Wo tum na the ik khiyal tha meri sooch ka hi kamaal tha

Wo tum na the ik khiyal tha
meri sooch ka hi kamaal tha

wo muhabbatain wo chahatain

meri uljanoon ka hi jaal tha

mere dil mein thien jo ronaqain

wo tera hi husno jamaal tha

jawab jis ka milla nahi

wo aisa hi ik sawal tha

wo ajj milla to yon laga

yahi to hai wo jiska intezar tha

usse yaad kaise na koi kare

usse bhoohlna to mohaal tha

ab us ki kia main missal doon

wo to apni missal ap tha.

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,