Tere ishq ki inteha chahta hoon

Tere ishq ki inteha chahta hoon

Meri saadgi dekh kya chahta
hoon

[inteha=limit; saadgi=simplicity]

Sitam ho k ho vaada-e-behijaabi,

Koi baat sabr-aazmaa chahta hoon,

[vaada-e-behijaabi=promise to be unveiled]

[sabr-aazmaa=testing the patience]

Ye jannat mubarak rahe
zaahidon ko,

KI main aap ka saamnaa chahta hoon

[jannat=heaven; zaahid=a person

Belonging to a higher plane of existence]

Koi dam ka mehmaan hoon ae ahal-e-mehfil

Chiragh-e-sehar hoon, bujha
chahta hoon

[ahal-e-mehfil=people present at the gathering]

[chiragh-e-sehar=light of dawn]

Bhari bazm mein raaz ki baat kahdi

Badaa be-adab hoon, saza
chahta hoon...

by: ALLAMA MUHAMMAD IQBAL

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,