Posts

Showing posts from January 13, 2011

Humko maaloom hai jannat

Humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin Dil ke khush rakhne ko 'Ghalib' yeh khayaal achchha..

WorDS

Khuda Pakistan ki hifazat karey ! (Last words by Shaheed-e-Millat (Liaquat Ali Khan)

Us ne rukh se hataa ke baalon ko

Us ne rukh se hataa ke baalon ko Rasta de diya ujaalon ko Jaate jaate jo muR ke dekh liya Aur uljhaa diya Khayalon ko [uljhana=to create confusion/complication] Ek halki si muskurahat se us ne hal kar diya savaalon ko [halki=slight; muskurahat=smile] [hal karna=to solve; savaal=question] Mar gaye ham to dekh lenaa "Shafaq" Yaad aayenge husn vaalon ko by:Syed Shafaq Shah Chishti

Jeenay Say Mo Mora Nahin Kartay

Jeenay Say Mo Mora Nahin Kartay Mohabbat Is Tarhan Chora Nahin kartay mai.n chaahataa bhii yahii thaa vo bevafaa nikale use samajhane kaa ko_ii to sil_silaa nikale kitaab-e-maazii ke auraaq ulaT ke dekh zaraa na jaane kaun saa safaah mu.Raa huaa nikale jo dekhane me.n bahut hii qariib lagataa hai usii ke baare me.n socho to faasalaa nikale...

Mohabbat Is Tarhan Chora Nahin Kartay

Mohabbat Is Tarhan Chora Nahin Kartay Taaluk Is Tarhan Tora Nahi Kartay K Phir Say Jorna Dushwar Ho Jaye Hayat Aik Zehar Main Dobi Hui Talwar Ki Manind Mohabbat Is Tarhan Chora Nahin Kartay Rawadari Ka Hargiz Rasta Chora Nahin kartay Mohabbat Main Sabhi Aik Dusray Ko Aazmatay Hain Magar Aisa Nahin Kartay K Har Umeed Har Imkaan Toot jaye Kahan Tak Khinchi Ho Dor Ya Andaza Rakhtay Hain Humesha Chaar Dewari Main Aik Darwaza Rakhtay hain Judai Mustakil Ho Tu Zindagi Zindaan Ho jaye...

Kaisay bhoolon ga tere saath guzare lamhay Saya

Kaisay bhoolon ga tere saath guzare lamhay Saya ... Phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujhko Din ko aaram hai na rat ko hai chain kabhi Janay kis khaak say kudrat nay banaya mujhko Dukh to yeh hai keh zamanay main milay ghair sabhi Jo mila hai woh mila ban ke paraya mujhko Jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujhko aab to umeed-e-wafa tum say nahein hai koi Phir charaghon ki tarah kis ne jalaya mujhko Bewafa zindagi ne jab chor diya hai tanha Maut ne pyaar say pehloo main bithaya mujhko Woh diya hoon jo mohabbat ne jalaya tha kabhi Gham ki andhi ne subah aur shaam bujhaya mujhko kaisay bhoolon ga tere saath guzare lamhay Yad aata raha zulfon ka hi saya mujhko.....

Laakhon ki suna tum ne taqdir sanvaari hai

Laakhon ki suna tum ne taqdir sanvaari hai Mujh se yahi kah dete ab ke teri baari hai Daali hai nazar jab se ek nasha saa taari hai Kya koi pari saqi sheeshe mein utaari hai [taari=spreading/happening] Kya us ko rijhaayenge jannat ke haseen jalve Dehleez tere dar ki jis shakhs ko pyaari hai [rijhana=to please/charm; jannat=heaven] Virsey mein mili ham ko shahi bhi faqeeri bhi aur Gam to "Shafaq" goya jaageer hamari hai [virsey=inheritance/heritage; shahi=royalty] [faqiirii=poverty/humility; goyaa=as if; jaageer=property/estate] by:Syed Shafaq Shah Chishti

AJEEB SHAKHS HOON KHUDH KO JALANA CHAHTA HOON

AJEEB SHAKHS HOON KHUDH KO JALANA CHAHTA HOON, MEIN KHUDH KO RAKH KAR KAHE BHOOL JANA CHAHT HOON, MERAY NASEEB KI KHUSHIYAN BHI KAB MILLI MUJHKO, BAS AB TO UMER BHAR ANSOO BAHANA CHAHTA HOON, NAJANEY KITNI MOHABBAT HAI RANJ-O-GHAM HAI MUJHEY, KOI BHI DARD HO DIL MEIN CHUPANA CHAHTA HOON, BAHA BAHA KE YEH ANSOO BIKHAR CHUKA HOON BOHAAT, SIMAT KE ZAAT MEIN AB MUSKURANA CHAHTA HOON, JISEY AIK UMER SE DIL MEIN BASA KAI RAKHA HAI, WOH RAAZ AAJ MEIN SAB KO BATANA CHAHTA HOON, WOHI YAAD HAI JO ACHA KAHA HAI LOGO NE, BAQAYA SAREY SITAM BHOOL JANA CHAHTA HOON, MUJHE ZAMANEY NAI PATHAR SAMJH LIYA HAI MAGAR, MEIN AIK INSAN HOON SAB KO BATANA CHAHTA HOON, JO MUJH SE RUTH CHUKY HAIN ZAMANEY KI KHUSHIYAN, TO MEIN BHI KHUSHYON SE AB RUTH JANA CHAHTA HOON, WOH MERI KHWAHISHEIN WOH MERA KHUWAAB WOH MERA BACHENI, UMER RAFTA MEIN PHIR SAI WOH PANA CHAHTA HOON, KOI TO HO JO MUJHE BHI LAGAYE SEENAY SE, KISI KO MEIN BHI GHAM APNA SUNANA CHAHTA HOON...