Posts

Showing posts from March 25, 2011

Sheesha mera wajood hay, Pathar talash kar

'Sheesha mera wajood hay, Pathar talash kar' 'Meray galay ke wastey khanjar talash kar' 'Qatray se meri tishnagi na bujh sakay gi ab' 'Mere liye tu koi samandar talash kar' 'Duniya ke is hujoom mein hargiz mujhe na dhood' 'Mujh ko kahin tu apne hi andar talash kar.

Udaas shaamon ki siskion mein

==>GHAZAL==> Udaas shaamon ki siskion mein Kabhi jo meri awaaz sun'na Tou beety lamhon ko yaad kar k Inhifizaon mein lout aana Tum aaya karte thay khwaab ban kar Kabhi mehaktay they gulab ban kar Main khushk hoonton se jab pukaaroon In adaaon mein lout aana Meri wafaaon ka paas rakhna Meri duaaon ka pas rakhna Main khali haathon ko jab uthaaon Meri duaaon mein lout aana...

Bohat be-chain rehti hay tabiyat aik muddat se

Bohat be-chain rehti hay tabiyat aik muddat se.. Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat aik muddat se.. Mujhe bhi rok rakha hay meri masroofiyat ne or.. Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat aik muddat se.. Bohat majboor hoon warna bohat mehssos karta hoon.. Meri jaan tum se milnay ki zarorat aik muddat se.. Kisi din aa k mil jao k apnali hay aankhon ne.. Tumhari yaad mein ronay ki aadat aik muddat se..

Main wohi hon jisay tum dost kaha karte thay

Main wohi hon jisay tum dost kaha karte thay.. Din mein so baar mera naam liya karte thay.. Aaj kiya baat hay kyun mujh se khafa bethay ho? Kiya kisi aur ko tum dost bana bethay ho? Faaslay itne to pehle na huwa karte thay.. Main wohi hoon jisay tum dost kaha karte thay.. Tum agar bhool gaye ho to koi baat nahi.. Zakham to pehle bhi is dil pe laga karte thay.. Main wohi hon jisay tum D-O-S-T kaha karte thay....

Bikharti rait per kis naqsh ko aabad rakhey gi

Bikharti rait per kis naqsh ko aabad rakhey gi. Wo mujhko yaad rakhey bhi to kitna yaad rakhey gi. Usay buniyad rakhni hay abhi dil mein mohabbat ki. Magar ye sang seenay per wo meray baad rakhey gi. Palat ker bhi nahi dekhi uski ye be-rukhi hum ne. Bhula den gey usay aisa k wo bhi yaad rakhey gi.

Koi umeed jo hoti tere laut aane ki

Koi umeed jo hoti tere laut aane ki.. Phir na hoti aisi halat dil deewane ki.. Main to har haal mein khush rehne ki justju mein raha.. Na gai teri aadat wo staane ki.. Zindagi jabar-e-musalsal ki tarha kaat raha hoon.. Nahi deta koi dua bhi mar jane ki.. Ab tou aksar yehi sochta rehta hoon.. Tujh ko maangon ya maangon dua apnay mar jane ki...

Us waqt ko yaad kar zara, jab uthaya jayega Tera Janaza

"Us waqt ko yaad kar zara, jab uthaya jayega Tera Janaza Tere chahne wale Tujh par aansoun bahainge Is say ziada kuch nahi kar payenge Phir tujhe nahla kar kafan pehna kar Qabar k garhay mein ja dafnayenge.. Phir kuch din bhi na guzar payenge Yahi log qehqahe lgayenge.. Marne walon k 7 kon marta hay? Qabron pe phir kon aya karta hay? Tujhe mare hue jab zamane guzar jayenge Log naam bhi bhool jayenge Bas yehi he haqiqat is dunia ki khoob jee lo.. Kamiyabi chahte ho to ALLAH ki maan lo"..>

Mujh mein doob jao k meri gehraiyon ka pata chale

Mujh mein doob jao k meri gehraiyon ka pata chale. Mere dard ki shiddat meri tanhaiyon ka pata chale. Aise to har roz wafa k naam par toote hain dil. Mujh ko bhi chaho k meri bewafaiyon ka pata chale. Ye or baat k lafz mere ho kar nahi rehte. Phir bhi pucho koi sawal k meri sachiyon ka pata chale.

Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay

Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay.. Bohut bechain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay.. Main kaisay us ki yaadon or wadon se nigahe phairoon? Wo mujh se roothnay wala mera hamraz ab bhi hay.. Yeh tum ho is taaluq par preshaan or nadim bhi.. Isi belos rishtay par mujhay to naaz ab bhi hay...

