Tere sapno mein tera har lamha churaonga

Tere sapno mein tera har lamha churaonga..

Tum ko rulaonga, Mar jaonga tou bohut yaad aonga..

Phir yaad aengi tum ko meri
baatein..

Wo sawan ki bheegi bheegi si
raatein..

Yaadon mein aa kar tumhein
sataonga..

Mar jaonga tou bohut yaad
aonga..

Nahi sub ka muqadar wafa jaan lo jana..

Phir khudi se roothna khudi ko manana..

Main laut kar phir kabhi na
aonga..

Mar jaonga tou bohut yaad
aonga..

Ye wadey ye wafa baat purani hay..

Suno mohabbat ka dosra naam kahani hay..

Main mar kar bhi mohabbat ko nibhaonga..

Mar jaonga tou bohut yaad
aonga..

Phir na kehna hum ko be-wafa jana..

Yahen talak tha chahat ka sisila jana..

Ab door kahin main chala jaonga..

Mar jaonga tou bohut yaad
aonga..

Ajeeb hoti hay ghum ki daastan bhi..

Ghum mein tou rota hay aasman bhi..

Main tum ko aansoun mein
nehlaonga..

Mar jaonga tou bohut yaad
aounga..

Bujh gaya meri zindagi ka diya sibtain..

Bardasht se ziada hay seh liya sibtain..

Main jab khaak-basera mein ho jaonga..

Mar jaonga to buht yaad aounga...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,