Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon

Aik bay rang sa manzar hai
kahan tak sochon

zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay

aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai

main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k
bechar jaatay hain

tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,