Posts

Showing posts from November 26, 2011

Tere ikhlaakh Se Mohabbat Ki Hai,

Tere ikhlaakh Se Mohabbat Ki Hai, Tere Ehssaas Se Mohabbat Ki Hai.. Tu Meree Pass Nahin Hai Phir Bhi, Teri Yaad Se Mohabbat Ki Hai…. Kabhi Tune Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga, Maine Un Lamhaat Se Mohabbat KiHai… Tujhse Milna To Ab Khwaab sa lagta hai, maine tere INTJAAR se mohobbat ki hai

Log Mujh Se Mil k Bichr Jate Hein,,

Log Mujh Se Mil k Bichr Jate Hein,, Is Liye Me Logon Se Door Rehta houn.,, Mat Samjho K Aatey Nahi Adab_E_MulaQat Mujhe,, Khalos Ka Banda houn Aadt Se Majboor Rehta Houn.,, … Jin Sy Barha Mera Rabta Shikwa Hi Mila,, Ab Rabta Nahi Barhata Bohat Msroor Rehta houn.,, Log Mujhe Kehte Hein Be’Murawt Mghroor Aur Khud Garzz,, Kitne Achy Namo Sy Mashhoor Rehta Houn.,, Hr Waqt Khoya Rehta Houn Khud Ki Talash Mein,, Boht Thak Gaya Houn,, IsI Liye ‘Apne Aks’ Se b Doour Rehta Houn.,,!!!

hamara bas agar chalta, tumhe sab se chura lete,

hamara bas agar chalta, tumhe sab se chura lete, tumhe dill me chupa lete, tumhe aankhon me rak lete, kabhi na roothne dete, kabi na tootne dete, tumhe hum qaid kar lete, bas apne dil ki dunya me, kisi b hal me hum pir, tumhe azad na karte, sabhi dunya bhula dete, tumhe apna bana lete, hamare bus me hota to? magar hai bebasi aisi, hamara dill machalta hey, tumhe hi yaad karte hen, tumhara qurb chahte hain, magar hum kya karein janaa, hamara bas nahe chalta

Waqt Ki Raftar Pe Jhanjala Kar Ro Pare

Waqt Ki Raftar Pe Jhanjala Kar Ro Pare Kabhi Use Kho Kar To Kabhi Use Pa Kar Ro Pare Khushiyan Humarey Naseeb Main Kab Raas Ayein Hain Bahir Kabhi Hansein To Ghar A KarRo Pare

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dard Seene Main Chupa Lete Hain Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye Yaad Ki Shama Jala Lete Hain Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan Kitne Afsane Suna Lete Hain Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye Apni Hasti Ko Mita Lete Hain AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin har ek din udaas din tamaam shabudaasiyaan kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia, kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia, Nayai subah hay, nayai shaab hay,naya shahar hay, naya naam hai, Woh chala gaya usay bhool jaa, joguzar gia woh guzar gia, Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga, Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia, Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay, Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia, Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker, Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia, Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay, Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Har ek lamha naya ik imtehan hai,

Har ek lamha naya ik imtehan hai, bohut na-meharban yeh aasman hai, Dilon per barf girti ja rahi hai, Badan ka tajziya bhi raiga hai, main us say baat karna chahti hon, batao to sahi woh ab kahan hai, Anaa ki rait shamil ho gayai hai, Hawa say guftugu ab raigan hai, Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha, Meri janib say itna badguman hai

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay, Yeh masla ab ahal-e-mohabbat kahai apna, Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay, Khat layain na layain tera hum naama bron ko, Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay, Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko, Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay, Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi, Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay, Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka, Hum dil ki tarah chaak-e-garaibannahin kertay, Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan, Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Khud Jalaatey Hein Bana Kar ApnaParwaana Mujhey Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey! Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-AashnaLagta Tha Woh Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad, Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag MeinJaltey Howye Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweerbana loon ga Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko Mai beth ke Sahil se Toofaan uthaloon ga Naraz agar wo hain Mere Nasheman se Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye Baanhon mai wo aa jayaen mai unko Mana loon ga

KOI TO HOTA….

KOI TO HOTA…. mai jis k dil ki kitaab benta mai jis ki chahet ka khawab benta mai hijr k mosem ki lembi raaton mein yaad ben ker azaab benta KOI TO HOTA….. jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota mai rooth jata manata mujh ko k chahe mera kasoor hota KOI TO HOTA…. mai jis k itna kareeb hota na paas koi rakeeb hota mai itna uus ka habeeb hota ye silsila bhi ajeeb hota KOI TO HOTA

Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie

Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie Badi wafa se nibhayie tum ne, Humari thodisi Bewafaie Jahan se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi yahie pade hain Hum apne pairon me jane kitne, Bhanwar lapete huwe khade hain Kahien kisi roz yun bhi hoga, humari halat tumhari hogi Jo rat humne guzari mar k, wo rat tumne guzari hoti Tumhe ye zid hai k hum bulate, hume ummis k wo pukaren Hai naam honton pe ab bhi lekin, Aawaz me pad gayie dararen

