"Hath Dua Se Yun Gira"

"Hath Dua Se Yun Gira"

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi
Dil ko Khushi ke sath sath hota raha malal bhi

Baat vo adhi raat ki, raat vo poore chand ki
Chand bhi ain chet ka, us pe tera jamal bhi

Sab se nazar bacha ke vo mujh ko aise dekhtay
Ek dafa to ruk gaye gardish-e-mah-o-sal bhi

Dil to chamak sake ga kya, phir bhi tarash ke dekh lo
Shishagaran-e-shahar ke hath ka ye kamal bhi

Us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb hal tha
Ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhal bhi

Meri talab tha ek shakhs, vo jo nahin mila to phir
Hath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi..

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,