Posts

Showing posts from January 14, 2011

Yeh daulat bhi le lo yeh shohrat bhi le lo

Yeh daulat bhi le lo yeh shohrat bhi le lo,, Bhale cheen lo mujhse meri jawani,, Magar mujh ko lauta do bachpan ka sawan,, Woh kaghaz ki kashti woh baarish ka paani,, Muhalle ki sabse nishaani purani,, Woh buRRhiya jise bachche kehte the nani,, Woh nani ki baaton mein pariyon ka dera,, Woh chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka phera,, Bhulaye nahin bhool sakta hai koi,, Woh chhoti si raatein woh lambi kahani,, Woh kaghaz ki kashti woh barish ka pani,, KaRi dhoop mein apne ghar se nikalna,, Woh chiRiya woh bulbul woh titli pakaRna,, Woh guRiya ki shaadi pe laRna jhagaRna,, Woh jhule se girna woh gir ke sambhalna,, Woh peetal ke challon ke pyaare se tohfe,, Woh tooti huyi chuRiyon ki nishani,, Woh kaghaz ki kashti woh barish ka pani,, Kabhi ret ki oonchi teelon pe jaana,, Gharaonden banana bana ke mitana,, Woh masoom chahat ki tasveer apni,, Woh khwabon khilono ki jaagir apni,, Na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan,, BaRi khubsoorat thi woh zindagani,, Woh kaghaz ki kashti woh barish

Hoont...

Husn ki jheel ho tum aur kinaray hain Yeh Hoont Sach to yeh hy keh mujhay jaan se pyaray hain Yeh Hoont Main ny her baar muhabbat se inhain chooma hy Us ny her baar muhabbat se ubharay hain Yeh Hoont Hath hontoon peh mere rakh k mujhay kehnay lagi Rokeay in ko, boht shouq k maray hain Yeh Hoont Band hotay hain yeh inkaar ke soorat main magar Adh Khulay hoon to muhabbat k isharay hain Yeh Hoont Aj khud apnay muqaddar pe mujhay rashak aaya Aaj honton main mere us ne utaray hain Yeh Hoont Choom ker hoont mere us ne kaha tha yeh Qateel Bas tumharay hain, tumharay hain, tumharay hain Yeh Hoont...

Bohat bury ho, Neend ura ker so jaty ho

Bohat bury ho, Neend ura ker so jaty ho Ek Sargoshi mujh se boli Kia wo tum ho Jo mere kaanou se lag ker Apni Ghazalian !!! Apni nazmain !!! Keh jata hai Phir mein bola Haan mein wohe hoon Phir wo boli Bohat bury ho Bohat bury ho Bohat bury ho Neend ura ker so jaty ho.

Kaha mein ny k deewaney ko samjhaya nae karte!!

Kaha mein ny k deewaney ko samjhaya nae karte!! Kaha usne bharosa dil par itna nahi karty Kaha mein ny k mohabat mein kabhi socha nahi karty! Kaha usne bohat khush rang dunya k nazary hy Kaha mein ny k jab tum ho tu kuch deihka nahi karty! Kaha usne mein tum se dur hun lekin tumhara hun kaha mein ny k sapne dil ko behlaya nahi karty! Kaha usne tumhari chahat mein ruswayan hongi Kaha mein ny shohrat sy ghabraya nahi karty! Kaha usne samjh jao samjh jao ay mere pagal!! Kaha mein ny k deewaney ko samjhaya nae karte!!

Kash ik dais aisa ho, Jahan tum sath ho mere

Kash ik dais aisa ho, Jahan tum sath ho mere, Jahan par phool khiltay hoon, Jahan pariyun ke basti ho, Jahan ke dhoop roshan ho, Magar chehray na jhulsaye, Jahan par chand poora ho, Sitaray jag-magatay hoon, Jahan khushian he khushian hoon, Kahin par dais aisa ho, Jahan par sirf "HUM TUM" hoon...

