Posts

Showing posts from April 18, 2011

"Apni agosh me ik roz chupa lo mujko

"Apni agosh me ik roz chupa lo mujko Gham e dunyan se mri jaan bacha lo mujko Unko de di isharon mn ijazat meny Mangny se na milon to churra lo mujko Apne sae se b ab to mujy dr lgta hy Ho jo mumkin to nighahon me chupa lo mujko Dil me nakam tamannaon ka tufan sa hy Mri uljhan mri wehshat se nikalo mujko Unko likhna hy kisi roz ye khat me jana Hum to khud k b nai apna bna lo mujko...

Usay mainy he likha tha, K Lehjay burf ho jaen,

Usay mainy he likha tha, K Lehjay burf ho jaen, to phir pighla nahi krty, Parinday dar k urr jaen, to phir lauta nhi krty,, Usay mainy he likha tha, Yaqeen uth jaey to shayad, kabi wapas nahi aata, Hawaon ka koi tufan, kabi barish nahi lata, Usay mainy he likha tha, k shisha toot jaey to, kabi phir jurr nahi pata, Wabasta jin se hon umeedain woh bdal jaen, TO PHIR JIYA NHI JAATA..

"TUM AiSA KRNA".! Koi Jugnu , Koi Sitara , SanbhaL rakhna!

"TUM AiSA KRNA".! Koi Jugnu , Koi Sitara , SanbhaL rakhna! Mere Andheron ki Fikr chhoro, Bus apny Ghar ka khayaL rakhna ! Hamari Aankhon ne jo miL k daikhy, Wo saary Sapne sanbhaL rakhna! Ye Judai apni to Aarzi hai , Na DiL mein is ka maLaaL rAkhna ! Humhari Saansain , humhari Dharkin , Suno...! tamari Amanatain hain, Hamari khaatir hi ! Hamesha "APNA khayal rakhna?

Koi Aisa B Tu Hwa Kray Meri Dhrknon Ko Suna Kare

Koi Aisa B Tu Hwa Kray Meri Dhrknon Ko Suna Kare Main Ye Zindgi Us Pe War Doon Jo Khloos-E-Dil Se Wafa Kare Mere Karb Ko Wo Smjh Sake Mere Dard Ki Wo Dawa Kare Mujhe Us K Ishq Pe Naaz Ho Wo Talab May Meri Raha Kare Meri LAAJ Uska GHUROOR Ho Meri Zaat Ka Wo Difa Kare Karre Maosmon K Azaab Main Wo Bahar Bn K Mila Kare Jo Zubaan Meri Khamosh Ho To Jhank Dil Main Lea Kare Mera DUKH Uska B DARD Ho Mere Sath Wo B Jala Kare.

Main TITLIYOON ko sula doon ga zara tum SHAAM honay do.

* GAZAL * Main TITLIYOON ko sula doon ga zara tum SHAAM honay do. Main JUGNUON ko jaga doon ga zara tum SHAAM honay do. Meri ghamnaak ankhoon ko na tum dekho HAQAARAT se, Main tum ko b rula doon ga zara tum SHAAM honay do. kahan AGHAAZ hota hai kahan ANJAAM hota hai, Hunnar saaray sikha doon ga zara tum SHAAM honay do. Jo tum ne mujh se poocha hai kahan hogi tumhari SHAAM, jahan ho gi bata doon ga zara tum SHAAM honay do.....!

Chalo Phir Shart Lag Jaye

Chalo Phir Shart Lag Jaye, Main Sabit Aaj Kr Doon Gi, K Tum Ne Dil-Lagi Ki Hai, Muhabbat Naam Ki Ki Hai, Sun Kr Us Ki Baaton Ko, Main Bola Saada-Dil Larki, Agr Main Dil-Lagi Krta, To Jeeney Se Na Yun Darta, Muhabbat Naam Ki Krta, Wafayen Aam Si Krta, Magr Phir Bhi, Teri Taskeen Ki Khatir Ye Kehta Hoon, Haan! Maine Dil-Lagi Ki Thi, Tujhe Apna Hi Samjha Tha, Tujhe Dil Se Lagaya Tha, Jahan Na Koi Gham Pohanchey, Wahan Tujh Ko Chupaya Tha, Magr Jaana'n Yakeen Jano, Tumhare Hosley Ki Daad Deta Hoon, K Kitni Be-Rukhi Se Tum Ne Keh Dala, CHALO PHIR SHART LAG JAYE K TUM NE DIL-LAGI KI HAI...

