Posts

Showing posts from January 16, 2011

Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon

Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon zindagi main terey baray main kahan tak sochon Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay aur main sirf paroosi k makaan tak sochon Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon...

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye Ho jaaye begaane aap shauq se sanam Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye Karna hai ishq aapse karte rahenge hum Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar kijiye,, Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye...

Kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n

Kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n phir khuwab agar ho jaao to kyaa koi rang to do mere chehray ko phir zakhm agar mehkao to kyaa ik ainaa thaa so TuuT gayaa ab Khud se agar sharmaao to kyaa main tanhaa thaa main tanhaa huuN tum aao to kyaa na aao to kyaa jab ham hii na mahake phir saahib tum baad-e-sabaa kahlaao to kyaa jab dekhne waalaa koi naheen bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa...)(..

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila...)(..

Un ka kiyaa dil main asay sama gaya..

Un ka kiyaa dil main asay sama gaya.. Sehra main goya jasay hoo selaab aagya.. Ankhoon na meri ansoo say ashna thii.. Askhoo ka aaj tu hoon darya bhaa gaya, Main us ko bewafa kahoon mumqin nahi dost.. Her jand zakham dil pay wo meray laga gaya.. Jinay ki baat or hay marnay ki baat or.. Duniyaa say jo gaya wo akela gaya, “saqi” is jahan main rishtay aziz hain, Acha wohe raha jo in ko nibha gaya...

Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain

Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain, Nayee duniya basanay ko chalo aik sath chalte hain, Hamain jeevan ka her lamha tumhare naam kerna hai, Yeh waada nibhanay ko chalo aik sath chalte hain, Suna hay mil k chalne se muqaddar jaag uthte hain, Yeh baat aazmanay ko chalo aik sath chaltay hain...)

Ek rishta jo abhi ban raha tha

Ek rishta jo abhi ban raha tha , Tutne laga magar banne se pahle. Ek sahare se uthate the ham, Gir gaye magar sambhalne se pahle. Sikhane lage the aap se muskurana, Rula diya magar hasne se pahle. Kadam jo baRhen aap ki disha me, Ruk gaye wahi chalne se pahle. Magne ke liye kuchh jo jholi phailai, Khich liya haath kuchh dene se pahle. Hamne jo jalaye ummido ke chirag, Bujh gaye magar jalne se pahle. Kya yahi arth hota hai rishto ka? Tutana hota hai inhe banne se pahle....

Kahan dil chor aye ho

Kahan dil chor aye ho, bohut chup chap se rehtay ho, Na bante ho na sanwarte ho na koi bat karta ho Bhari mehfil main bhi aksar hamesha khoay rehtay ho Udasi aankho main le kay her ek chehre ko takte ho Koi jab yaad aata hai to Thundi aah bharte ho To khul kar kion nahin kehtay Kisi se pyar kertay ho...

Meray Allah larai se bachana mujh ko

Meray Allah larai se bachana mujh ko, Aur sikha day koi banduk chalana mujhko! Khair se laut k ayain meray abbu ghar main Urr na jain woh dhamakay sai kahin daftar main ! Raat din jaam traffic na rahay sarkon per Koi nala na gatar bhar kar bahay sarkon per! Qalma gawaion ko musalman banaday yarab Naik aur saheb-e-iman banaday yarab ! Naam-e-Islam ki hurmat ko bachalay yarab Waqt kai saray yazidon ko uthalay yarab Lub pai aati hai dua ban kay tamanna meri...

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum, Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum, Na koi rishta hay tum se na koi talluk, phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum, Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se, Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum, Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay, Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum. Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki, Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum...

Dost dushman nazar nahin atay

Dost dushman nazar nahin atay Ab to pather bhi ghar nahin atay Sub ko roona mera mazaq lagay Ashq aankhon main bhar nahin aatay Baap say pocho kia guzarti hai Baitiyon k jo bur nahin aatay Mujh say pocha yeh raat wehshat nay aaj kal aap ghar nahin aatay, Dosti ho gaye sitaron say, Khuwab ab raat bhar nahin aatay...

Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte

Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte Suno yadain sataingi magar roya nahin karte Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte...)

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai Mery chahat ka takaza hai mere sath raho ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon tum mere pas sey utho tu bura lagta hai Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai...

