Posts

Showing posts from March 28, 2011

Usy kehna ye dunia hy!

Usy kehna ye dunia hy! Yahan her morr py aisay bohat sy log milty hen! Jo andar tak utarty hen Abad tak saath rehny ki! Akathy dard sehny ki! Hamesha baat kerty hen! Usy kehna ye dunia hy! Yahan hr shakhs matlab ki! Hadon tak saath chalta hay! Jonhi mosam badalta hy Mohabbat k sabhi dawy! Sabhi qasmen,sabhi waady! Achanak toot jatay hein! Usy kehna ye dunia hay! Yahan hr morr py apni! Sada aankhen khuli rakhna Koi kitna b acha ho Koi kitna b sacha ho Magar aitabar mat karna USAY KEHNA YE DUNYA HAI YAHAN PER PIYAR MAT KARNA

Usy kehna ye dunia hy!

Usy kehna ye dunia hy! Yahan her morr py aisay bohat sy log milty hen! Jo andar tak utarty hen Abad tak saath rehny ki! Akathy dard sehny ki! Hamesha baat kerty hen! Usy kehna ye dunia hy! Yahan hr shakhs matlab ki! Hadon tak saath chalta hay! Jonhi mosam badalta hy Mohabbat k sabhi dawy! Sabhi qasmen,sabhi waady! Achanak toot jatay hein! Usy kehna ye dunia hay! Yahan hr morr py apni! Sada aankhen khuli rakhna Koi kitna b acha ho Koi kitna b sacha ho Magar aitabar mat karna USAY KEHNA YE DUNYA HAI YAHAN PER PIYAR MAT KARNA

koi kHusHyon ki cHaH men roye

koi kHusHyon ki cHaH men roye Koi dukhon ki panah se roye Ajeeb silsila hy Dosti or mohabbat ka "faraz" Koi wafa K lye roye koi wafa kar k roye..

Dil k sary arman le jate hain,

Dil k sary arman le jate hain, Hum se humari pehchan le jate hain, Toot k na chahna kisi ko, JAAN kehne wale hi aksar JAAN le jate hain.

Ab iTnA B ZulM Na KaR K

Ab iTnA B ZulM Na KaR K RaaT Ko So Na PaAoN MOHSIN DaikH SuBaH Ho Gai TujE YaD KrtY KrtY

Log kaisy ghafil ho jatay

Log kaisy ghafil ho jatay hain teri khudai say ya RAB....... Ham say to tera aik shahks hi bhulaiya nahin jata......

Hum Ne ULFAT Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Hy

"USY KEHNA" Hum Ne ULFAT Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Hy : Goya Seene Men Tujhe DIL Ki Jaga Rakha Hy : Dil Ye Chahe K Tu Kabi BADNAAM" Na Ho : Dekh Zikr Tera Hy Magar Nam Chhupa Rakha Hy : Mere Jis Hath Se Kiya Tha Tu Ne "MUSAHFA" : Dhoya Hi Nhi Honton Se Laga Rakha Hy : Ab Men Samjha Tere "RUKHSAR" Pe Till Ka Matlab : "DOULT-E-HUSN" Pe Darban Bitha Rakha Hy : "HUM pas nhi To Phir Kya Huwa "SAQI" : Teri Tasweer Ko Seene Men Saja Rakha Hy..

Ajeeb lagti hy shaam kabi kabi,

Ajeeb lagti hy shaam kabi kabi, Zindagi lagti hy bejaan kabi kabi, Samajh aaye to hamain b batana k, Kiun karti hain yaadein pareshan kabi kabi...

"Kisi tofan Me jaise kinara yaad Aata Hai,

"Kisi tofan Me jaise kinara yaad Aata Hai, "Mujhe tanhai Me Chehra tumhara yad Aata Hai, "Suna Ha Us k Honton se tabasum Roth jata Hai, "Suna Ha Us ko B Ghar Humara yad Aata Hai, "Hamary Roz-o-Shab ka ye tasalsul kis tarha totey, "Usey Jab Bholtey Hain Wo Dobara yad Aata Hai....

"Soch samaj lena qadam uthane se phele

"Soch samaj lena qadam uthane se phele "kahin kho na jao Manzil Ane se phele "Mukhlis dost se Mehrom ho na jao kahi "Ye soch lena use Azmane se phele "Tumhare sene main B darkta hai Ek Dil "Ye soch lena kisi ka Dil dukhane se phele . "Umar bar kon kis k liye Rota hai "Log Sirf Aansu Bahte hain Dafnane se pehle!

Mèrì àànkhòn mè ùtàr ààò ìnhàin sàmàndàr kàr dò.

