Nahi acha faqat koi ishaara saaf keh do na,

Nahi acha faqat koi ishaara saaf keh do na,
Kahan tk sath do gay tum hmara,saaf keh do na,

Judai ki tarha drya b apne sath chlta ha,

Nahi milta kinare se kinara saaf keh do na,

Bahane apni majbori k Q aa aa kar sunate ho,

Qasoor is men nhi koi tmhara saf keh do na,

Humen tanhai k taaney tu mat doghaer k aagey,

K hum b dhond len koi sahara saf keh do na,

Hmare haath ki aksar lakerain milti julti hen,

Mgar milta nhi apna sitara saf keh do na..

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,