Bichhar k tujh se yehi khud ko saza di maine

Bichhar k tujh se yehi khud ko saza di maine...

Teri talash mein ik umar laga di maine...

Tujhe jo dil se nikala to yun laga jese...

Apne andar koi dewaar gira di maine...

Gongay behron mein raha jese koi Naabina...

Zindagi tere bina aise bita di
maine...

Jis ka har lafz adhora raha tum bin...

Zindagi aisi aik kitaab bana di maine...

"Wasi" us ko achanak se jo khoya to laga...

Zindagi aik hi lamhy mein ganwa di maine...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,