Rishta ye kaisa hai naataa ye kaisa hai

Rishta ye kaisa hai naataa ye
kaisa hai

Pehchan jis se nahi thi kabhi
apna bana hai vahi ajanabi

Rishta ye kaisa hai naataa ye
kaisa hai

Tumhein dekhte hi rahon mein

Mere saamne yoon hi baithe
raho tum

Karoon dil ki baatein main
Khamoshiyon se

Aur apne labon se na kuch bhi kaho tum

Ye rishta hai kaisa ye naataa hai kaisa

Tere tan ki Khushbu bhi lagti hai apni

Ye kaisi lagan hai ye kaisa milan hai

Tere dil kii dhaRKan bhi lagti hai apni

Tumhein paa ke mehsoos hota hai aisey

Ke jaisey kabhi hum judaa hi
nahi they

Ye mana ke jismon ke ghar to naye hain

Magar hai purane ye bandhan dilon ke..

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,