Ham ek dusare se khafa ho k dekheen


Ham ek dusare se khafa ho k dekheen
Bohot mil chuke ab juda ho k dekheen
Dil_o_jaan pe kiya tuut ti hay kiyamat
Zara dard se aashna ho k dekheen
Haqeqat ko jhutha fasana banayeen
Bicharne ka yun bahana banayeen
Bichar k jo ek dusare se mileen ge
Kanwal aarzoun k dil main khileen ge
Wafaoon pe ham ko bharosa hay lekin
Zara dair ko bewafa ho k dekheen
Bohot rang dekha hay ham ne milan ka
Maza chakh k dekheen berha ki agan ka
Agar duur rah kar bahri bekarari
To samjheen ge sachi hay chahat hamari
Bhula deen k ham main hay koy tahlouck
Ham aashqi se raha ho k dekheen...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,