MAIN jhoom jaon to sharabi na smjhna

(GHAZAL)
MAIN jhoom jaon to sharabi na smjhna,

Gir jaon jo
sajday main to namazi na smajhna,

Thorra sa behak gaya hoon muhabbat main,

Jo Aagy barhon to shikari na samajhna,

Mujh se cheen li hain khushiyan mery apno ne,

Hath jo
phailaaon to bhikhari na smjhna,

Mujhe aata hay ab bi Dosti ka khayal,

Boht kuch khoya hy main ne anarri na samjhna,...

Ek naseehat meri yaad rakhna
ay payare dost,

Dosti ko kabhi tu waqt-guzari na samajhna..

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,