Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din
Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din
Phoolon ki tarha "husn" ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din
Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din
Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din
Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din
Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,