Zindagii to tum bhi ho

Zindagii to tum bhi ho, zindagii to ham bhi hain

Aadami se Darte ho

Aadami to tum bhi ho aadami to ham bhi hain

Aadami zubaan bhi hai, aadami bayaan bhi hai

Is se tum nahin Darte
harf aur maani ke rishte

Haaye aahan se aadami hai vaabasta

[aahan = stone]

Aadami ke daaman se zindagii hai vaabasta

Is se tum nahin Darte
ankahi se Darte ho

Jo abhi aai nahin us ghaRi se
Darte ho

Us ghaRi ke aane ki aag hi se
Darte hi

Pehle bhi to guzre hain
daur naarasaai ke, beriyaa,
Khudai ke

[naarasaai = incapability/failure]

[beriyaa = sincere/without guile]

Phir bhi ye samajhte ho, hech aazarumandi

Ye shab zubaanbandi, hai rahe Khudaabandi

Tum yahi samajhte ho,
tum magar ye kya jaano

Lab agar nahin hilte haath jaag uthte hain

Haath jaag uthte hain raah ka nishaan ban kar

Noor ki zubaan ban kar
haath bol uthte hain subah ki
azaan ban kar

Roshani se Darte ho
roshani to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain

Roshani se Darte ho
shehar ki faseelon par
dev ka jo saayaa tha,

Paak ho gaya aakhir
az_dahaam-e-afsaan se fard ki nava aai

[az_dahaam-e-afsaan = knife/dagger
sharpening tool]

Zaat ki sada aai raah-e-shauq mein jaise

Raah_ravi Khoon lapke
ik naya junoon lapke

Aadami chhalak uthe
aadami hanse dekho,

shehar phir base dekho
tum abhi se Darte ho

Haan abhi to tum bhi ho, haan abhi to ham bhi hain

Tum abhi se Darte ho

by: Noon Meem Rashid

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,