Tumhein ik baat kehni

Tumhein ik baat kehni hai
magar naraaz mat hona,
k tum jo har ghari mujko
yun itna yaad aati ho,
humein itna satati ho
k hum tum door hein dono
boht majboor hein dono
na itna yaad aao tum
na yun itna satao tum
k itna yaad aa kar yunhamein pagal bana k tum
faqat itna bata do k
humari jaan lo gi kia...?
magar ye bi haqeekat hai
tumhari yaad hi to hai
har khushi mein bhi
har gham mein bhi
udasi k palon mein bhi
tumhari yaad hi to hai
jo har pal ye batati hai
mujhe ahsaas dilati hai
hum tum bin adhore hain
hum tum bin adhore hein...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,