Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha

Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor
Tha

Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi
Door Tha

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney
Na Thay

Teri Ankhon Main Duniya Ke
Sapney Na Thay

Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha

Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi
Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa
Ne Teri

Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa
Ne Teri

Maa Ke Saaye Main Parwaan
Chadne Laga

Waqt Ke Sath Qad Tera Badne
Laga

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan
Ho Gaya

Tujh Pe Saara Jahan Meharban
Ho Gaya

Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne
Laga

Khud Hi Sajney Laga Khud
Sanwarney Laga

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei

Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar
Agayei

Ab Faraayez Se Tu Door Hone
Laga

Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney
Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane
Laga

Teer Baton Ke Phir Tu Chalane
Laga

Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne
Laga

Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay
Laga

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha
Ek Din

Abb Humara Guzara Nahin Tere
Bin

Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main
Agaya

Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha
Gaya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa
Se Kaha

Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi
Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera
Chor Do

Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh
Tod Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda
Karo

Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja
Maro

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa
Raat Bhar

Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na
Asar

Ek Din Baap Tera Chala Rooth
Kar

Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa
Toot Kar

Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati
Rahi

Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya

Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha
Gaya

Ashk Ankhon Main Thay Woh
Rawana Huwi

Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi

Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe
Chaaney Laga

Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney
Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha
Hai Tu

Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai
Tu

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se
Dartey Nahi

Nafraten Hain, Muhabbat Woh
Kartey Nahi

Dard Mein Tu Pukare Ke “O Meri
Maa”

Tere Dam Se Hi Roshan The Dono
Jahan

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt
Rukta Nahi

Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta
Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan
Reh Gaya

Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh
Gaya

Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha

Apne Maan-Baap Ko Tu Satata

Raha Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne
Boya Tha Jo

Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya
Tha Jo

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone
Laga

Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone
Laga

Maut Maange Tujhe Maut Aati
Nahin

Maa Ki Surat Nigahon Se Jati
Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey
Tujhe

Tu Hai Nasoor Sukh Kaun
Baantey Tujhe

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt
Par

Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt
Par

Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan
Le

Apni Jannat Ko Duniya Main
Pehchan Le

Aur Leyta Rahe Woh Badon Ki
Dua

Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami
Khuda

Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat
Ko

Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat
Ko
...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,