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri YaadMein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI kaYahaan Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,

Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo, Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan, Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo

Laakh miltay hain hum bahanay say

Laakh miltay hain hum bahanay say Pyar chupta nahi chupanay say Ummar guzari hay dar-badar apni Hum hillay thay zara thikanay say Aik jadu sa kar gaye mujh par Kuch makaan thay puranay say Baat karta raha main us say magar Baat banti nahi bana’nay say Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho Tum nikalo humain fasanay say Meri chahat main bhi woh baat nathi Woh bhi rukhsat hua bahanay say Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay Teer palta agar nishanay say…!!!

Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey

Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur voik aam saa shaKhs us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se KehDena Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

Kaha tha tum say…mera intezaar na karna

Kaha tha tum say…mera intezaar na karna dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi ab ki bar tum koi bhi sawal na karna Din raat kat rahey hein ab to ussik khyal mein wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak kis nay keh diya tha mohabbat kaizhaar na karna

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra… Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra… Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela… Meri khatir sanwerta hai tumharachand sa chehra… Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain… Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra… Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta… Mujhe madhosh karta hai tumharachand sa chehra… Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho… Gehan lagne se darta hai tumharachand sa chehra… Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per… Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai… To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra… Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna… Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra.. By:Ghulam Ali 0345=8800783 0300=2493563

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal, is chaman mein ab apna guzara nahin. baat hoti gulon tak to sehlete hum, ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin. jab gulistan ko khoon ki zarorat padi sab se pehle hamari hee gardan katee, phir bhi kehte hain humse ye ahlechaman ye hamara chaman hai tumhara nahin. aaj aaye ho aur kal chale jaoge yeh muhabbat ko meri gawara nahin, umr bhar kaa sahara bano to bano chaar din kaa sahara sahara nahin

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum Zakham Chupa Ker Bhi MuskaranaKesa Lagta Hai Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai Kahayei Hai Dhoke Mohabaat MainItne Ke Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke HaiKab Ke Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri YaadMein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI kaYahaan Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye Javani Peh Roye Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye Javani Peh Roye Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega Jiye To Magar Zindagani Pe Roye Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati,

Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati, Yun ghut-ghut k mar jana, hamainmanzoor tha laikin, Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay, Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay, Zabaan per umer bhar mehsoos kichingariyon ham nay, Samajhtay thay magar phir bhi narakhi dooriyan humne, Chiraghoon ko jalanay main jala ‘ liungliyan hum nay

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho is jheel kinaray pal do pal ik khawab ka neela phool khilay wo phol baha dain lehroon main ik rooz kabhi hum sham dhalay is phol k behtay rangoon main jis waqt larazta chand chalay us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho phir chahay omer samander ki her maoj parayshan ho jaye phir chahay aankh darechay say her khawab gurayzaan ho jaye phir chahay phool k chehray ka her dard nomayan ho jaye is jheel kinaray pal do pal wo roopnagar eejad to ho din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho

Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain

Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain… Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain… Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain… I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain… Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate hain

Ye dard mit gaya to phir?

Ye dard mit gaya to phir? Ye zakhm sil gaya to phir…? Bichhar kar sochta hoon main, Wo phir se mil gaya to phir…? Main titliyon k shehar mein, Rahoon to mujh ko fiker hai… Wo phool jo khila nahi, Wo phool khil gaya to phir…? Tujhe bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi mila…Tamam umer k liye, Ye dard mil gaya to phir…? Main is liye to aaj tak, Sawal bhi na kar sake… Agar mere sawal ka, Jawab mil gaya to phir…?

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, terimehfil hai yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa har aik cheez hai apni jagha thikane pe kaii dino se shikayat nahi zamane se Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, terimehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai tere bagair jahaan main koi kami si thi bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, terimehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai tere jamaal se roshan hai kainaatmeri meri talash teri dilkashi rahe baki khuda kare k yeh deewangi rahe baki teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, terimehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil ha

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega

Saath chalne main jo maza hota

Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar mera hota Hum na thakte safar mein gar Saath apne koi chala hota

Wafa ruswa nahi karna… Suno aisa nahi karna

Wafa ruswa nahi karna… Suno aisa nahi karna Mai pehle hi akela hu Muje tanha nhi karna, Judai aa b jaye to Ye dil chota nhi karna Bohat musroof ho jana Muje socha nhi karna, Barosa b zarori hai Magar sub ka nhi karnaMuqadar to muqadar hai kabi shikwa nahi karna Meri takmeel tum se hai muje adha ni karna suno asa soocha nahi kerna.