Apny Dil Ko Sanbhalo Or So Jao

"Apny Dil Ko Sanbhalo Or So Jao," "Aansou Aankhon Mein Chupa Lo Or So Jao" "Kuch Nahi Milta Ishq Mein Siwaye Is Kay," "Ghum Ki Barish Mein Naha Lo Or So Jao" "Chor Do Ye Ratoon Ko Dair Tak Jagna," "Us Ki Yaad Dil Sy Mita Lo Or So Jao" "Ishq Mein Hamesha Bewafai He Hoti Hay," "Ye Baat Zehn Mein Bitha Lo Or So Jao"...

Mujhe ehsas-e-ulfat tum enayat kyun nahi karty

Mujhe ehsas-e-ulfat tum enayat kyun nahi karty.. Meri izzat to karty ho muhabbat kyun nahi karty.. Ye sary log kehty hain k tum chachal tabiyat ho.. Magar tum saamny meray shrarat kyun nahi karty. Jo apni guftugu mein phool tum takseem karty ho. Kabhi in phoolon ko mujh par nichawar kyun nahi karty...

Wo bakshta hay gunahe--azeem bhi lekin

Wo bakshta hay gunahe--azeem bhi lekin.. Hamari choti si naiki sanbhal rakhta hay.. Hum usay bhool jatay hein roshni mein.. Wo taariqi mein bhi khayal rakhta hay.. Jo kabhi dair se lotun to meri maa ki tarha.. Wo Meray rizk ka hisa nikal rakhta hay.. Gharo mein jin k diya bhi nahi hay un k liye.. Fiza mein chaand sitarey uchal rakhta hay.. Mohabbat apne bando se kamal rakhta hay.. Woh aik ALLAH hi hay jo tera or mera kharay lazawaal rakhta hay...

Khilty Huy Hr Rang Se

Khilty Huy Hr Rang Se Ho Jis Ki Adaawat Us Haath Pe Mehndi Ko Rachawon B to Kesy? Jis Aankh Ne Dekha Hi Na Ho Rang-e-Mubabat U§ Aankh Me Khuwaabon Ko Sajawon B to Kesy? Maloom He Din Raat Wo Rota He Mussalsal Pr Door Se Us K A§hkon Ko Churawon B to Kesy? Jis Aa§ Ne Torra Ho Meri Soch Ka Sheesha.. Us Aa§ Se Phir Aas Lagaon Bhi to Kesy...!

Wo kehti thi Mery dil ko mohabat bojh lagti hai

?< pagli Guriya ?> Wo kehti thi Mery dil ko mohabat bojh lagti hai K Is ki band nagri say Mujhay kuch khof aata hai Har ek lamha darata hai Mujay kuch aisa lagta hai K is ki naram khamoshi Meri saansain chura lay gee Mujay be-bas bana day gee Mujhay azaad rehna hai Faqat itna hi kehna hai Sun k us ki sab batain Main bus ye bol pata tha Mohabat qaid rakhti hai Magar is qaid main reh kar Jo khushiyan dil ko milti hain Kahin say mil nahi saktin K is kin arm zanjeerain Kabi ghayal nahi kartin Mohabat aisi manzil hai K jis k saray raston pay Wafa ka dars milta hai Nibah ka dars milta hai Dilon pay raaj karnay ki adaa ka dars milta hai Ye her dil ki zrurat hai Mohabat khubsurat hai.

Mudaton baad us ko kisi k saath khush dekha to ye ehsas huwa

''Mudaton baad us ko kisi k saath khush dekha to ye ehsas huwa Kaash k hum ne us ko bohat pehly chor diya hota...

Suno jana! Palat ana

Suno jana! Palat ana! K koi yad karta he, Tumhain awaz deta he, Tumhe khush dekhne k waste Apny dil-e-muztir ko jo na shad karta hy, Tumhari ik jhalak k waste Galiyo mai, Raston mai , Subha sy sham, Din se rat karta hy, Jinhe tum sy aqidat hy, Teri be los chahat hy, Tumhe takne ki hasrat hy, JINHAIN TUM SE MUHABBAT Hy, Unhain kuch waqt dete hain, So gar mumkin ho kuch aisa? To un ki chah ki khatir, "SUNO JANA! PALAT AnA! K KOI YAD KARTA HY....

