Kash ik dais aisa ho, Jahan tum sath ho mere

Kash ik dais aisa ho,
Jahan tum sath ho mere,

Jahan par phool khiltay hoon,

Jahan pariyun ke basti ho,
Jahan ke dhoop roshan ho,

Magar chehray na jhulsaye,

Jahan par chand poora ho,
Sitaray jag-magatay hoon,

Jahan khushian he khushian
hoon,

Kahin par dais aisa ho,
Jahan par sirf "HUM TUM" hoon...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,