Wo Bhi Kiya DIN Hova Karty Thy

Wo Bhi Kiya DIN Hova Karty Thy, Jab Log DEWANON Ki Tarha Aap Ko KISS Py KISS Kiya Karty Thy, Par Thi Ap Ki QISMAT Kharab, Us Waqt Ap 1 SAAL K Hova Karte thy.

Shikwa "Khushi" ki Yaadon Se is tarha kya hum ne

GHAZAL Shikwa "Khushi" ki Yaadon Se is tarha kya hum ne, Hanstay Hanstay shama ko Rula dya hum ne, Ek lamha diya tu ne jeene k liye, Or Us main zindagi ko mita diya hum ne, Ek safhay pe likhi teri Yaad ki Dastaan, Doosra hisa khali hi jala diya hum ne, Kis baat ki maazrat chahtey hain woh, Jis baat ko suntay hi bhula diya hum ne, Woh kyun nahi Aatay Humaaray paas, jin ki Raahon me palkon ko bicha diya hum ne.

Saare shikway janab uske hain

Saare shikway janab uske hain; Dil pe saaray azaab uske hain; wo yaad aae to neend nahi aati; Neend aaye to saaray khawab uske hain;

MAIN jhoom jaon to sharabi na smjhna

(GHAZAL) MAIN jhoom jaon to sharabi na smjhna, Gir jaon jo sajday main to namazi na smajhna, Thorra sa behak gaya hoon muhabbat main, Jo Aagy barhon to shikari na samajhna, Mujh se cheen li hain khushiyan mery apno ne, Hath jo phailaaon to bhikhari na smjhna, Mujhe aata hay ab bi Dosti ka khayal, Boht kuch khoya hy main ne anarri na samjhna,... Ek naseehat meri yaad rakhna ay payare dost, Dosti ko kabhi tu waqt-guzari na samajhna..

KHAMOSH RAAHON mein tera SAATH chahiye

KHAMOSH RAAHON mein tera SAATH chahiye! TANHA hai mera Haath, tera HAATH chahiye! Mujh ko mere MUQADAR per itna YAQEEN to hai, Tujh ko bhi mere LAFZ, meri har BAAT chahiye! Main KHUD apni SHAAIRI ko kiya ACHHA kehon? Mujh ko teri TAREEF teri DAAD chahiye! EHSAAS-E-MUHABBAT tumhare WAASTE hai! Lekin JUNOON-E-ISHQ ko teri her SOGHAAT chahiye! Logon ko SAANSON ki chahe ho zarurat Mujhe JEENE k liye sirf Tera "SAATH" chahiye.

Kal Ki Baat Ko Kal Per Chhoro

<< soch >> Kal Ki Baat Ko Kal Per Chhoro Aatay Waqt Ko Kiss Ne Dekha? Mustaqbil Pe Zor Hai Kis Ka? Kal Aay Ga,Kal Dekhain Ge Aaj Tu Jee Lain In Lamhon Ko Jin Lamhon Ki Khatir Hum Ne Maazi Ko Qurbaan Kia Hai In Lamhon Ko Jee Ker Dekho Zakhmon Ko Ab Si Ker Dekho Kaisay Wasl Ke Jaam Bharay Hain Socho Na Ab,Pee Ker Dekho Kya Kerna Andesha E Mehshar Fikr E Farda Ke Kya Maani Mutaqbil Per Zor Hai Kis Ka Kal Aai Ga,Kal Dekhain Ge sare Jharnay,Mast Hawain Mehki Si Pur Soz Fizaain Urtay Gaatay Bekal Panchhi Geet Khushi Ke Mil Ker Gaain Badal ,Barkha,Khusboo,Titli In Ghariyon Ko Chhoonay Aain Hum Na Hon Tu Kaon Sametay? In Lamhon Ki Shokh Adaain Charhta Sooraj Jhoomta Aai Kab Doobay Ga Hum Kya Jaanain? Shaam Ki Baatain Shaam Ko Hongi Soch Ki Chadar Hum Kiyoon Taanain? Fikr E Farda Rehnay Bi Do Shaam Pari Hai,Raat Pari Hai Dil Ki Ik Ik Baat Pari Hai Khwaab Puraanay Sab Keh Daalain Kal Ki Baat Bi Ab Keh Daalain Kal Aai Ga,Kal Dekhain Ge..