Posts

Jab bhi hansne ke zamaane aaye

Jab bhi hansne ke zamaane aaye Zakhm phir yaad puraane aaye Baar-ha unko manaaya to hamein RooTh jaane ke bahaane aaye Phir mujhe toot ke chaaha usne Phir bichhaRne ke zamaane aaye Muskuraa kar hamein milne waale Zindagi bhar ko rulaane aaye      style="display:block"      data-ad-format="fluid"      data-ad-layout-key="-ek+6f-x-bw+pb"      data-ad-client="ca-pub-4388328969063861"      data-ad-slot="1609891616"> Kitni mahroom thiN neendein unki Khaab bhi jin ko jagaane aaye Teri chahat ne Thaharne na diya Raah mein kitne thikaane aaye Tu nahi hai to hawa ka jhoNka Ghar ki zanjeer hilaane aaye Dil bujhaa hai na jale hain kheeme Aap kyuN jashn manaane aaye Isi ummeed pe jaago yaaro! Ab woh kis waqt na jaane aaye Raas aaya jinhein sehra 'Muhsin' Unki qismat mein khazaane aaye

Toot jae na Bharam Hont hilaon kesy,

Toot jae na Bharam Hont hilaon kesy, "Haal Jesa B Hy logon ko bataon kesy.. "Khusk Ankhon se B Ashkon ki Mehek Aati hy.. "Ma tery Ghm ko Zamany se Chupaon kesy. Tu he Btaa Meri Yadon ko Bhulnay Waly.. Ma Teri yaad ko is dil se Bhulaon kesy.. Phool hota to Tery dar pe saja rehta Zakham le kar Teri Dahleez pe aaon desy Tu Rulata hy to rula Mujhe ji bhar ke, Teri Ankhein to meri hen, ma in ko rulaon KAISE..?

Tuje se dil ke baat karon kis trha?

Tuje se dil ke baat karon kis trha? To meri jan hay tujhe baton kis trha? To anjan hy ya ban raha hai? Ye andaza lagaon kis tanrah? Muqadar se muqadar milana to Dor ki baat hai, Tere dil se dil milaon kis traha? To milay na milay ye qismat ki baa thy mgrTujhe chah hy tujhe bhool jaon kis trah?

Humara Bas Nahi Chalta

Humara Bas Nahi Chalta ..! Tumhe Banho Me Bhar Lete Tumhe Sab Se Chupa Lete Tumhe Ankho Me Rakh Lete Kabhi Na Roothne Dete Kabhi Na Tootne Dete Tumhe Hum Qaid Kar Lete Bus Apne Dil Ki Dunya Me KisiBhi Haal Me Hum Phir Tumhe Azaad Na Karte, Sabhi Dunya Bhula Dete, Tumhe Apna Bana Lete, Hamare Bus Me Hota Tou, Magar Hai Bebasi Aisi, Hamara Dil Machalta Hai, Tumhe Hi Yad Karta Hai, Tumhara Qurb Chahta Hai, Magar Hum Kya Karen Jana, Hamara Bus Nhi Chalta

main main na rahoon tum tum na raho ek duje mein

main main na rahoon tum tum na raho ek duje mein khoo jain ek jaan ho jain chalo aao aaj ki sham ko kuch es tara sajain ke seher tak donon madhoosh ho jain lepat ke ek duje ki bahoon se raat bhar barsoon ki tashnagi seher tak mitaain dori rahe na darmiyan etne qareeb aao tum hum mein sama jao hum tum mein sama jain es haseen sham ko aaj yun na dhalne deain sulagne deain saansoun ko jismon ko phigalain bujhane se bhi nhi bujhti yeh piyaas muhabbat ki ab tarse howe hontoon ko hontoon se milne deain barsoon ki tashnagi ko kese bujhain MAHEK chalo aao phir se ek haseen sham sajain

Main jeena chahta hon, teri har saans men tere ahsas men

Main jeena chahta hon, teri har saans men tere ahsas men, mahekti raat men tere jazbat men, khanakte saaz men teri aawaz men, sulagte raaz men tere andaz men, tere agaz men tere anjam men, chalagte jaam men teri har sham men, main jeena chahta hon

Apni Aankhon Ke Samunder Main Utar Jaane De

Apni Aankhon Ke Samunder Main Utar Jaane De… Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De… Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko… Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De…