Tu hai gar mujh se Khafa Khud se Khafa hoon main bhi

Tu hai gar mujh se Khafa Khud se Khafa hoon main bhi

Mujh ko pehchaan k teri hi adaa hoon main bhi

Ek tujh se hi nahin fasl-e-
tamanna shaadaab

Vahi mausam hoon vahi aab-o-hava hoon main bhi

Sabt hoon dast-e-Khamoshi pe hina ki soorat

Na_shunida hi sahi tera kaha
hoon main bhi

Chaand ban kar tere aangan
mein utar hi jaoon

Raat ke pichhle pehar maangi dua hoon main bhi

Yoon na murjha ki mujhe Khud pe bharosa na rahe

Pichhle mausam mein tere
saath khila hoon main bhi

Jaane kis raah chaloon kaun se ruKh muR jaoon

Mujh se mat mil ki zamane ki hava hoon main bhi

by: Mazhar Imam

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,