe bhool jaon kis trah?

Humara Bas Nahi Chalta

Humara Bas Nahi Chalta ..! Tumhe Banho Me Bhar Lete Tumhe Sab Se Chupa Lete Tumhe Ankho Me Rakh Lete Kabhi Na Roothne Dete Kabhi Na Tootne Dete Tumhe Hum Qaid Kar Lete Bus Apne Dil Ki Dunya Me KisiBhi Haal Me Hum Phir Tumhe Azaad Na Karte, Sabhi Dunya Bhula Dete, Tumhe Apna Bana Lete, Hamare Bus Me Hota Tou, Magar Hai Bebasi Aisi, Hamara Dil Machalta Hai, Tumhe Hi Yad Karta Hai, Tumhara Qurb Chahta Hai, Magar Hum Kya Karen Jana, Hamara Bus Nhi Chalta

main main na rahoon tum tum na raho ek duje mein

main main na rahoon tum tum na raho ek duje mein khoo jain ek jaan ho jain chalo aao aaj ki sham ko kuch es tara sajain ke seher tak donon madhoosh ho jain lepat ke ek duje ki bahoon se raat bhar barsoon ki tashnagi seher tak mitaain dori rahe na darmiyan etne qareeb aao tum hum mein sama jao hum tum mein sama jain es haseen sham ko aaj yun na dhalne deain sulagne deain saansoun ko jismon ko phigalain bujhane se bhi nhi bujhti yeh piyaas muhabbat ki ab tarse howe hontoon ko hontoon se milne deain barsoon ki tashnagi ko kese bujhain MAHEK chalo aao phir se ek haseen sham sajain

Main jeena chahta hon, teri har saans men tere ahsas men

Main jeena chahta hon, teri har saans men tere ahsas men, mahekti raat men tere jazbat men, khanakte saaz men teri aawaz men, sulagte raaz men tere andaz men, tere agaz men tere anjam men, chalagte jaam men teri har sham men, main jeena chahta hon

Apni Aankhon Ke Samunder Main Utar Jaane De

Apni Aankhon Ke Samunder Main Utar Jaane De… Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De… Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko… Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De…

Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho

Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho, Sehra ki baahon mein chupi Aas b Tum ho, Tum yun to bohat door! bohat door ho Mujhse, Ehsaas ye hota hai Mere paas b Tum ho, Har Zakham ki Aaghosh mein ha dard Tumhara, Har dard mein taskeen ka Ehsaas b Tum ho, Kho jao to Veeran si ho jaati hein rahein, Mil jao to phir Jeenay ka Ehsaas b Tum ho, Likhta hoon to Tum hi utartay ho qalam se, Parhta hun to Lehja b Tum, Aawaz b Tum ho…!

Khud ko is dil may basanay ki ejazat de do

Khud ko is dil may basanay ki ejazat de do Mujhy tum apna banany ki ejazat de do Tum meri zindgi ka haseen lamha ho Pholon say khud ko sajany ki ejazat de do Kitna chahta hoon tujhy kesay bataon Mujhy aaj itna batany ki ejazat de do Tumhari ye raat c zulfon main chand sa chehra Mujhy ye sham sajany ki ejazat de do.

Tere JISM pe main apne JISM Ko rakhon

Tere JISM pe main apne JISM Ko rakhon Tere HONTON ko apne HONTON se MASLON Tujhe Piyar main itni SHIDDAT se karon k Teri JAAN Nikal jaye Us DARD se Teri Aankhon se AANSU Jhalak jaye Tu TAN se or MANN se Sirf meri ho jaye BADAN se Tere Lipta rahon or Subha ho jaye SUBHA Tujh se jab main Pochon Teri RAAT ka AALAM Tu Sharma kar Mere SEENE se Lag jaye.

Andhairi Raat K Lamhe Tamam Hone Tak

Andhairi Raat K Lamhe Tamam Hone Tak, Tujhe Hi Sochta Hoon Subho Se Shaam Hone Tak, Main Aisa Jisam Hoon Jis Ki Rooh Bhi Tu Hai, Adhuri Zaat Hoon Main Tere Naam Hone Tak, Teri Aawaz Sun Na Loon To DIL Nahi Lagta, Tarapta Rehta Hoon Tujh Se HUM Kalaam Hone Tak, Teri Nazar Ki Keemat Pe Bik Raha Hai Koi, Use Khareed Le Tu Mehnge Daam Hone Tak, Ishq Ki Aag Jo Seene Mein Laga Baithe Hain, Sulagti Rehti Hai Ye Neendein Haram Hone Tak

Apni ankh ka Tara ya Chand kahoon

Apni ankh ka Tara ya Chand kahoon, Khud he batao kis Naam se bulaon Tum ko, Tum mere DIL ki Kharkan ban gaye ho Phir batao kis tanrha Bhool jaon Tum ko?

