Hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii

Hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii

Kii mushaqqat bhii
ek turfaa tamaashaa hai

Hasrat kii tabiiyat bhii

Jo chaaho sazaa de do tum aur bhii khul khelo

Par ham se qasam le lo kii ho jo shikaayat bhii

Khud ishq kii gustaaKhii sab tujh ko sikhaa degii

Ai husn-e-hayaa-parvar shoKhii bhii sharaat bhii

Ushaaq ke dil naazuk us shoKh kii khuu naazuk

Naazuk isii nisabat se hai kaar-e- muhabbat bhii

Ai shauq kii bebaakii vo kyaa terii

Khvaahish thii jis par unhen gussaa hai

Inkaar bhii hairat bhii..

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,