Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar ApnaParwaana Mujhey

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!

Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya

Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-AashnaLagta Tha Woh

Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari

Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,

Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya

Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag MeinJaltey Howye

Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,