Maqrooz k bigray huay haalaat ki manind,


==GhAzAl==
Maqrooz k bigray huay haalaat ki manind,
Majboor k honton pe sawalaat ki manind,
Dil ka teri chaahat mein ajab haal hua hai,
Sailaab se barbaad makaanat ki manind,
Mein un main bhataktay hue jugnu ki tara hun,
Us shaks ki aankhen he kisi raat ki manind,
Dil roz sajata hun dulhan ki tara se,
Ghum roz chalay aatay hain baraat ki manind,
Ab ye bhi nhi yaad k kya naam tha us ka,
Jis shakhs ko manga tha manajaat ki manind,
Kis darja muqaddas hai tere qurb ki khwahish,
Masoom se bachay k khyalaat ki manind,
Us shakhs se milna mera mumkin hi nhi tha,
Mein pyas ka sehra hun wo bassaat ki manind...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,