Aao kabhi seeny se lagaon TUM ko

Aao kabhi seeny se lagaon TUM ko, Rutho jo mujh se to Manaon tum ko, meri baadon me neebd Aa jaye, Phir khud he jagaon tum ko, Tu hamesha k liye Mera ho jaye, Aisa taveez Pilaon tum ko, Is andaz se tum meri jan mango, Main inkar na kar paon tum ko.

Koi raat mere ashna mujhe youn b to naseeb ho

Koi raat mere ashna mujhe youn b to naseeb ho Na khyal ho libas ka wo itna mere qareeb ho Badan ki garam aanch se meri aarzu ko aag de Mera josh b behak uthay mera haal b ajeeb ho Teray chashni wajood ka main sara rass nichor loon Phir tu he mera marz ho phir tu he mera tabeeb ho

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din Phoolon ki tarha "husn" ki baarish mein naha loon Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din

Banke Gajra Terey Baalon Mein Bikhar Jaon Mein

Banke Gajra Terey Baalon Mein Bikhar Jaon Mein Misl-e-Kajal Teri Ankhaon Mein Sanwar jaon Main Sans Banke Kabhi Nathnoan Se Kabhi Hontoan Se Hoale Hoale Tere Seeney Mein Utar Jaon Main Arzo Dil Ki Merey Jaan-e-Wafa Bass Hai Yehi Terey Hontoan Pe Hansi Banke Nikhar Jaon Mein Mar Ke Bhi Saath Rahe Teram Bas Ek Iske Liye Khoon Banke Teri Rag Rag Mein Utar Jaon Mein

Aj Mujh Se Lipat K So Jao, Aj Kro Kuch Aisa Mujh Me Kho

Aj Mujh Se Lipat K So Jao, Aj Kro Kuch Aisa Mujh Me Kho Jao Apne Nazuk Se Malmal Se Jism Ki Khushbu Se, Mere Badan Ko Mehka K So Jao Musalsal Sans Se Sans Jor Do Jana, Aj Mere Tan Se Apna Tan Mila K So Jao Chand Si Chandni Me Taaro Ka Dikhao Jalwa, Aj Mujhe Pyar Do Ya Pyar Kar K So Jao.

Honton sy kbi hont mila kr dekho

Honton sy kbi hont mila kr dekho…. mjhko apny nazdik kbi bula kr dekho….. mai ny suna hy lazat e lab chomnay sy nasha charta hy….. aa0 phr kisi shab mje ye jaam pila kar dekho….. kitni muztrib hr raat guzarti hy tm kia jano kbi jismo ma lagi aag honton sy jala kar dekho….. pyas bi bhuj jaey gi arman bi sabi hongy pory…… bs ek raat mjhy apny pas sula kar dekho…… honton sy kbi hont mila kr dekho…..?

Mujhe ab darr nahin lagta kisi ke door jane

Mujhe ab darr nahin lagta kisi ke door jane se Taluq toot jane se Kisi ke maan jaane se Kisi ke rooth jaane se Mujhe ab Darr nahin lagta Kisi ko aazmane se Kisi ke aazmane se Kisi ko yaad rakhne se Kisi ko bhool jaane se Mujhe ab darr nahin lagta Kisi ko chorr dene se Kisi ke chorr jaane se Shamma ko jalaane se Shamma ko bhujaane se Mujhe ab darr nahin lagta Akele muskuraane se Kabhi ansuu bahaane se Na iss saare zamaane se Haqeeqat se fasaane se Mujhe ab darr nahin lagta Kisi ki naa-rsaayi se Kisi ki paa-rsaayi se Kisi ki bewafaayi se Kisi dukh intehaayi se Mujhe ab darr nahin lagta Na to iss paar rehne se Na to uss paar rehne se Na apni zindgaani se Na ik din maut aane se Mujhe ab darr nahin lagta