Posts

Showing posts from January 12, 2011

ZINDAGII G

Zindagii se baRii sazaa hii nahin Aur kyaa jurm hai pataa hii nahiin Itane hissoun mein bat gayaa houn main Mere hisse mein kuchh bachaa hi nahin Sach ghate yaa baRe to sach na rahe Jhuuth kii koii intehaa hii nahiin JaR do chaandii mein chaahe sone mein Aaiinaa jhuuth bolataa hii nahiin...

Ho qaid-e-maqami to natija hey tabahi

Ho qaid-e-maqami to natija hey tabahi,, Reh behr main azad sorat-e-mahi... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Nahi Tera Nasheman Qasr E Sultaani Ki Gunbad Par

Nahi Tera Nasheman Qasr E Sultaani Ki Gunbad Par, Tu Shaheen Hai Basera Kar Pahaaron ki Chataanon Main... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Gurbat me.n ho.n agar ham

Gurbat me.n ho.n agar ham rahataa hai dil vatan me.n,,, Samajho vahii.n hame.n bhii dil ho jahaa.N hamaaraa..... Dr. Alama Muhammed Iqbal

khudi ki parwarish_o tabiyat pe hay moqoof

khudi ki parwarish_o tabiyat pe hay moqoof K musht_e khaak main paida ho aatish_e huma soz! yehi hay sirr_e kaleemi har ik zamaney main! hawa_e dasht _o shoaib_o shabani_e shab_o roz... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Teri mehfil bhi gai,

Teri mehfil bhi gai, chahne wale bhi gaye, Shab ki aahen bhi gayi, subah ke nale bhi gaye Dil tujhe de bhi gaye, apna sila le bhi gaye, Aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye. Dr. Alama Muhammed Iqbal

Mumkin hai ke tu jisako samajhataa hai bahaaraaN,,

Mumkin hai ke tu jisako samajhataa hai bahaaraaN,, Auron kii nigaahon mein wo mausam ho KhizaaN kaa,, Hai sil-silaa ehawaal kaa har lahajaa dagaraguuN,, Ae saalek-rah fikr na kar suudo-zayaaN kaa,, Shaayad ke zamiN hai wo kisii aur jahaaN kii,, Tuu jisako samajhataa hai falak apane jahaaN kaa... Dr. Alama Muhammed Iqbal

UTTho merii duniyaa ke Gariibon ko jagaa do,,

UTTho merii duniyaa ke Gariibon ko jagaa do,, Khaak-e-umaraa ke dar-o- diivaar hilaa do,, Garmaao Gulaamon kaa lahuu soz-e-yaqin se,, Kunjishk-e-phiromaayaa ko shaahiin se laraa do,, Sultaanii-e-jamahuur kaa aataa hai zamaanaa,, Jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye miTaa do,, Jis khet se dahaqaaN ko mayassar nahii.n rozii,, Us Khet ke har Khoshaa-e- gundam ko jalaa do,, Kyon Khaaliq-o-maKhaluuq mey haayal rahein parde,, Piiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se haTaa do,, Main naaKhush-o-bezaar huuN mar_mar ke silon se,, Mere liye miTTii kaa haram aur banaa do,, Tahaziib-e-naviin kaar_gah-e- shiishaagaraaN hai,, Aadaab-e-junuuN shaayar-e-mashriq ko sikhaa do... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Ye seher jo kabhi farda hai kabhi hai amroz,,

Ye seher jo kabhi farda hai kabhi hai amroz,, Nahee maaloom ke hoti hai kahan se paida,, Wo seher jis se larazta hai shabistan-e-wujood,, Hoti hai banda-e-momin ki azaaN se paida muaazab... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Mata e Bay Baha Hay Dard Soz e Arzoo Mandi,,

Mata e Bay Baha Hay Dard Soz e Arzoo Mandi,, Maqam e Bandagi Day Kar Na Loon Shan e Khuda Wandee,, Yeh Fezan e Nazar Tha Ya Keh Maktab Kee Kiramat Thee,, Sikha e Kis Nay Ismaeel Ko Adab e Farzandee,, Teray Azad Bandoon Kee Na Yeh Dunya Na Wo Dunya Yahan Marnay Kee Pabandee Wahan Jeenay Kee Pabandee... Dr. Alama Muhammed Iqbal

"Dosti ka rishta kabhi purana nahi hota,,

"Dosti ka rishta kabhi purana nahi hota,, is se baRa koyi khazana nahi hota, Dosti to pyar se bhi Behtar hai.. Kyonki isme koi dost pagal ya dewana nahi hota,..

