Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,

Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai,

Neend bhar soye hue arsa hua mujhko,

Ke rat bhar khwabo mein ab tu hidikhai deti hai,

Khilkhilahat se teri khilta tha yun jo ghar,

Khamsohi ab deewar pe chaspa sunai deti hai,

Jhoothi khushi se rokta hu saki main apna gam,

Tanhai aa aa kar mujhe sachhi rulai deti hai,

Kahte hai kaaynat mein rangi hai har ek shai,

Tere bin kaaynat par feeki dikayi deti hai,

Ret ke manind fisla ja raha hai waqt,

Ghari ki tik tik me teri halchal sunai deti hai,

Chalte-chalte rah pe ab bahakte hai kadam,

Hawa ke jhonko mein tu hansti sunai deti hai,

Mahfil-o-masti mein tujhe ja ke kya dhundhe hum,

Mehfil bhi tere bin marghat dikhayi deti hai,

Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,

Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai,

Neend bhar soye hue arsa hua mujhko,

Ke rat bhar khwabo mein ab tu hidikhai deti hai.

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,