Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.

Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.

Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke
bheja.

Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke
bheja.

Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.

Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?

Usne..Mera hi naam likh ke
bhejaa?

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

"LOUT ANA"
Jab kabi tra dil ghbrae to lot ana...
Agr tuje mri yad aye to lot ana...

Kch wqt acha guzra hai sath tmhre...
Wo wqt yad aye to lot ana...

Ek wqt k lye dost bun jate hai subi log...
Agr kbi wo wqt yad aye to lot ana...

Tum se dur na hote agr kismat sath deti to
Agr kbi dil ki dharkn tez ho jy to lot ana...

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com


(THIS GHAZAL WAS SENT ME MY BEST FRIEND IQBAL HYDER BURIRO)

Watan ko kuch nhn khatra,nizam-e-zar hai khatre men,

Haqiqat men jo rahzan hai,wo rahbar hai khatre men,

Agar tashweesh laahaq hai to sultaano ko laahaq hai,

Na tera ghar hai khatre men na mera ghar hai khatre men...

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

Kya kya log guzar jaate hain rangbarangi caron men,

dil ko thaam k rah jate hain dil wale bazaron men,

Honton pr aahen kyun hoteen aankhen nisdan kyun roteen,

Koi agar apna b hota oonche uhdedaaron men,

Sadr-e-mahfil daad jise de daad usi ko milti hai,

Haae kahan hm aan phanse hain zalim duniadaaron men...

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

(THIS GHAZAL WAS SENT ME MY FRIEND RAZA HUSSAIN FROM K N SHAH)

Thokar lagi tou, Apne muqadar pe ja gira

Phir yun huwa k, Aaina pathar pe ja gira

Ehsaas-e-Farz jab bhi huwa,
Neend aa gayi

Chalna tha pul-saraat pe, Bister pe ja gira

Baazi mohabbaton ki jahaalat ne jeet li

Wo ban gaya khateeb, Jo mimber pe ja gira

Khushbu qasoor-waar nahi, is ko chor do

Main phool torte huwe kantoon pe ja gira

Sahraaon mein liye phirta raha paani ki justaju

Jab piyas mar gayi to, Samudar pe ja gira...
Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

Kurb kay shehar mein reh kar nahi dekha tu ne

Kiya guzarti rahi hum par nahi socha tu ne

Ay mujhay sabar kay aadaab
sikhanay walay

Jab wo bichra tha wo manzar nahi dekha tu ne

Tu ne dekha hai muqaddar ka sitara shayad

Par sitaray ka muqaddar nahi dekha tu ne...

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

Chalo tum keh rahe ho to
Main wapis lot jata hon

Tumhain manzil mubarik ho
Naya sathi mubarik ho

Magar aye humdum-e-deirina Mujh ko itna batla do

Ky wapis kis taraf jaon
Kahan se saath laye thay

Mujhe itna to samjha do
Agar aysa nahe mumkin

To mujh ko is tarha toro
Ky main yaksir bikhar jaon

Bhataknay se to behtar hai
Tumhary paas mar jaon...

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

"Meri taqdeer se pooch Meri
qismat ka faisla"

"Meri muskurahat pe na ja Mere dard ko talaash kar"

"Meri aankhon se pooch Mere intezaar ki inteha"

"Mere itminaan pe na ja Mere sabar ko talaash kar"

"Mere pyaar se pooch Mere
pyaar ka aalam"

"Meri soorat pe na ja Meri
seerat ko talaash kar"...

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

In tamam haseen ruton ko
tumhary naam kar doon

Tumhary payar mein ye umar apni tamam kar doon

Jalta hay jo suraj mahboob ki tallash mein

Us ki tapish ko tumhary liye
gulay aam kar doon

Zindagi bhar khoya rahon tery shehar mein

Jee chahta hay in raaton ko
gumnaam kar doon

Daikho jo aik dafa payar sy meri taraf

Tumhari chahat mein paish apni jaan kar doon

Aik dafa daikho tum meri chahat ko

In sahraon ko tery liye gulistaan kar doon...

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com


Apni dharkanon se kuch aise mera naam lo,

Ye waqt ruk jaye is lamhay ko thaam lo

Teri aankhon mein jhalak hay aisi mere piyaar ki

Saahil pe jese dhalti haseen
shaam ho

Lafzon se hota nahi izhaar humse piyaar ka

Bus meri aankhon mein dekh kar khud ko pehcchaan lo

Jese tarasta hay sehra shabnam k choonay ko

"Wasi"

Kabhi wese rab se tum bhi mujhe maang lo..

Ab ye kaisi uljhan hai Ab ye kaisa jhagra hai Baat thi mohabat ki

Aur tum mohabat par Aik he

mohabat par Kab yakeen rakhty thay

Tum tou har subha apni
Dilbrana ankhon mein Ik nayi
rafaqat ka Khuwab ley key
uthty thay

Aur apni shaamon mein Apne khuwab-o-khwahish
key Be-libaas jazbon ko Shok sey sajaty thay

Aur aisy Aalam mein Jism-o-jaan key mousam mein Aik
hum he uljhan thay

Hum tou ja chuky jaana Dil pey bewafai key zakham Kha chuky jaana

Ab ye kaisi uljhan hai Ab ye kaisa jhagra hai..?

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

Dard agar Aadmi hota Tou
gireban pakar kar kehty

Is tarah rehty bechain dilon ke andar Is tarah karty hain beemaron ke sath

Dil mein rehna hai Tou
theek sey rehna seekho

Hum tumhe sehty hain Kuch tum bhi tou sehna seekho

Ik thori si khushi aye tou jal jaty ho, Chalo phir anay wali rut ka istaqbal karty hain

Mohabat he mohabat
kaasht ab ke saal karty hain

Suno logo! Key Ab ke saal hum ko Sitaron ki zarorat hai Baharon ki zarorat hai Zara socho tou apas
ke saharon ki zarorat hai

Chalo phir anay wali rut ka istaqbal karty hain "Mohabat he mohabat
kaasht ab ke saal karty hain.."

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

Zindagi key chehray ka Naqsh jab bigar jaye Doston ki Aankhon mein

Dushmani jab ubhar aye
Kaanch ki sunehri baat zair-e-lab nikhar jaye

Lafz be-yakeeni key
Junglon mein ghirr jayen

Sakht be-sabati ho Baat baat zaati ho Is tarah key mousam mein Aaiyna zarori hai.

Ghù£åm Ä£ì
0344==>3888256
ali.buriro207@gmail.com

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,