Bachpan Ka Zamana Hota

Bachpan Ka Zamana Hota Tha Khushion Ka Khazana Hota Tha


Chahat Chaand Ko Pane KE
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha


Rone Ki Waja Na Hoti Thi
Hansne Ka Bahana Hota Tha


Khabar Na Thi Kuch Subho Ki
Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha


Matti Kay Ghar Bnatey They
Aur Un Ko Girana Hota Tha


Gham Ki Zuban Na Hoti Thi
Na Zakhmon Ka Paymana Hota Tha


Barish Mein Kaghaz Ki Kashti
Har Mosam Suhana Hota Tha


Wo Khel Wo Saathi Hote The
Aur Har Rishta Nibhana Hota Tha..

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,