Usay ye baat samjhao Tumhain koi yaad karta hai,

=*Ghazal=*
Usay ye baat samjhao
Tumhain koi yaad karta hai,

Kabhi to milne aa jao
Tumhain koi yaad karta hai,

Hamare sheher se jab tum gae thy hum ne na roka,

Hamare dil se mat jao
Tumhain koi yaad karta hai,

Tumhare naam ki har shay wahin mojood hai lekin,

Kabhi khud bhi chale aao
Tumhain koi yaad karta hai,

Wafa do ge wafa doon ga jafa do ge jafa doon ga,

Wo baatain phir se dohrao
Tumhain koi yaad karta hai,,

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,