Ab is morh pe aa kr palat jana nhi mumkin


Ab is morh pe aa kr palat jana nhi mumkin

K mar jana to aasan he mukar jana nhi mumkin

Tere kochy me aata hun to lgta he k zinda hun

Tujhe dekhy bina G lon suno jaana! nhi mumkin

Tu chalti he to lgta he sitary raqs krty hen

Mere is dil ki halat ko smj pana nhi mumkin

Meri ankho ki chilman me basy kuch khwab hen tere

K in ankhon k khwabon ka bikhar jana nhi mumkin

Tera hi zikr hota he teri hi yad ati he

Siwa is k kisi ka zindgi me aana nhi mumkin.

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,