main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga
main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga
marrun ga khud bhi tujhe bhi karri saza dunga
yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
main tere shehr ke saare diye bhuja dun ga
hawa ka hath bataon ga har tabahi main
haray shajar se parinday main khud urra dun ga
waffa karun ga kisi sogwaar chehre se,
purani qabar pe katbah naya saja dun ga
issi khayal mein guzri hai shaam-e-gham aksar
ke dard hadh se barrhe ga to muskura dun ga
barrha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri
main tere khat, teri tasveer tak jala dun ga
bohat dino se mera dil udaas hai Mohsin
iss aaiine ko koi aks ab naya dunga..
Comments
Post a Comment