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne Apney askhon ko palkon pe sitarakarkey Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka Aur kuch roz tere saath guzara karkey Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, Khud bula ker phir sataya hai kisi ne, Jab tak jali hai shama jalta raha parwana, Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne Armaan mere raiza raiza hogaye hain, Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne, Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga, Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne, Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko, Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne, Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,

aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,

aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina, Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina, Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki, Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina, Phir na milnay ko bicharta hon tujsay laikin, Murr k daikhon to palatnay ki duabhi karna, Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say, Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina, Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin, Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina, Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna, Apnay honay say na honay ka pata bhi dain

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch wo kis adaa se merey saamnay seguzraa abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein apni sama lou mujhey Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey Meri sab say gehri khuwahish houpuri Tum agar pass apnay bula lou mujhey Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein apni sama lou mujhey Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey Meri sab say gehri khuwahish houpuri Tum agar pass apnay bula lou mujhey Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya Mehfilon main kahin bhi maza na raha Rakha dil pay pather to khud ko sajaya Baat bay baat apni aahain daba ker Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya Kya muqadar say shikwa kertey rahain Jo qismat main tha wohi kuch to paaya Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain Kay saaya-e-manzil nazar main naaaya Apnoon nay palat kay daykha taknahin Ghairon nay aaker galay say lagaaya Acha hua kay raaz khul hi gaya Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki ajeeb shakhs hai mujh ko chain serone nahi deta ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga Khuvabon aur Khyaalon Mein Mera hi Chehra Tarasha Ho ga Raah Chaltey jo us ko Mera khyaal Aaya Ho ga Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi Aur na Pa ke Mujhey Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi Tanha Sard Raat Mein Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey Khyaalon hi Khyaalon Mein Haath us ney Mera Thama Ho ga Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota … ager or jeete rehte tu yehi intazar hota kahoon kiss se main k kia hai … shab-e-ghum bori bala hai mujhe kia bora tha marna .. ager aek baar hota yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota .. koei mere dil se poche tere teer neem kash ko yeh khalish kahan se hoti .. ju jiger k paar hota tere wade per jiye hum.. tu yeh jaan jhot jana .. k khoshi se mar na jate ager etbaar hota .. yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hota yeh kahan ki dosti hai .. k bane hain dost saqi .. koi chehra saaz hota .. tu yeh na ghumm saath hota

Nokia Tips & Tricks (ALL CODES)

Here are some Very Useful tips for all NOKIA phones. Tip 1=> Do u know how to use the edit button (abc or pencil button)?Heres how... in the inbox for example; u wanna delete multiple sms, simply hold the edit button, scroll down, and then, press c to delete the marked sms. The edit button can also b used to copy and past text in sms, simply hold it and scroll across, choose copy. pretty good for placing song names in n gages .. Tip 2=> Shit happens, on a smart phone, its inevitable u do something wrong, and tis calls for a format of fone. to format the fone, press *#7370#, then enter the lock code, which is the sec code of the fone. NOTE: batt must b full, else if format is disrupted bylow batt, consequences will b disatrousI heard the code*#7780# works too, pretty muchthe same i tink.for 6600 users, to format the fone, theres an alternative way. Press and hold <3>, <*> and Call (Send) buttons, then power on fone, keep holding on the 3 buttons, till u come to

N70 Tips & Tricks (ALL CODES)

Tip15=>A soft and Hard resetA Soft-reset - the process of resetting all the settings of the phone to the factory default! No applications are deleted! A Hard-reset is like formatting a drive! It does format the memory. Everything that has been installed after the first useof the phone is deleted! It will recover the memory of the phone to the state you purchased it! It is done by inputing the following code:*#7370# NOTE: The battery must be full or the charger has to be connected to the phone so that it does not run out of power andmake the phone unusable. Tip 16=> "Firmware" is the phone's operating system stored in internal Flash memory of the device (disk Z.Manufacturers release new firmware versions containing bug fixes, improvements and - sometimes - offering new functions.Firmware upgrade can only be made in authorized Nokia service centre (point).To check your current firmware version simply type*#0000# on main Phone screen. Tip 17=> How to check y

N70 Tips & Tricks (Some Codes)

Here are some codes:I haven't personally checked all of them. Some of them i've tried n they did work The @ represents pressing the"Send" key on your mobile* *04*oldPIN*newPIN*newPIN#@ changing the PIN-code **042*oldPIN2*newPIN2*newPIN2#@ changing the PIN2-code **05*PUK*newPIN*newPIN#@ unlock a card with PIN locked **052*PUK2*newPIN2*newPIN2#@PIN2 decoding (after 3x wrong input) *#06# IMEI Number showing ##002#@ all call diverts off **004*DestNo#@ set all conditioned call diverts to DestNoon and active ##004#@ all conditioned call diverts (busy, not reachable, no answer) off **21*DestNo#@ Automatic divertall calls to DestNo on and active *21#@ Automatic divert all call DestNo activate ##21#@ Automatic divert all calls to DestNo off and inactive #21#@ Automatic divert all calls to DestNo deactivate *#21#@ Automatic divert all calls to DestNo status **61*DestNo#@ Call divert when not answered on and active *61#@ Call divert activate ##61#@ Call divert w

