Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte

Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte

Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte

Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte

Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte

Jo bas jata hai dharkan main
ussey bhula nahin karte

Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey

Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte

Suno yadain sataingi magar roya nahin karte

Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte...)

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,