Duniya ki mehfil se ukta gaya hoon ya rab

Duniya ki mehfil se ukta gaya hoon ya rab,

Kya lutf anjuman ka jab dil he bujh gaya ho,

Shorish se bhagta hoon dil
dhoondta hai mera,

Aisa sukoot jis par taqreer bhi fidaa ho,

Shorish = Shor - Sharaba

Martaa hoon khamushi par ye aarzoo hai meri,

Daman mai koh ke ek chota sa jhopda ho,

Aazad fikar se hoon uzlat main din guzaarun,

Duniya ke ghum ka dil se kaanta nikal gaya ho,

Uzlat = Musti / Befiakri

Lazzat *surood ki ho chidiyon ke

chehchahon main

Chashmon ki shoriyon main baja sa baj raha ho,

Surood = Geet

Gul ki kali chatak kar paigham de kisi ka,

Saghar zara sa goya mujhko

*jahan'numan ho,

Jahan'numan = Jis main poori

duniya dikhai de.

Ho haath ka sarhana sabze ka ho bichhona

Sharmaye jis se *zalwat *khilwat mai wo ada ho,

Zalwat = sab ke saath / Mehfil

Khilwat = Akela pan / Tanhai

Manoos is qadar ho surat se

meri bulbul, Nan'neh se dil mai uske khatka

na kuch mera ho,

Saf baandhe dono janib boote

hare -hare ho'n,

Nadi ka saaf paani tasweer le raha ho,

Ho *dil-faraib aisa *koh-e-sor ka nazara,

Paani bhi mauj bankar uth-uth ke daikhta ho,

Dil-Faraib = Dil khush karne wala

Koh-e-sor = Pahad / Oonchai

Aaghosh mai zamin ki soya hua ho sabza,

Phir- phir ke jhadiyon mai paani chamak raha ho

Paani ko chhu rahi ho jhuk jhuk ke gul ki tehni,

Jaise haseen koi aina daikhta ho,

Mehndi lagaye suraj jab shaam ki dulhan ho,

Surqki Liye sunheri har phool ki *qaba ho,

Qaba = Chadar / Audhni

Raaton ko chalne wale reh jayein thakk ke jis dam,

Ummeed inki mera toota hua diya ho,

Bijli chamk ke inko kut'iya meri dikha de,

Jab aasman pe har su badal
ghira hua ho,

Pichhle pehar ki koyal wo subha ki *moazzin,

Mai inka *humnawa'n hoon wo meri humnawa ho,

Moazzin = Aazaan dene wala

Humnawa'n = Saarhi / Dost

Kaano pe na ho mere dair-o-
huram ka ehsa'n

*Rozan he jhopdi ka mujhko

*seharnuma ho,

Rozan = Suraakh / chhaid

Seharnuma = Subha ki khabar

daine wala Phoolon ko aye jis dam shabnam Wuzoo karane,

Rona mera wuzoo ho *na'ala meri dua ho,

Na'ala =Fariyad

Iss khamushi mai jayein itne
bulund na'ale,

Taaro'n ke qafile ko meri
*sadadira ho,

Sadadira = Aawaz pohchane wala

Har Dardmand dil ko rona mera rula de,

Behosh jo pade hain shayad unhe jaga de.

Dr. Allama Iqbal

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,