Zara Si Baat

<"Zara Si Baat"> Pal Do Pal Ko,, Ek Mehfil Meh Mile The ! ! Gayi Bahaar..!! Idhar Udhar Ki Suni Sunayi Baatein Ki Do Chaar,, Unhon Ne Shayad Dekha Bhi Tha Meri Taraf Ek Baar..!!

Phol'on Ki Hunsi, Tar'on Ki

Phol'on Ki Hunsi, Tar'on Ki Khushi, Mausam Ki Ada'ain Deti Hun, Ik CHAND Ko Me Ta'Umr Sada Jeene Ki Dua'ain Deti Hun.. Ulfat Ki Koi Bhi Shakal Nahin Majbor Hay Ye..! Mazlom Hay Ye..! Adrak-E-Mohabbat Aesa Hay Be'Harf Sahi Be'Antt Hay Ye Jo Jhuk Na Sake.! Jo Thak Na Sake.! Na Toot Sake.! Jo Mitt Na Sake.! Taskheer Na Ho Jo Dunia Se Tumhain Aesi Wafa'ain Deti Hun.. Maangi Thi Kabhi Jo Apne Liye WOH SAARI DUA'AIN DETI HUN...

Zindagi Se Nabah Karte Rahe

Zindagi Se Nabah Karte Rahe,, Shehr Kehte Rahe, Solagte Rahe,, Tera Aana Khwaab Tha Liken,, Hum Charaagon Ke Sath Jalte Rahe,, Kya Bataen Ke Ab Ke Saan Hain,, Hum Tujhe Kitna Yaad Karte Rahe,, Sheher Walon, Hawa Ki Basti Meh,, Phool, Khushbu, Chiraag Kaise Rahe,, Tumne Jugnu Se Dosti Kar Li,, Hum Sitaara Talaash Karte Rahe,, Wisl Jin Ko Naseeb Ho Na Saka,, Hijr Ki Dastaan Lekhte Rahe..!!

Ye Sheeshon K Sapne

Ye Sheeshon K Sapne, Ye Dhaagon K Rishte, Kise Hai Khabar K Kahaan Toot Jaayein, Muhabbat K Dariya Mein Tinke Wafa K, Kise Hai Khabar K Kahaan Doob Jaayein, Ajab Dil Ki Basti, Ajab Dil Ki Haalat, Har Ik Morr Mausam Nayi Chaahton Ka, Lagaaye Hein Hum Ne Bhi Sapnon K Poday, Magar Kya Bharosa Yahaan Baarishon Ka, Jinhein Dil Se Maana Jinhein Dil Se Chaaha, Kise Hai Khabar K Kahaan Rooth Jaayein...! Kahan Chhor Jaayein.

Hamein tum se mohabbat hai hamara imtihaan le lo

Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo, Agar chaho to dil le lo, agar chaho to jaan le lo. Hamein tum bhool mat jaana, ye ik faryaad karte hein, Wafa ki shart se bhi hum tumein, azaad karte hein, Zubaan bhi hum na kholeinge, yeh tum hum se zubaan le lo. Hum apni jaan de kar bhi, mohabbat ka bharam rakh lein, Tumhare dil pe koi bhojh ho, to sar pe hum rakh lein, Khizaan ke ghum hamein de do, bahaaron ka sama le lo. Zamaana kuchh nahin hai, sirf ik rangeen dhoka hai, Tumhare pyaar pe lekin, hamein poora bharosa hai, Zara si dil mein bas de do, jagah, saara jhaan le lo. Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo.

Main Gham K Ghar Main Qaid

Main Gham K Ghar Main Qaid Hoo'n Be_Ghar Nahee'n Hoo'n Main ThhoKar Na Yu'n Laga MuJhe Patthar Nahee'n Hoo'n Main Khush Ho K DaiKhte Ho Kyu'n Meri Tabahi Ko Koi Suhani Sham Ka Manzar Nahee'n Hoo'n Main Hai Tazkara Dukho'n Ka Mere Sare Shehar Main Afsos Aik Teri Zaba'n Par Nahee'n Hoo'n Main Aankho'n K Iss Tarazoo Main Tu MujhKo Taul K Daikh Khud_Dar Lakh Hoo'n Magar Khudd_Saar Nahee'n Hoo'n Main DOST Tere Sawalo'n Ka Main Kyaa Jawab Doo'n? Khud Apne Aapko Bhi Mayas'sar Nahee'n Hoo'n Main..

