Nigahain Rasta dekain "TUMHARA" Lout ao na

Nigahain Rasta dekain "TUMHARA" Lout ao na

Tmhary bin nahi hota guzara lout ao na

Bichar k yar "TUJH" sy zindagi pal pal tarapti hy
K tm bin ab nahi "JEENA" gawara lout ao na

Mujy darr hy k in tanhaiyun mai toot jaon na
Hy bas teri Muhabbat ka sahara lout ao na

Tm he to zindagi ho Pyar ho Dunia hamari ho
Siwa tery nai koi hamara lout ao na

Meri taqdeer tu hay bas tumhary sath wabasta
Kahein bujh jay na Qismat ka tara lout ao na.

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,