Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak

Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak,


Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak,


Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan,


Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua,


Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa,


Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char,


Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks,


Reshami bahon may chori ki kabhi maddham dhanak,


Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat,


Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada,


Kanpate honthon pe thi ALLAH se sirf ek dua,


Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara.

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,