Kaisay bhoolon ga tere saath guzare lamhay Saya

Kaisay bhoolon ga tere saath
guzare lamhay Saya ...

Phir kisi yaad ne raat bhar
hai jagaya mujhko

Kiya saza di hay mohabat
nay khudaya mujhko

Din ko aaram hai na rat ko
hai chain kabhi

Janay kis khaak say kudrat
nay banaya mujhko

Dukh to yeh hai keh
zamanay main milay ghair
sabhi

Jo mila hai woh mila ban ke
paraya mujhko

Jab koi bhi na raha kandha
mere ronay ko

Ghar ki deewaron ne seenay
say lagaya mujhko

aab to umeed-e-wafa tum
say nahein hai koi

Phir charaghon ki tarah kis
ne jalaya mujhko

Bewafa zindagi ne jab chor
diya hai tanha

Maut ne pyaar say pehloo
main bithaya mujhko

Woh diya hoon jo mohabbat
ne jalaya tha kabhi

Gham ki andhi ne subah aur
shaam bujhaya mujhko

kaisay bhoolon ga tere
saath guzare lamhay

Yad aata raha zulfon ka hi
saya mujhko.....

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,