Mèrì àànkhòn mè ùtàr ààò ìnhàin sàmàndàr kàr dò. kùch dèr sàhì mòhàbbàt kì èk nàzàr kàr dò. tòòt kàr u mìlò àrmàn nà rèh jàyè kòi. u mòhàbbàt k hàr làmhè kò àmàr kàr dò. tùm pè àyè nà wàqt kàbhì qàyàmàt jàisà. bàrhì mùshkìl hài jùdài ìsè mùkhtàsàr kàr dò jìn k nòòr sè mìl jàyè bìnài mùjhè àpnè khàbòn kò mèrì àànkhòn kì nàzàr kàrdò dùnyà kì tàlàb nhì yèhì hàsràt hè mèrì àpnì bàhòn mè lò òr dùnyà sè bè khàbàr kàr do..

Pani ki lehron pe hurf-e-bayan likhna choor do

Pani ki lehron pe hurf-e-bayan likhna choor do, Sahil pe rait k kachy makaan banana chor do, Chaho to besbab chaho humain warna, Meri mano to chaht k asbab banana choor do, Zamana nam hay mushkilon or nafraton ka, Mere liye zamana ya mujhy zamany k liye chor do, Hosla to bohut deti hai mohabbat bhi nafrat bhi, ................................. Mujhay panay ki koshish to karo chahay hasil kar k choor do...

Chalo ab so hi jaen ham

Chalo ab so hi jaen hm, K tum sapnon me ao gy, Humain phir se manao gy, Or hum bhi maan jaen gy, Mgar ye bhi zara socho? Agr me so gaya aise, K phir jo uth na paon me, To kya tum so pao gy? Ary pagal zara socho, Meri baaten meri yaaden, tumhain sone nahi dain gi, Kisi ka b zamany me, kabhi hony nahi dain gi, Suno me sone ja raha hon, k tum sapnon me aa jana, Chalo ab so hi jaen hum, k tum sapnon mein ao gy.

"Hath Dua Se Yun Gira"

"Hath Dua Se Yun Gira" Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi Dil ko Khushi ke sath sath hota raha malal bhi Baat vo adhi raat ki, raat vo poore chand ki Chand bhi ain chet ka, us pe tera jamal bhi Sab se nazar bacha ke vo mujh ko aise dekhtay Ek dafa to ruk gaye gardish-e-mah-o-sal bhi Dil to chamak sake ga kya, phir bhi tarash ke dekh lo Shishagaran-e-shahar ke hath ka ye kamal bhi Us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb hal tha Ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhal bhi Meri talab tha ek shakhs, vo jo nahin mila to phir Hath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi..

Kon rokay ga in behty huye ashkon ko aj

Kon rokay ga in behty huye ashkon ko aj, rulana tu adat hai zamany ki, aik hi shakhs tha jo tham leta tha hm ko, Usay b adat ho gai ha hmein azmany ki.

Aanchal Teri Yadon Ka Bhigo Deti Hy Barish

Aanchal Teri Yadon Ka Bhigo Deti Hy Barish Sochon Pe Jami Gard Ko Dho Deti Hy Barish Hans Hans K Sunati Hy Jahan Bhar K Fasanay Puchhon Tere BaarY Men To Ro Deti Hy Barish LagtY Hain PyarY Meri Ankhon Ko Ye Manzar Hairat! Mere EhsaAs Ko Wo Deti Hy Barish Yaadon Ki Mehak Ho Ya Tere Hijr K Taanay Chup Chaap Main Rakh Lete Hen Jo Deti Hy Barish Mujh Par To Jo Karti Hy So Karti Hy Inayat Moti Tere Baalon Mein Piro Deti Hy Barish..

Lout Aao Ab in "Raaton"Me

Lout Aao Ab in "Raaton"Me K Raten Abi Adhori"Hen Lout Aao Ab in "Baton Me K Baten Abi Adhori"Hen Lout Ao Ab in Yadon"Me K Yaden Tm bin "Adhori"Hn Lout Ao Ab In "Wadon"ME K Wadon Me b "Majbori"he Lout Ao Ab in "Aankhon"Me K Aanso Behna "Zarori"hn Lout Ao Ab in "Sanson"Me K ZNDGI Tmse hi "Poori"he.

Tum Zulm ki Had Ko Paar Kro Hum Sabr Ka Daman

Tum Zulm ki Had Ko Paar Kro Hum Sabr Ka Daman Thaamtay Hain. Tum Lakh Dhamakay Humpe Karo Hum Khoon Bahana Jantay Hain Tum Aao Humko Qatal Karo Hum Apni Shahadat Mangtay Hain Hai Jaan Humari Qarz-e-Ali Yeh Jaan To Humne Deni Hai Tum Kitnay HUSSAINI Maro Gay Yeh Sari Qoam HUSSAINI hay..