Apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon

Moin Ahsan Jazbi

Apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon,

Apne Gham_khaney mein ik
dhoom macha loon to chaloon,

Aur ik jaam-e-may-e-talkh
charaa loon to chaloon,

Abhi chalta hoon zara Khud ko sambhaloon to chaloon,

Jaane kab pi thi abhi tak hai
may-e-Gham ka khumaar,

Dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai jahan-e-bedaar,

Aandhiyan chalti hain dunya hu jati hai Ghubaar


Aankh to mal loon zara hosh
mein aa loon to chaloon


Vo mera saahir vo ejaaz kahan hai lana,

Meri khoi hui aavaaz kahan hai lana,

Mera Toota hua vo saaz kahan hai lana,

Ik zara geet bhi is saaz pe gaa loon to chaloon,

Main thaka haraa tha itne mein jo aaye badal,

Kisi matvaale ne chupke se
baRaa di botal,

Uff vo rangeen pur-israar
Khayaalon ke mahal,

Aise do char mahal aur bana
loon to chaloon,

Meri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka Ghuroor,

Mere honton ko abhi tak hai
sadaaqat ka Ghuroor,

Mere maathe pe abhi tak hai
sharaafat ka Ghuroor,

Aise vehmon se bhi ab Khud ko nikaloon to chaloon...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,