Kuch hadsat-e-zeest hai kuch wardat-e-ghum

Kuch hadsat-e-zeest hai kuch wardat-e-ghum Bus itna sa falsafa hai mere shair-o-ghazal ka... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Moti samajh ke shan-e- kareemi ne chun liye,

Moti samajh ke shan-e- kareemi ne chun liye, Qatre jo the mere Urq-e-infa'al ke... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Mujhe raaz-e-do aalam dil ka aina dikhata hai,

Mujhe raaz-e-do aalam dil ka aina dikhata hai, Wahi kehta hoon jo kuch samne ankho ke aata hai,, Dr. Alama Muhammed Iqbal

Us Qo'um Ko Shamsheer Ki Hajat Nahi Rahti.....!!!

Us Qo'um Ko Shamsheer Ki Hajat Nahi Rahti.....!!! Ho Jis Kay Jawanoo'n Ki Khudi Sorat-e-Folaad....!!! Mojoo'n ki Tapish Kiya hay, Faqat Zooq-e-Talab Hay.................!!! Pan'haa'n Jo Sadaf Mein, Woh Dolat Hay Khuda'Dad..!! Zarb-e-Kaleem... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Zaroorat Torr Deti Hai Gharoor-o-Be-Niazi Ko

Zaroorat Torr Deti Hai Gharoor-o-Be-Niazi Ko, Na Hoti Koi Majburi To Har Banda "Khuda" Hota. Dr. Alama Muhammed Iqbal

Duniya ki mehfil se ukta gaya hoon ya rab

Duniya ki mehfil se ukta gaya hoon ya rab, Kya lutf anjuman ka jab dil he bujh gaya ho, Shorish se bhagta hoon dil dhoondta hai mera, Aisa sukoot jis par taqreer bhi fidaa ho, Shorish = Shor - Sharaba Martaa hoon khamushi par ye aarzoo hai meri, Daman mai koh ke ek chota sa jhopda ho, Aazad fikar se hoon uzlat main din guzaarun, Duniya ke ghum ka dil se kaanta nikal gaya ho, Uzlat = Musti / Befiakri Lazzat *surood ki ho chidiyon ke chehchahon main Chashmon ki shoriyon main baja sa baj raha ho, Surood = Geet Gul ki kali chatak kar paigham de kisi ka, Saghar zara sa goya mujhko *jahan'numan ho, Jahan'numan = Jis main poori duniya dikhai de. Ho haath ka sarhana sabze ka ho bichhona Sharmaye jis se *zalwat *khilwat mai wo ada ho, Zalwat = sab ke saath / Mehfil Khilwat = Akela pan / Tanhai Manoos is qadar ho surat se meri bulbul, Nan'neh se dil mai uske khatka na kuch mera ho, Saf baandhe dono janib boote hare -hare ho'n, Nadi ka saaf paani tasweer le raha ho, Ho *dil-faraib

nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii

nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii,, Khaamoshii guftaguu hai bezubaanii hai zabaa.N merii,, Ye dastuur-e-zabaa.N-bandii hai kaisii terii mahafil me.n yahaa.N to baat karane ko tarastii hai zabaa.N merii,, UThaaye kuchh varaq laalaa ne kuchh naragis ne kuchh gul ne Chaman me.n har taraf bikharii hu_ii hai daastaa.N merii,, U.Raa lii kumariyo.n ne tuutiyo.n ne a.ndaliibo.n ne Chaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fugaa.N merii,, Tapak ai shama aa.Nsuu ban ke paravaane kii aa.Nkho.n se,, Saraapaa dard huu.N hasarat bharii hai daastaa.N merii,, Ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaa.N duniyaa me.n rahane kaa,, Hayaat-e-jaavidaa.N merii na marg-e-naagahaa.N merii... Dr. Alama Muhammed Iqbal

nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii

nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii,, Khaamoshii guftaguu hai bezubaanii hai zabaa.N merii,, Ye dastuur-e-zabaa.N-bandii hai kaisii terii mahafil me.n yahaa.N to baat karane ko tarastii hai zabaa.N merii,, UThaaye kuchh varaq laalaa ne kuchh naragis ne kuchh gul ne Chaman me.n har taraf bikharii hu_ii hai daastaa.N merii,, U.Raa lii kumariyo.n ne tuutiyo.n ne a.ndaliibo.n ne Chaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fugaa.N merii,, Tapak ai shama aa.Nsuu ban ke paravaane kii aa.Nkho.n se,, Saraapaa dard huu.N hasarat bharii hai daastaa.N merii,, Ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaa.N duniyaa me.n rahane kaa,, Hayaat-e-jaavidaa.N merii na marg-e-naagahaa.N merii... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Jinhe.n mai.n Dhuu.NDhataa

Jinhe.n mai.n Dhuu.NDhataa thaa aasmaano.n me.n zamiino.n me.n,, Vo nikale mere zulmat-e- Khaanaa-e-dil ke makiino.n me.n,, [zulmat-e-Khaanaa-e-dil = darkened house that is (my) heart] [makiin = resident] Mahiine vasl ke gha.Riyo.n kii suurat u.Rate jaate hai.n Magar gha.Riyaa.N judaa_ii kii guzaratii hai mahino.n me.n mujhe rokegaa tuu ai naaKhudaa kyaa garq hone se,, Ki jin ko Duubanaa hai Duub jaate hai.n safiino.n me.n,, [naaKhudaa = boatsman; garq = drowning; safiinaa = boat] Jalaa sakatii hai sham-e-kushtaa ko mauj-e-nafas un kii,, Ilaahii kyaa chhupaa hotaa hai Ahal-e-dil ke siino.n me.n [sham-e-kushtaa = extinguished candle/flame] [mauj-e-nafas = waves of (one's) breath] Tamannaa dard-e-dil kii ho to kar Khidamat faqiiro.n kii,, Nahii.n milataa ye gauhar baadashaaho.n ke Khaziino.n me.n,, [gauhar = pearl; Khaziino.n = riches/treasure] Muhabbat ke liye dil Dhuu.NDh ko_ii TuuTanevaalaa,, Ye vo mai hai jise rakhate hai.n naazuk aab_giino.n men,, [aab_giinaa = delicate decanter

Tu ne poochi hea Imamat ki haqekat mujh se

Tu ne poochi hea Imamat ki haqekat mujh se, Haq tujhe meri terhan sahib-e-asrar kare, Hea wohi tere zamane ka Imam-e-berhaq, Jo tujhe hazir-o-mojood se bezaar kare, Mot k aayene me tujh ko dikha ker rukh-e-dost, Zindagi tere liye or bhi dushwar kare, De k ahsas-e-ziyaan tera lahu germa de, Fikar ki saan cherha ker tujhe talwar kare, Fitna Milat-e-bezah hea IMAMAT is ki, Jo muslma ko slateen k porastaar kare... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Aankh jo dekhti hai lab pe aa sakta nahi

Aankh jo dekhti hai lab pe aa sakta nahi,, Mahvehairat hon duniya kya se kya hojaygi... Dr. Alama Muhammed Iqbal

Tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N

Tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N, Merii saadagii dekh kyaa chaahataa huu.N, [intahaa=limit; saadagii=simplicity] Sitam ho ki ho vaadaa-e- behijaabii,, Ko_ii baat sabr-aazamaa chaahataa huu.N [vaadaa-e-behijaabii=promise to be unveiled] [sabr-aazamaa=testing the patience] Ye jannat mubaarak rahe zaahido.n ko Ki mai.n aap kaa saamanaa chaahataa huu.N [jannat=heaven; zaahid=a person belonging to a higher plane of existence] Ko_ii dam kaa mehamaa.N huu.N ai ahal-e-mahafil chiraaG-e-sahar huu.N, bujhaa chaahataa huu.N [ahal-e-mahafil=people present at the gathering] [chiraaG-e-sahar=light of dawn] Bharii bazm me.n raaz kii baat kah dii ba.Daa be-adab huu.N, sazaa chaahataa huu.N... Dr. Alama Muhammed Iqbal