Kabi kuch soch k likhna kabi kuch soch k parhna,,

Kabi kuch soch k likhna kabi kuch soch k parhna,,
Ye na’mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna…..!!

Kisi ka dil’ruba chehra or us pe dil’nsheen aankhen,,

K jisko dekh k jeena usi k naam pe marna..!

Ye na’mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna……!!

Khayalon me bna lena kisi ka aks dheerey sy,,

Chura k rung sapnoon k kisi ki aankh me bharna..!

Ye na’mumkin si koshish hai muhabbat soch k karna..

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,