Pahle jab bhi dil dukhta tha Tujh ko soch liya karta tha

Pahle jab bhi dil dukhta tha
Tujh ko soch liya karta tha


Kal jis jaa baaraat ruki thi
Aaj wahaN par sannata tha


Pahla baal paka dekha jab
Us din to dil doob gaya tha


Uski hatheli par hontoN se
Maine apna naam likha tha


Mere dukh me ro parti thi
Jaane us ka dil kaisa tha!


Mere pairoN me larzish thi
Tera kutta bhoonk raha tha...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,