Qaasid ke aate aate Khat ek aur likh rakhoon

Qaasid ke aate aate Khat ek aur likh rakhoon Main janta hoon jo Woh likhenge jawaab mein - Ghalib

Qaasid ke aate aate Khat ek aur likh rakhoon

Qaasid ke aate aate Khat ek aur likh rakhoon Main janta hoon jo Woh likhenge jawaab mein - Ghalib
Dikhayi diye yun Ke bekhud kiya Hamein aap se bhi Juda kar chale Zabeen sajda karte hi karte gaye Haq-e-bandagi yun adaa kar chale Parashtish kiya tak ki aye but tujhe Nazar mein sabon ke khud aa kar chale Bahut aarzoo thi gali ki teri So yaa se lahu mein nahaa kar chale...

Hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii

Hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii Kii mushaqqat bhii ek turfaa tamaashaa hai Hasrat kii tabiiyat bhii Jo chaaho sazaa de do tum aur bhii khul khelo Par ham se qasam le lo kii ho jo shikaayat bhii Khud ishq kii gustaaKhii sab tujh ko sikhaa degii Ai husn-e-hayaa-parvar shoKhii bhii sharaat bhii Ushaaq ke dil naazuk us shoKh kii khuu naazuk Naazuk isii nisabat se hai kaar-e- muhabbat bhii Ai shauq kii bebaakii vo kyaa terii Khvaahish thii jis par unhen gussaa hai Inkaar bhii hairat bhii..

bhulaataa laakh huuN, lekin baraabar yaad aate haiN

bhulaataa laakh huuN, lekin baraabar yaad aate haiN ilaahii, tark-e-ulfat par vo kyuuN kar yaad aate haiN na chheR ae ham-nashiiN, kaifiyat-e-sahbaa ke afsaane sharaab-e-be-Khudii ke mujhko saaGar yaad aate haiN rahaa karte haiN qaid-e-hosh meN ae vaaye naakaamii vo dasht-e khud faraamoshii ke chakkar yaad aate haiN nahiiN aatii, to yaad unkii mahiinoN tak nahiiN aatii magar jab yaad aate haiN, to aksar yaad aate haiN haqiiqat khul gaii Hasrat tere tark-e-mohabbat kii tujhe to ab voh pahle se bhii baRh kar yaad aate haiN - HASRAT MOHANI

Na tha kuchh to khuda tha

Na tha kuchh to khuda tha Kuchh na hota to khuda hota Duboya mujhko hone ne Na hota main to kya hota Hua jab gham se yun behis To gham kya sar ke katne ka Na hota gar juda tan se To zaano par dhara hota Hui muddat ke 'Ghalib' Mar gaya par yaad aata hai Woh har ek baat pe kehna Ke yun hota to kya hota...

Sab kahan kuchh lala-o-gul mein numaya ho gayee

Sab kahan kuchh lala-o-gul mein numaya ho gayee Khaak mein kya suratein hongi ke pinhaa ho gayee Ranj se khuNgar hua insaan to mit jaata hai ranj Mushkilein mujh par padi itni ke aasaan ho gayee Yun gar rota raha 'Ghalib' to ehl-e-jahan Dekhna is bastiyon ko tum ke veeraan ho gayee...

Tere ishq kii intehaa chaahtaa huuN

Tere ishq kii intehaa chaahtaa huuN merii saadgii dekh, kyaa chaahtaa huuN sitam ho ki ho vaada-e-be- hijaabii koii baat sabr-aazmaa chaahtaa huuN yah jannat mubaarak rahe zaahidoN ko ki maiN aapkaa saamnaa chaahtaa huuN saraa sa to dil huuN magar shoKh itnaa vahii lantaraanii sunaa chaahtaa huuN koii dam kaa mehmaaN huuN, e ahl-e-mehfil chiraaG-e-sahar huuN, bujhaa chaahtaa huuN bharii bazm meN raaz kii baat kah dii baDaa be-adab huuN, sazaa chaahtaa huuN - ALLAMA IQBAL
Hain aur bhi duniya mein Sukhanwar bahut achchhe,, Kehte hain ke 'Ghalib' ka hai Andaaz-e-bayan aur...

Shaayad mein zindagi ki seher leke aa gaya

**Sudarshan Faakir** => => => Shaayad mein zindagi ki seher leke aa gaya Qaatil ko aaj apne hi ghar leke aa gaya Ta umr dhoondta raha manzil main ishq ki Anjaam yeh ke gard-e-safar le ke aa gaya Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maikada Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar leke aa gaya 'Faakir' sanam qade mein na aata main laut ke Ik zakhm bhar gaya tha idhar leke aa gaya...