N70 Tips & Tricks (knowledge belongs to world)

knowledge belongs to world !! *#0000#Displays your phones software version, 1st Line : Software Version, 2nd Line : Software Release Date, 3rdLine : Compression Type. *#06#For checking the International Mobile Equipment Identity (IMEI Number). *#21# and press the green keyAllows you to check the number that "All Calls" are diverted to *#30# and then the green key Lets you see the private number. *#43# and press the green keyAllows you to check the "Call Waiting" status of your phon[]e. *#61# and press the green keyAllows you to check the number that "On No Reply" calls are diverted to. *#62# and press the green keyAllows you to check the number that "Divert If Unreachable (no service)" calls are diverted to. *#67# and press the green keyAllows you to check the number that "On Busy Calls" are diverted to. **21*number#Turn on "All Calls" diverting to the phone number entered. **61*number#Turn on "No Reply"di

N70 Tips & Tricks (Short Cuts)

(Short cuts):. i guess very few of u know this open menu and press any of the 1-9 keys (ex:messaging is in the starting of the grid i.e 1st application,so ifu press 1 from the menu messaging is opened contacts arethe 2nd in gird,so if you press 2 from memu contacts are opened,my own folder is the 9th,so to open press key 9 from menu) you can do it in the sub-menu also such as in tools folder,my own folder etc) . By:Ghulam Ali 0345=8800783 0300=2493563

N70 Tips & Tricks

(Heres a new trick to save ur msg if u want to save ur msgs in memory card or from memorycard to phone memory). Example.I am using phone mem.Use a file manager delete the mail folder in esystem mail now goto the messaging options settings other memory in use change to memory card. And a pop up msg will be appear just ok that msg and save orignal msg pop up again appear and just prer ok again and ur msgs are store in memorycard.Use same trick to save msgs from memory card to phone memory.... By:Ghulam Ali 0345=8800783 0300=2493563

N70 Tips & Tricks

(Speed up ur Mobile ):. Try this trick to speed up ur mobile n say the result .This trickI found from the web, really speeds-up any* symbian mobile phone. First I thought this is a joke, but don't know how, it worked !!! It must be a secret code for Nokia. First change ur phone date to 03/04/2005 Go to Menu -> Office -> To-do List. Make a new to do note with following data : Subject : Speed Due date : 04/08/2005 Priority : High Press Done, but don't Exit. Now make another note with : Subject : Qoukie Due date : 04/08/2005 Priority : Low Press Done & Exit to Stand-By screen. Now go back again to To-do List. Then press "options" & "mark as done" ( Do this to the notes in the order above ) Exit & update the phone date.... By:Ghulam Ali 0345=8800783 0300=2493563

jhuuTaa niklaa qaraar tera ab

jhuuTaa niklaa qaraar tera ab kisko hai aitbaar teraa dil meN sau laakh chuTkiyaaN liiN dekhaa bas ham ne pyaar teraa dam naak meN aa rahaa thaa apne thaa raat ye intizaar teraa kar jabr jahaaN talak tuu chaahe meraa kyaa, iKhtiyaar teraa lipTuuN huuN gale se aap apne samjhuuN huuN ki hai kinaarteraa “Insha” se mat ruuTh mat Khafaa ho hai bandaa jaanisaar teraa...

Tumhein ik baat kehni

Tumhein ik baat kehni hai magar naraaz mat hona, k tum jo har ghari mujko yun itna yaad aati ho, humein itna satati ho k hum tum door hein dono boht majboor hein dono na itna yaad aao tum na yun itna satao tum k itna yaad aa kar yunhamein pagal bana k tum faqat itna bata do k humari jaan lo gi kia...? magar ye bi haqeekat hai tumhari yaad hi to hai har khushi mein bhi har gham mein bhi udasi k palon mein bhi tumhari yaad hi to hai jo har pal ye batati hai mujhe ahsaas dilati hai hum tum bin adhore hain hum tum bin adhore hein...

Ye chahton k silsalay ajeeb

Ye chahton k silsalay ajeeb thay ajeeb hein kabi wo hum se door hein kbi boht kareeb hein jo chaha wo na pa sake jo pa liya use na chaha sake gila karen to kia karen sab k apne apne nasseb hein na koi apna hai yahan jise haal-e-dil suna saken jo dost hein wo door hein jopas hein wo raqeeb hein gila karen to kia karen sab apne apne naseeb hein Ye chahton k silsalay ajeeb thay ajeeb hein...