Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k...


Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k...

Jane kiun bohot roye ham aysa kar k...

Yun meri be-basi pe muskurane wale...

Kiya mila tujh ko mere dukh mein ezafa kar k...

Kiya kabhi tu ne bhi mujh se mohbbat ki thi...

Puchh zara khud ko aaine mein khara kar k...

Kaash tu mere dard mein hamdard bana hota..
"Wasi"

Tu ne to chor diya mujh ko tamasha kar k...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,