MUJHE BAAHON MEIN BIKHAR JAANE DO

MUJHE BAAHON MEIN BIKHAR JAANE DO APNI MUSHKABAAR SAASON SE MEHEK JAANE DO DIL MACHALTA HAI AUR SAANS RUKTI HAI, AB TOH SEENE MEIN AAJ MUJHE UTAR AANE DO APNI MUSHKABAAR SAASON SE MEHEK JAANE DO, SHOKH NAZRON KO SHARM AATI HAI, THARTHARAATE HUE LABON KO CHAIN PAANE DO APNI MUSHKABAAR SAASON SE MEHEK JAANE DO, RAAT TANHA HAI AUR SARD MAUSAM HAI, SHOLA-E-EHSAAS KO AB AUR BHARAK JAANE DO APNI MUSHKABAAR SAASON SE MEHEK JAANE DO, BEHKE HAIN HUM FIZAA JO BEHKI HAI, DIL KO DIL ROOH KO ROOH MEIN SAMA JAANE DO APNI MUSHKABAAR SAASON SE MEHEK JAANE DO, BIKHRE GESU HAIN BIKHRA KAAJAL HAI, HAULE HAULE IS SHAB KO TUM GUZAR JAANE DO APNI MUSHKABAAR SAASON SE MEHEK JAANE DO, ABHI AUR BHI ARMAAN DIL ME BAAKI HAI, YUHIN BAAHON MEIN IS RAAT KO KAT JAANE DO APNI MUSHKABAAR SAASON SE MEHEK JAANE DO, MUJHE BAAHON MEIN BIKHAR JAANE DO APNI MUSHKABAAR SAASON SE MEHEK JAANE DO...

Yehi nahi hai k ansoo samait laya houn

Yehi nahi hai k ansoo samait laya houn Main os ki ankh ki khushbo samait laya houn Shab-e-firaq ki awaz b thi lekin main Shab-e-firaq k gaisoo samait laya houn Tere vissal ki basti k kone kone se Tere khayal k jugnoo samait laya houn Isi liye tu zamana aseer hai mera kisi k pyar ka jadoo samait laya houn...

Itna Toota hoon k chhune se bikhar jaoon ga

Itna Toota hoon k chhune se bikhar jaoon ga,, Ab agar aur duaa doge to mar jaoon ga,, lekar mera pata vaqt raayegaa na karo,, main to banjaaraa hoon kya jaane kidhar jaoon ga,, is taraf dhundh hai jugnu hai na chiraagh koi,, Kaun pehchaane ga basti mein agar jaoon ga,, Zindagii main bhi musaafir hoon teri kashti ka,, Tu jahan mujh se kahegi main utar jaoon ga Yahaan reh jaayenge guldaanon mein yaadon ki nazar,, Main to Khushbu hoon fizaaon mein bikhar jaoon ga,, by : Moin Nazar Sung by Ghulam Ali

Yehi nahi hai k ansoo samait laya houn

Yehi nahi hai k ansoo samait laya houn Main os ki ankh ki khushbo samait laya houn Shab-e-firaq ki awaz b thi lekin main Shab-e-firaq k gaisoo samait laya houn Tere vissal ki basti k kone kone se Tere khayal k jugnoo samait laya houn Isi liye tu zamana aseer hai mera kisi k pyar ka jadoo samait laya houn...

Yehi nahi hai k ansoo samait laya houn

Yehi nahi hai k ansoo samait laya houn Main os ki ankh ki khushbo samait laya houn Shab-e-firaq ki awaz b thi lekin main Shab-e-firaq k gaisoo samait laya houn Tere vissal ki basti k kone kone se Tere khayal k jugnoo samait laya houn Isi liye tu zamana aseer hai mera kisi k pyar ka jadoo samait laya houn...