Jane q zindagi ab sehra lagti hai

"Jane q zindagi ab sehra lagti hai" "Saans bhi loon tou zakhmon ko hawa lagti hai" "Q har baat ki taseer mujh par ulti hai" "Koi dua bhi de tu bad-dua lagti hai" "Jeene ki tamana nahin mujh ko zara bhi" "Saans lena bhi ab tou ik saza lagti hai" "Apne dil ka haal sunaon bhi tu kise" "Jab sari duniya hi mujhe bewafa lagti hai" "Koi marham nahin milta mere dard ka mujh ko" "Ab tou bas mout hi mere zakhmon ki dawa lagti hai"..

Teer mera na kamaan hai meri

Teer mera na kamaan hai meri Koi pahchaan kahaan hai meri Dekhta hun main khuli ankh se khab Aur sheeshe ki dukaan hai meri !!! Too zara dhyaan barat mere liye Zindagi tujh men nihaan hai meri Sue maqtal hi nikalnaa hogaa Ab wohi jaaye amaan hai meri Hai mujhe saari haqiqat malum Is liye band zabaan hai meri Meri muththi men hai iski ungli Zindagi se bhali maan hai meri...

Ab mujhe hai use bhulaa denaa

Ab mujhe hai use bhulaa denaa Ae khudaa tu hi hauslaa denaa Main nahin, zindagi sawaali thi Meri ghairat ko ye bata denaa Sakht jaani to hijr sah legi Tum mujhe dusri sazaa denaa Aandhiyaan pahle thamna yaarab Tab mere haath me diyaa denaa Jab mujhe tum pukaarna chaaho Roshni, roshni, sadaa denaa...

Pahle jab bhi dil dukhta tha Tujh ko soch liya karta tha

Pahle jab bhi dil dukhta tha Tujh ko soch liya karta tha Kal jis jaa baaraat ruki thi Aaj wahaN par sannata tha Pahla baal paka dekha jab Us din to dil doob gaya tha Uski hatheli par hontoN se Maine apna naam likha tha Mere dukh me ro parti thi Jaane us ka dil kaisa tha! Mere pairoN me larzish thi Tera kutta bhoonk raha tha...

Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi

Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi Zindagi tujh se mulaaqaat thi jo ho bhi gayi Ab talak aas teri dil men liye phirtaa hun Khush gumaani ko mere teri hansi ro bhi gayi Ain mumkin hai ke aelaan e sahat yaabi ho Dard ki tees jo uththi thi abhi, so bhi gayi Hum to maasoom the bekar dara karte the Zindagi tujh se juda rahke basar ho bhi gayi Phir wohi aas ta’aaqub men lagi hai mere Biti baaton ke sabhi daagh mui dho bhi gayi...

Jangal Thay Tareek Kahin

Jangal Thay Tareek Kahin > Kahin Matti Rait k Teelay Thay,, Ishq Ki Raah Mai Aanay Walay > Pathar b Nokilay Thay.. Tere Hijr K Naag Ka Dasna Kuch Itna Zehreela Tha,, Meri Aankh Se Behnay Walay Aansu Neelay Neelay Thay.. Sanson Ki Shatranj b Haaray Phir b Mil Na Paaye Wo,, Un ki Nazar Mai Pyar to Shayad, Reet, Riwaj, Qabeelay Thay.. Tum Na'haq Naraaz Huay, Werna Mekhanay Ka Rasta... Hum Ne Her Us Shkhs Se Poocha, Jis k Nain Nasheelay Thay...

Chalo Main Bataon! Kaisey Dost Ho Tum

Chalo Main Bataon! Kaisey Dost Ho Tum,,, Meray Liye..! Meri Duniya Ho Tum,, Choo K Jo Guzri Wo Hawa Ho Tum,, Main ne Jo Mangi.. Wo Dua Ho Tum,, Karey Mujhe Jo Roshan Wo Diya Ho Tum,, Meray intizar Ki Rahat Ho Tum,, Meray Dil Ki Chahat Ho Tum,, Tum Ho To... Ye Duniya Hai Meri,, Kaisey Kahon! k Meri zindagi Ho Tum,, Kar Sako Yaqeen To.. Bataon Tumhein? Boht khas, Boht khas , Boht khas Ho Tum!.

Adhore chand se faryad to kerta hoga

Adhore chand se faryad to kerta hoga Wo mujhe ziyada nahi per yad to kerta hoga Bhole se he sahi kbhi meri yad to ati hogi Wo mere bare mei kuch irshad to krta hoga Bohat masruf sahi din bhar Phir b! Tanhai mei kuch pal mere liye 'BARBAD' to krta hoga...

