Itna Toota hoon k chhune se bikhar jaoon ga

Itna Toota hoon k chhune se
bikhar jaoon ga,,

Ab agar aur duaa doge to mar jaoon ga,,

lekar mera pata vaqt raayegaa na karo,,

main to banjaaraa hoon kya
jaane kidhar jaoon ga,,

is taraf dhundh hai jugnu hai na chiraagh koi,,

Kaun pehchaane ga basti mein agar jaoon ga,,

Zindagii main bhi musaafir hoon teri kashti ka,,

Tu jahan mujh se kahegi main utar jaoon ga

Yahaan reh jaayenge guldaanon mein yaadon ki nazar,,

Main to Khushbu hoon fizaaon mein bikhar jaoon ga,,

by : Moin Nazar

Sung by Ghulam Ali

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,