Bikhar-te toot-te lamhon ko apna hamsafar jana

Bikhar-te toot-te lamhon ko
apna hamsafar jana

Tha is raah mein aakhir hamein Khud bhi bikhar jana

Hava ke dosh par baadal ke
tukRe ki tarah ham hain

Kisi jhonke se poochhenge k
hai ham ko kidhar jana

Mere jalte hue ghar ki nishaani bas yahi hogi

Jahan is shehar mein raushni
dekho Thehar jana

Pas-e-zulmat koi sooraj hamara muntazir hoga

Isi ek veham ko ham ne
chiragh-e-rah_guzar jana

Dayaar-e-Khaamashi se koi reh-reh kar bulata hai

Hamein "Makhmoor" ek din hai isi aavaz par jana

[dayaar-e-Khaamashi=house of death]

BY: Makhmoor Saeedi

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,