Tu hai gar mujh se Khafa Khud se Khafa hoon main bhi

Tu hai gar mujh se Khafa Khud se Khafa hoon main bhi Mujh ko pehchaan k teri hi adaa hoon main bhi Ek tujh se hi nahin fasl-e- tamanna shaadaab Vahi mausam hoon vahi aab-o-hava hoon main bhi Sabt hoon dast-e-Khamoshi pe hina ki soorat Na_shunida hi sahi tera kaha hoon main bhi Chaand ban kar tere aangan mein utar hi jaoon Raat ke pichhle pehar maangi dua hoon main bhi Yoon na murjha ki mujhe Khud pe bharosa na rahe Pichhle mausam mein tere saath khila hoon main bhi Jaane kis raah chaloon kaun se ruKh muR jaoon Mujh se mat mil ki zamane ki hava hoon main bhi by: Mazhar Imam

Zindagii to tum bhi ho

Zindagii to tum bhi ho, zindagii to ham bhi hain Aadami se Darte ho Aadami to tum bhi ho aadami to ham bhi hain Aadami zubaan bhi hai, aadami bayaan bhi hai Is se tum nahin Darte harf aur maani ke rishte Haaye aahan se aadami hai vaabasta [aahan = stone] Aadami ke daaman se zindagii hai vaabasta Is se tum nahin Darte ankahi se Darte ho Jo abhi aai nahin us ghaRi se Darte ho Us ghaRi ke aane ki aag hi se Darte hi Pehle bhi to guzre hain daur naarasaai ke, beriyaa, Khudai ke [naarasaai = incapability/failure] [beriyaa = sincere/without guile] Phir bhi ye samajhte ho, hech aazarumandi Ye shab zubaanbandi, hai rahe Khudaabandi Tum yahi samajhte ho, tum magar ye kya jaano Lab agar nahin hilte haath jaag uthte hain Haath jaag uthte hain raah ka nishaan ban kar Noor ki zubaan ban kar haath bol uthte hain subah ki azaan ban kar Roshani se Darte ho roshani to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain Roshani se Darte ho shehar ki faseelon par dev ka jo saayaa tha, Paak ho gaya aakhir az_dahaam-e-afsa

Bikhar-te toot-te lamhon ko apna hamsafar jana

Bikhar-te toot-te lamhon ko apna hamsafar jana Tha is raah mein aakhir hamein Khud bhi bikhar jana Hava ke dosh par baadal ke tukRe ki tarah ham hain Kisi jhonke se poochhenge k hai ham ko kidhar jana Mere jalte hue ghar ki nishaani bas yahi hogi Jahan is shehar mein raushni dekho Thehar jana Pas-e-zulmat koi sooraj hamara muntazir hoga Isi ek veham ko ham ne chiragh-e-rah_guzar jana Dayaar-e-Khaamashi se koi reh-reh kar bulata hai Hamein "Makhmoor" ek din hai isi aavaz par jana [dayaar-e-Khaamashi=house of death] BY: Makhmoor Saeedi

Rishta ye kaisa hai naataa ye kaisa hai

Rishta ye kaisa hai naataa ye kaisa hai Pehchan jis se nahi thi kabhi apna bana hai vahi ajanabi Rishta ye kaisa hai naataa ye kaisa hai Tumhein dekhte hi rahon mein Mere saamne yoon hi baithe raho tum Karoon dil ki baatein main Khamoshiyon se Aur apne labon se na kuch bhi kaho tum Ye rishta hai kaisa ye naataa hai kaisa Tere tan ki Khushbu bhi lagti hai apni Ye kaisi lagan hai ye kaisa milan hai Tere dil kii dhaRKan bhi lagti hai apni Tumhein paa ke mehsoos hota hai aisey Ke jaisey kabhi hum judaa hi nahi they Ye mana ke jismon ke ghar to naye hain Magar hai purane ye bandhan dilon ke..

Aaj bhi phir bhi hai ye safar ajanabii

Aaj bhi phir bhi hai ye safar ajanabii ajanabii Raah bhi ajanabii moR bhi ajanabii Jaayen hum kidhar ajanabii ajanabii Zindagii ho gai hai sulagtaa safar Door tak aa raha hai dhuaan sa nazar Jaane kis moR par kho gai har Khushii Deke dard-e-jigar ajanabii ajanabii Hum ne chun chun ke tinke banaayaa tha jo aashiyaan Hasraton se sajaayaa tha jo hai chaman mein vahii Aashiyaan aaj bhii lag raha hai magar ajanabii ajanabii Kis ko maaloom tha din ye bhi aayenge Mausamon ki tarah dil bhi badal jaayenge Din hua ajanabii raat bhi ajanabii Har ghaRi har pehar ajanabii ajanabii...