bhulaataa laakh huuN, lekin baraabar yaad aate haiN

bhulaataa laakh huuN, lekin
baraabar yaad aate haiN

ilaahii, tark-e-ulfat par vo kyuuN kar yaad aate haiN

na chheR ae ham-nashiiN,

kaifiyat-e-sahbaa ke afsaane

sharaab-e-be-Khudii ke mujhko saaGar yaad aate haiN

rahaa karte haiN qaid-e-hosh meN ae vaaye naakaamii

vo dasht-e khud faraamoshii ke chakkar yaad aate haiN

nahiiN aatii, to yaad unkii
mahiinoN tak nahiiN aatii

magar jab yaad aate haiN, to aksar yaad aate haiN

haqiiqat khul gaii Hasrat tere
tark-e-mohabbat kii

tujhe to ab voh pahle se bhii
baRh kar yaad aate haiN

- HASRAT MOHANI

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,