Ek chadar ko rah-e- mehbob men bicha dena

Ek chadar ko rah-e- mehbob men bicha dena, Men mr jaon to usy mera kafan bna dena, Thori c khaak lao un k Qadmo ki qbr k liye, Ek anso un ka mujh per gira dena, Boht roy ga mujy dehk dehk kr wo shaks, Is liye dair na lgana mujy jaldi dafna dena, Lagana ek poda meri qbr k serhanay, Meray yar k anso osko pila dena, Agr boht roy meri qbr pr wo aa kr, To nikalna muje or UsS kaminy ko dfna dena.. :

Wo Shakhs Kabhi Dasht Se Guzrey To Usey Kehna

"Wo Shakhs Kabhi Dasht Se Guzrey To Usey Kehna, "Ek Pal Mere Ghar Mein B Thehre Usey Kehna, "Kehna K Samandar K Kinaarey Pe Na Jaye, "Kuch Loug Samandar Se B Hain Gehre Usey Kehna, "Zarr-khaiz Zameenein kabhi Banjar Nahi Hoti, "Darya Hi Badal Letey Hain Rasta Usey Kehna, "Kuch Loug Safar K Liye Mozoon Nahi Hote, "Is Shehar Mein Sach Keh K Gunah-gaar Na Hona, "K Basti K Sabhi Loug Hain Behre Usey Kehna...

Zindagi K Har More Pe Kuch Is Tarha Azmaya Gya Mujhy

Zindagi K Har More Pe Kuch Is Tarha Azmaya Gya Mujhy, Zindagi Dy K Phir Zindagi K Liye Tarsaya Gya Mujhy, Pehley Inayaat Kya Ghamon Ka Saya Mujhy, Phir Khushi K Ek Ek Lamhay Ko Tarsaya Gya Mujhy, Logon K Liye Rakhtay Thy Wo Pyar Ka Samandar, Mgr Ek Ek Boond Ko Tarsaya Gya Mujhy, Kaisay Na Karty Is Mohabbat Se Nafrat, Chiragh Ki Tarha Har Dehleez Pe Jalaya Gya Mujhy.. *~*ÜdÃÂ$*~*

Ek pal bhi chain se guzara ho to qasam le lo

Ek pal bhi chain se guzara ho to qasam le lo, Siwaye yadon k koi or sahara ho to qasam le lo, Pehlay to bat or thi jo tum pe haq jatate the, Ab khud pe bhi koi haq hamara ho to qasam le lo, Tum hi ne kaha tha k tumhare labon pe mera hi naam aye. US k bad jo kisi ko pukara ho to qasam le lo. *~*ÜdÃÂ$*~* 0344(*¤*)3888(*¤*)256

Kuch door humaray saath chalo

Kuch door humaray saath chalo, Hum Dil ki kahani keh dain gay, Samjhy na jisay tum ankhon say,' Woh Baat zubani keh dain gay,' Pholon ki tarah jab honton pe,' Ek shokh tabasum bikhray ga, Dheeray say tumharay kanoo main,' Eik Baat purani keh dain gay,' Izhar-e-wafa tum kya jano,' Iqrar-e- wafa tum kya jano, Hum zikar krain gay ghairon ka', Aur apni kahani keh dain gay... *~*ÜdÃÂ$*~* 0344(*¤*)3888(*¤*)256

"Pat'thar tha magar barf k golon ki tarha tha,

"Pat'thar tha magar barf k golon ki tarha tha, Ek shakhs andheron men ujalon ki tarha tha, Khwabon ki tarha tha na khyalon ki tarha tha, Woh ilm- e-reyazi k sawalon ki tarha tha, Uljha howa aisa k kabhi hal ho nahi paya, Suljha howa aisa k misalon ki tarha tha, Woh mil to gya tha magar apna hi muqddar, Shatranj ki uljhi hui chalon ki tarha tha....

Mohabbat k safar mai koi

Mohabbat k safar mai koi bhi rasta nahi deta. ..Zameen waaqif nai banti, Falaq saaya nahi deta. ...Khushi aur dukh k mausam sab k apnay apnay hote hain. ...Kissi ko apnay hissay ka koi lamha nahi deta. ...Udaasi jiss k dil main ho, Ussi ki neend urti hay. ...Kissi ko apni aankhon se koi sapna nahi deta. ...Uthaana khud hi parta hay thaka toota badan apna. ...K jab tak saans chalti hai koi kandha nahi deta , = / =