Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi
Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi,
Mujhe dukhrra sunana tha use jane ki jaldi thi,
Nahi tha waqt pas us k sunta
dastaan meri,
Bara lamba fasana tha use jane ki jaldi thi,
Bari mudat ki khuwahish thi
magar piasi rahi yaro,
Galay usko lagana tha use jane ki jaldi thi,
Nahi thehra wo ik lamha, jo
raatein thehr jata tha,
Tauq to purana tha use jane ki jaldi thi,
Main Wasi rokta kese k rukna tha kahan us ne,
Usey har haal jana tha, Usey
jane ki jaldi thi,...

Comments
Post a Comment